Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts
Showing posts with label AweSom GhaZals. Show all posts

Friday 2 May 2014

Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,


Parakhna mat parakhne se koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...

Baray logon se milne me hamesha fasla rakhna,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...

Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...

Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....

Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh mein jab aik bhi patta nahi rehta...
»»  read more

Thursday 24 April 2014

Udaas Shamein, Ujaad Rastey, Kabhi Bulayen To Laut Ana;


Udaas Shamein, Ujaad Rastey, Kabhi Bulayen
To Laut Ana;
Kisi Ki Ankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Ayen To
Laut Ana;

Abhi Nayi Wadiyon, Naye Manzron Main Reh
Lo Magar Meri Jaan;
Yeh Saarey Aik Aik Karke Jab Tum Ko Chhod
Jayen To Laut Ana;

Naye Zamanon Ko Qurb Orrhey, Zayeef
Lamhey, Niddhaal Yadein;
Tumharey Khawbon Ke Band Kamron Mein Laut
Ayen To Laut Ana;

Agar Andheron Mein Chod Kar Tum Ko Bhool
Jayen Tumhare Sathi;
Aur Apni Khatir Hi Apne Apne Diye Jalayen To
Laut Ana;

Meri Woh Batein To Jin Pe Be'ikhtyaar Hanstaa
Tha Khil'khilaa Kar;
Bicharney Wali Meri Woh Batein Kabhi
Rulaayein To Laut Ana!
»»  read more

Friday 18 April 2014

Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum.


Bhoole Na Kisi Haal Me Aadaab-e-Nazar Hum. 
Mur Kar Na Tujhe Dekh Sake Waqt-e-Safar Hum. 

Ay Hussn! Kisi Ne Tujhe Itnaa Tu Na Chaaha. 
Barbaad Huwa Tere Liye Kon Magar Hum. 

Jeene ka Hamein Khud Na Mila Waqt Tu Kya Hai. 
Logon ko Sikhlaate Rahe Jeene Ka Hunar Hum. 

Ab Tere Taalluq Se Hamein Yaad Hai Itna. 
Aik Raat ko Mehmaan Rahe Thay Tere Ghar Hum. 

Dunya Ki Kisi shaan Se Dhundla Nahi Sakta. 
Aankhon Me Liye Phirte Hain jo Khuwaab-e-Sehar Hum. 

Wo Kon Si Aahat Thi Jo Khuwaabon Me Dar Aayi. 
Kya Jaaniye Kiun Chaunk Parre Pichle Pehar Hum.

»»  read more

Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain..


Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain.. 
Idhar Kuch Din Se Hum Har Raabtey Se Kat Chuke Hain.. 

Isi Mehdood Safhey Par Likhein Apni Kahaani.. 
K Hum Doonon Taraf Se Haashiyon Mein Bat Chuke Hain.. 

Bharam Rakha Huwa Hai Dhoop Mein Saaye Ne Apna.. 
Wagarna ! Hum Qad-o-Qaamat Mein Kab k Ghat Chuke Hain.. 

Wohi Sooraj Se Le Kar Chaand Tak Lamho'n ka Chalna.. 
Hamein Ab Roz-o-Shab k Sab Manaazir Rat Chuke Hain..

»»  read more

Surkh sharabon jesi ankhen phool ki pati jaise hont.


Surkh sharabon jesi ankhen phool ki pati jaise hont. 
Gul ko dho de jesy shabnam us Larki k waisy hont. 

Aankh uthaye tu tarpa de boly tu dehkaye aag. 
Uff toba ye kesi ankhen uff toba ye kesy hont. 

Aksar dhoonda karty hen hum phir kar sheher ki sarkon par. 
Mast katora c wo ankhen mast bnaany waly hont. 

Kitni pyari lagti hen wo ankhen mast ghazlon C. 
Sholy se bharkaty dil me uff wo aag ugalty hont. 

Uff wo jaaron ka mosam wo barfon jesi tez hawa. 
Jany kya kya yad dilayen kanpty or thirakty hont. 

