Showing posts with label Judai. Show all posts
Showing posts with label Judai. Show all posts

Saturday 2 February 2013

Aankhein tanha ho jaati hain

Aankhein tanha ho jaati hain
Dard ka sehra ho jaati hain

Dil ka kya hai dil ki baatein
Aksar ruswaa ho jaati hain

Tu hota hai laiken shaamein
Kaisay tanha ho jaati hain

Teray bin yeh chandni raatein
Ghum ka naksha ho jaati hain

Asal ki janib laut kay akhir
Naslein ik ja ho jaati hain

Kyun har baar safar ki shamein
Tera chehra ho jaati hain
»»  read more

Wednesday 26 December 2012

Ye Safar Nahi Azaab Hai

Ye Safar Nahi Azaab Hai,

Yahan Her Kisi Pe Naqaab Hai,

Yahan Bad-Gumaani Ka Raaj Hai,

Yahan Be-Wafaai Rivaaj Hai,

Abhi Hosh Khoney K Din Nahi,

Abhi Tere Roney K Din Nahi,

ABHI WAQT HAI INHEY CHORR JA,

Abhi Saari Nagri Andhair Hai,

Abhi Din Nikalne Main Dair Hai,

Abhi Bahaar-e-Ishq Main Na Utar,

Abhi Shehar Sara Hai Be-Khabar,

ABHI WAQT HAI INHEY
CHHOR JA,

ABHI WAQT HAI INHEY
CHHOR JA…!!!
»»  read more

Monday 26 November 2012

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle
»»  read more

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo

Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo

Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo

Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo

Bekaar gee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo...
»»  read more

Thursday 25 October 2012

Raqs min jugnu, duaon ka safar

Raqs min jugnu, duaon ka safar.
Neem shab ki khamoshi or chasham-e-tar.

Phir teri yadon ki qandilen jalin.
Jagmaga utha mera phir khwab ghar.

Har taraf hen barzakhon k munh khule….
Zindagi he ya koi andhi qabar….

Din dhale ye kanpti chiryon ka shor.
Kat gira hoga koi burha shajar.

Min bhatakti rooh hon or char soo.
Rat, tanhai, hawa, anjan nagar
»»  read more

Sunday 14 October 2012

Tum Se Zaroori Baat Kerni Hay


Suno
Tum Se Zaroori Baat Kerni Hay
Samandar K Kinary Par

Chaly Aao Bahany Say
Mujhy Tum Par Bhrosa Hay

Tumhain Mujh Par Bharosa Hay
Mujhy Tum Se Mohabbat Hay

Tumhain Mujh Se Mohabbat Hay
Magar Yeh Bhi Haqeeqat Hay

Hamary Darmiyan Jab B
Milny Ki Baat Hoti Hay

Kabhi Main Taal Deta Hun
Kabhi Tum Rooth Jaty Ho

Hai Aisa Is Lye Shayad
Tumhain Main Paa Nahi Sakta

Mujhe Tum Kho Nahi Skty
Chalo Phir Aaj Hum Dono
»»  read more

Sunday 7 October 2012

Ker leya hai faisla kehna ussay


Ker leya hai faisla kehna ussay 
Ab na hoga rabta kehna ussay

Jis pe hum chalte rahen hain SAATH SAATH 
Kho gaya woh Rasta kehna ussay

Teri YAADEN dil se rukhsat ho gain 
Ho chuka yeh saneha kehna ussay 

Ab na dekhay ga tumhara rasta 
Dil ko main samjha chuka kehna ussay 

Chain se sone na dega Ghum tujhe 
Raat bher ab jagna kehna ussay 

Aashna ban ker na milna raah main 
"Dosti ek KHUWAB tha kehna ussay....
»»  read more

Tuesday 25 September 2012


Youn teri tammana mere dil ko dukhaati rahi 
jab bhi muskuraana chahaa aankh bhar aati rahi 

umeedon ne banaa-banna ke tode mere khwaab 
baharon mein dil ki kali khil ke murjhaati rahi.... 

thar-rati rahi ye sard palken garm ashqon se.... 
aag paani se mil ke dhuven khoob udaati rahi 

na milaa koi saharaa hi na thaama kisi ne haath 
zindagi kadam-kadam pe thokaren khaati rahi... 

ab kuch nahin hai baaki unki chaahat ke sivaa 
aise gaye hain voh ke dil ki har khushi jaati rahi 

honth to dekhe mere tune muskuraate ae sanam 
zara dekh leta aankh bhi jo ashq bahaati rahi 

vo khaa kar gaya tha kasmein ise bhuul jaane ki.n 
"Kamal" ko phir bhi uski yaad kyon aati rahi...?
»»  read more

Sunday 9 September 2012

Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay ke liye


Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay ke liye,
Shama jalnay ke liye hai ya jalanay ke liye.

Ronay walay tujhe ronay ka saliqa bhi nahi,
Ashq peenay ke leye hain ya bahanay ke liye.

Aaj keh donga shab-e gham ki shararat un say,
Roz aa jati hai kambakht satanay ke liye.

Mujh ko maloom tha aap aingay merey ghar lakin,
Khud chala aya hoon main yaad dilanay ke liye
»»  read more

Tuesday 4 September 2012

bichra hay jo aik baar to miltay nahi dekha

bichra hay jo aik baar to miltay nahi dekha
is zakham ko hum nay kabhi siltay nahi dekha

aik baar jisay chaat gai dhoop ki khwahish
phir shakh pay us phool ko khiltay nahi dekha

yak lakht gira hay to jarain tak nikal aain
jis pair ko aandhi main bhi hiltay nahi dekha

kanton main ghiray phool ko choom aaigi lakin
titli kay paron ko kabhi chubtay nahi dekha

kis tarah meri rooh hari kargaya aakhir
wo zahar jissay jism main khiltay nahi dekha,
»»  read more

Friday 24 August 2012

Har sham uussse milne ke aadat se ho gai


Har sham uussse milne ke aadat se ho gai 
phr rafta rafta usse mohabbat se ho gai

shayad ye taza taza judai ka tha aasar 
har shakal yak-bayak teri surat se ho gai

ek nam jhilmilane laga dil ke tak par
ek yad jaise bai se rahat se ho gai

khud ko saja sawar ke rakhne ka shuk tha
phr aapne aapse mujhe wehshat se ho gai

maine kabhi koi bayane safai nai diya
bas chup raha to uske wajahat se ho gai

album me koi chor gaya apne aap ko
es tarah gaybagana shafakat se ho gai
»»  read more

Monday 6 August 2012

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya


Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamaaney Laaya
Door Jaaney Ke Nitt Naye Bahaaney Laayaa

Hum Jiss Ke Lams Say Gulshan Ki Tarha Mehkey
Abb Wohi Humarey Liye Khandar Viraaney Laaya

Gunaah Ke Dar Say Barrha Dhoya Daaman Ka Daag
Abb Maathey Per Naya Daag Woh Sajaaney Laaya

Jin Jazbon Ki Qadar Na Kar Saka Tha Woh
Aaj Wohi Jazbey Hum Per Lotaaney Laaya

Jiss Ke Pyaar Mein Jaley Har Pal Shama Ki Tarha
Ranjishein Nayi....Woh Shama Bujhaaney Laaya

Jinn Phoolon Ke Muqadar Mein Khizaan Thi Likhi
Wohi Phool Sarhaaney Mairey Sajaaney Laaya

Pehley Hi Chaahaton Ke Qasoor Waar Thay Hum
Phir Woh Harjaayi Naye ilzaam Lagaaney Laaya
»»  read more