Ik zara bas chu leny se Aajiz jal kar khak huay. 
Akhir kab tak dekhte rehty us k angaron se hont.

»»  read more

Tuesday 15 April 2014

Dhoop Ho Chaaon Ho Tum Saath Nibhaiya Karna


Dhoop Ho Chaaon Ho Tum Saath Nibhaiya Karna
Meray Chehray Pey Sada Palkoon Ka Saeya Karna,

Raah Dekhun Gi Tumhaari Main Sar-E-Shaam Yoonhi
Kabhi Jaldi Kabhi Dair Say Aaya Karna,

Daant Lena Sar-E-Mehfil Koi Baat Nahin
Phir Akaley Main Gale Laga Kay Mnaaya Karna,

Jaan Jaon Gi Main Khushbu Say Tumhaari Tum Ko
Tum Peechay Say Meri Aankhoon Ko Chupaya Karna,

Jagna Chahoon To Raat Bhar Baatain Karna
Niend Aa Jaaye To Seeny Per Sulayaa Karna"

»»  read more

Tuesday 8 April 2014

Tum Hi Se Subaah Ho Meri,


Tum Hi Se Mera Chaand Khilay, 
Tum Hi Se Chaandni Milay, 

Tum Hi Se Subaah Ho Meri, 
Tum Hi Se Meri Shaam Dhalay, 
Tum Hi Se Mehkay Har Kali, 
Tum Hi Se Her Phool Khilay, 

Tum Hi To Apnay Ho Meray, 
Tum Hi Se Hain Sub Gilay, 
Tum Hi To Chaahat Ho Meri, 
Tum Hi Se Mera Dil Milay,

»»  read more

Sunday 30 March 2014

Aisi lagi udaas sar-E-shaam ZINDGI


Aisi lagi udaas sar-E-shaam 
ZINDGI 

Jaise kisi ki aankh ka ilzam 
"ZINDGI" 

Apny jahan mein dekha teray baad kuch nahi, 

Hum ne laga di aaj tery naam 
"ZINDGI" 

Jis k bina ye saans mujhe DooBti lagi, 

Ja k ussy bhi DhoonD kisi shaam 
"ZINDGI" 

Ye piyaar dard na ban saky jis k nashy mein, 

Mujhko pila de aaj wohi jaam 
"ZINDGI" 

Ab doston k haath mery haath main nahi, 

Girny laga hon aaj mujhe thaam 
"ZINDGI"
»»  read more

Youn Tere Husun Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye,


Youn Tere Husun Ki Tasveer Ghazal Mein Aaye,
Jaise Balqees Sulaiman K Mehel Mein Aaye,

Jabar Se Aik Howa Zaiqa-e-Hijar-O-Wisal,
Ab Kahan Se Wo Maza Sabar K Phal Mein Aaye,

Hamsafar Thi Jahan Farhad K Taishe Ki Sada,
Wo Maqamat Bhi Kuch Sair-o-Jabal Mein Aaye,

Ye Bhi Aaraish-e-Hasti Ka Taqaza Tha K Hum,
Halqa-e-Fikr Se Maidan-e-Amal Mein Aaye,

Har Qadam Dast-o-Greban Hai Yahan Khair Se Shar,
Hum Bhi Kis Marka-e-Jang-o-Jadal Mein Aaye,

Zindagi Jin K Tasawur Se Jila Pati Thi,
Haye Kia Log Thay Jo Dam-e-Ajjal Mein Aaye..
»»  read more

Thursday 27 March 2014

Sitaara Ban K Sulgta Raha Hoon Jis K Liye


Elawah Iss K Mohabbat Ne Kiya Diya Hai Mujhe
Jala K Taiz Hawa Mein Bujha Diya Hai Mujhe

Sitaara Ban K Sulgta Raha Hoon Jis K Liye
Usi Ne Khaak Mein Aa Kar Mila Diya Hai Mujhe