Thursday 2 August 2012

koi mujhko aisi daleel de


koi mujhko aisi daleel de
k main toot ker tere naqsh apni
aankh ki
putlion se mita sakoon
koi mujhko aisi daleel de
k main dil se
phir teri umer bher ki
rafaqaton ko mita sakoon
koi mujh ko aisi
daleel de
k main umer bher teri yaad ka
koi jashn hi na mana
sakoon
ager aisi koi sabeel hai
to phir Aazmaa !
jo nahin to
phir
mujhe yaad ker
mujhe yaad Aa
»»  read more

Tuesday 31 July 2012

Kisi Ke Youn Bichrne Se


Kisi Ke Youn Bichrne Se 
Kisi Ke Yaad Anay Se 
Bohat Se Loog Rotay Hain
Keh Rona Ek Riwayat Hai
Riwayat Toor Jata Hon
Tumhari Yaad Anay Per
Mein Aksar Muskerata Hon,,
»»  read more

Chehre Parhta Ankhein Likhta Rehta hoon


Chehre Parhta Ankhein Likhta Rehta hoon
Mai bhi kesi batein likhta rehta hoon.
sarey jism darkhto jesy lagte hain
aur banho ko shakhein likhta rehta hoo.
teri zulf ke saye dhiyaan main rehte hain
mai subho ko shamein likhta rehta hoo.
tujh se milkar sare dukh dohraoo ga
Hijar ki sari batein likhta rehta hoo.
uski beeghi palkein hansti rehti hain
mohsin jab tak ghazlein likhta rehta hoo
»»  read more

Sunday 29 July 2012

Hain Ghar Ki Muhafiz Meri


Hain Ghar Ki Muhafiz Meri
Dehki Hoi Ankhain
Main Taaq Me Rakh Aya Hon
Jalti Hoi Ankhain

Ek Pal B Ksi Moor Pe Rukny Nahi Deti
Kaanton Ki Trah Jism Me Chubhti Hoi Ankhain

Rasty Me Kadam Phoonk K
Rakhna Mere Pyaro
Hain Chaaron Traf Shehr Me Bikhri Hui Ankhain

Yon Us K Bichar Jany Pe Anso Na Bahao
Manzar Ko Taras Jaain gi Bhigi Hoi Ankhain

Qatil K Siwa Koi Samajh Hi Nahi Skta
Kya Dekhti Hain Tasht Me Rakhi Hoi Ankhain

Kya Janiye Kis Khwab Ki Taabir Me Ghum Hy
Zulfon Ki Ghani Chaanu Me Uljhi Hoi Ankhain
»»  read more

Sunday 22 July 2012

Ana Ki Baat Hai


Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai

Koi Mushkil Agar Darpaish Aye Laut Ana Tum
Tumhare Waste Dil Mie Aqeedat Ab B Baki Hai

Bala Ki Sard Mehri Hai Meri Har Baat Mie Lekin
Mere Seenay Mien Chaht Ki Hararat Ab B Baki Hai.
»»  read more

Friday 6 July 2012

saqoot-e-lub meri baat sy ziyada hy


saqoot-e-lub meri baat sy ziyada hy.
tera firaaq teri mulaqat sy ziyada hy.


ye ak shikust jo hum ko hoi mohabat main,
zamany bhar ki fatoohat sy ziyada hy.


umeed tery aaj aany ki kum hy lekin,
mery dil ka dard kal raat sy ziayada hy.


men tum sy mohabat to kar betha hon magr,
ye silsila meri aoQaat sy ziyada hy.
»»  read more

Monday 2 July 2012

Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai


Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai 

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai

Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai 

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai 

Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai Zari?
Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai
»»  read more

Friday 22 June 2012

Socha tha k kisi say payar na karen gay


Socha tha k kisi say payar na karen gay, 

Badal gya irada tujhy dakhny k bad. ღ 

Chain say so jata tha mein in sohani ratoon me,

Nendain urh gain meri tujhy dakhnny k bad
»»  read more