Mein Yaad Rakhta Nahi Hoon Mein Us Ko Yaad Nahi
Mein Bhool Jata Hoon Us Ne Bhula Diya Hai Mujhe

Fana Ka Aakhri Jhonka Guzar Chuka Hai Sahib
K Loh-e-Dil Se Kisi Ne  Mitta Diya Hai Mujhe.....
»»  read more

Wednesday 26 March 2014

Dabi Dabi Si Woh Muskurahat; Labon Pe Apney Saja Saja Ke,


Dabi Dabi Si Woh Muskurahat; Labon Pe Apney Saja Saja Ke,
Woh Narm Lehje Me Baat Karna; Adaa Se Nazren Jhuka Jhuka Ke,

Woh Aankh Teri Shararti Si;Woh Zulff Maathey Pe Naachti Si,
Nazar Hatey Na Ek Pal Bhi;Main Thak Gaya Hoon Hata Hata ke,

Woh Tera Haathon Ki Ungliyon Ko;Mila Ke Zulfon Main Khho Sa Jana,
Haya Ko Chehrey Pe Phir Sajana,Phhool Chehra Khila Khila Ke,

Woh Haath Hooron Ke Ghar Hon Jasey,Woh Paa'On Pariyon Ke Par Hon Jasey,
Nahi Hai Teri Misaal JANAA;Main Thak Gaya Hun Bata Bata ke.. 
»»  read more

Monday 24 March 2014

Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..


Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hai..
Ik Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai..

Uss Ki Batain Mujhe Khushbu Ki Tarah Lagti Hain..
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hai..

Mere Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hai..
Woh Har Ik Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hai..

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi..
Baat Itni Hae Kay Woh Mujh Se Jafa Karta Hai..

Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi..
Wo Bahaaron Main Zara Kam Mila Karta Hai..

»»  read more

Wisal Mosam Guzar Gaya To Khyaal Ban Kar Mila Karaingy


Wisal Mosam Guzar Gaya To Khyaal Ban Kar Mila Karaingy 
Bichar Gay Hum Agar To Phir 
Maah_o_Saal Ban Kar Mila Karaingy 

Kitab_e_Ehd_o_Wafa K Ek Ek Warq Pe Apni Khabar Milegi 
Hum Ehl_e_Ulfat Mohbaton Ki Misaal Ban Kar Mila Karaingy 

Hazar Lamhon Ki Ho Musafat Dilon Ki Dharkan Sunai Degi 
Guzrty Lamhon Ki Har Sada Me Kamal Ban Kar Mila Karengy 

Abi To Lamhon Ki Dooriyon Par Bhatak Rahy Hain Magar Kabi Hum 
Falak Ki Gardish Me Aa Gay To Hilal Ban Kar Mila Karaingay

»»  read more

Sunday 23 March 2014

Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,


Kia mila us ko Mohabbat mein judayee de kar,
Jis ko paya tha Sar-e-Aam khudayee de kar,

Is ka gham ab to mujhe reza reza karta hai,
Thak gai Rooh bhi ab is ko duhaayee de kar,

Aaj bikhra hoon mein tootey huay taarae ki tarah "WASi"
Aaj wo khush hay mujhe khud se rehayee de kar.....!
»»  read more

Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se


Kaati Hai Gham Ki Raat Bare Ehtraam Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charaghon Ko Shaam Se,

Roshan Hai Apni Bazm Aur Isse Ehtemaam Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Chiragho'n Ke Naam Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dil ke JaaM Se,

Subh-E-Bahar Humko Bulati Rahi Magar,
HuM Khelte Rahe Kisi Damakti Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat ! Guzar Is MuqaaM Se,

Kati Tamaam umr Faraib-E-Bahaar Mein,
Kante Samait-te Rahe Phoolon Ke Naam Se,

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai Hamein Har MuqaaM Se...!!
»»  read more

mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de


mujhe bujha de, mera dard mukhtasir kar de
magar diye ki tarah mujh ko mo’atbar kar de

meri talaash ko benaam-o-besafar kar de
main tera raasta chhoRuu to dar-ba-dar kar de

judaaiyoN kii ye raateN to kaatnii ho'ngii
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasir kar de

tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa hoon
ke jaise bachaa kitaabein idhar-udhar kar de
»»  read more

Saturday 22 March 2014

Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna..


Lakh doori ho magar ehad nibhate rehna..
Jub b barish ho mera soog manate rehna...

Tum gaye ho to sari shaam ye adat tehri..
Bus kinare pe khare hath hilate rehna..

Jane is dil ko ye adab kahan se aaye..
Us ki rahoo me nigahoo ko bichate rehna..

ek modat se ye maamool howa hai ab to..
Aap hi roothna aap hi manate rehna..

Tum ko maaloom he Saqi, ye pagal pan hai..
Door jate howe logoo ko bulate rehna..
»»  read more

Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil se Bojh Utaar Do


Tumhe Jab Kabhi Mile Fursatein Mere Dil se Bojh Utaar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Ek Shaam Udhaar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do, K Chamak Sake Mere Khad-o-khal,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mera Sara Zang Utaar Do,

Kisi Aur Ko Mere Haal Se Koi Gharz Hai , Na Hi Wasta,
Mere Dil pe Haath Rakho Zara , Meri Dhadkano Ko Qaraar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Meri Khwahishon Ke Dayaar Ki,
Jo Bhali Lage To Yehi Raho Ise Chahaton Se Nikhaar Do,

Wahan Ghar Pe Kaun Hai Muntazir K Ho Fikr Der Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai.. esse Chandni Mein Guzaar Do,

Koi Baat Karni Hai Chand Se Kisi Shakhsaar Ki Aout Mein,
Mujhe Raaste Mein Yahin Kahin Kisi Kunj-E-Gul Mein Utaar Do…
»»  read more

Chhoti See Shikaayat Par Mounh Morh Key ChaL Deina


Chhoti See Shikaayat Par Mounh Morh Key ChaL Deina
Yeh Kaisii MOHABBAT Hey
Yeh Kaisi RaFaQat Hay
Gar Paas-e-WAFA Rakhh Kar Tum Maan Barha Daitey
BeLous RaFaaQat Par
Emaan Barhaa Deitay
Main Fakhar Say Phirr Kehtaa
Tum Jaan-e-RafaaQat Ho
Tum Baab E MOHABBAT Ho
Tehreer-e-SadaaQat Ho
Yeh Sab Hey MaGar Tabb Bhee
Hay Mujh Ko YaQeen Abb Bhii
Jo Kuchh Bhii Kahaa Main Nay.
Shikwa Hey, Shikaayat Hay Laikin.?
Ye HaQeeQat Hey
Bass Tum Say
MOHABBAT Thii
Aur Tum Se MUHABBAT He
Jo Kuchh Bhee Kahaa Tum Ney
Jazbaat Kee Shiddat Thee
Bass WaQtii Inaayatt Thii..?? 
»»  read more

Sunday 16 March 2014

Bhool Sakta Hai Unhein Koi Bhi Aise Kaise .


Bhool Sakta Hai Unhein Koi Bhi Aise Kaise ..

Loog Es Dil Mein Bassa Karte Hen Kaise Kaise ..

Jaan Le Kar Bhi Agar Khush Nahi Hoone Wala ..

Koi Batlaaye Wo Phir Maanega Waise Kaise ..

Hansste Hansste Wo Judai Ko Bhi Seh Jaaega ..
..
Zinda Reh Paaenge Lekin Mere Jaise Kese ..

Wo Tu Anmol Hai,Naayaab Hai Ikloatta Hai ..

Us Ki Tashbiyaa Karein Hum Kisi Shy Se Kaise .

Kis Tarha Koi Bhula De Tujhe Daikho "Wasi" ..

Mashware Hum Ko Mila Karte Hein Kaise Kaise...
»»  read more