Showing posts with label Dard Shairy. Show all posts
Showing posts with label Dard Shairy. Show all posts

Saturday 2 February 2013

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judayi mangtay rehna

Zara sa ishq karlena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudayi maangtay rehna

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsayi mangtay rehna

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bay wafayi mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navayi mangtay rehna

Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehayi mangtay rehna
»»  read more

Wednesday 26 December 2012

Jab tujhko paata hai

Jab tujhko paata hai
Dil muskurata hai
Kya tujh se hai waasta
Kya tujh me dhoondu main
Kya tujh se chaahu main
Kya kya hai tujhme mera
Jaanu na main tujhme mera hissa hai kya
Par ajnabi apna mujhe tu lagaa..
»»  read more

Monday 26 November 2012

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf is ly nhi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai.
»»  read more

Friday 9 November 2012

Jo ham mehsoos kartay hain

Jo ham mehsoos kartay hain
agar tum tak pohonch jaye

To bass itna samajh lena
ye un jazbon ki khushboo hai

Jinhay ham keh nahi saktay...
magar tum jo ijazat do...!

To chand lafzon may keh daaloon.......
K
tum bin marr to saktay hain
Tum bin jee nai saktay..

»»  read more

Thursday 25 October 2012

Mohabbat Dukh Nahi Deti

Mohabbat Dukh Nahi Deti
Agar Be-gharz Ho Jazba

Agar Manzil baney Rasta
Agar Chahat k Pardey Main

Koi Lalach Na Ho Lipta
Agar Tum Sonp Do Sab Kuch

Silay Main Kuch Na Maango
Agar Sauda Na Ho Koi

Mohabbat Bas Mohabbat Ho
Tu Phir Yea Sukh He Deti Hae

Kabhi Dukh Nahi Deti
Mohabbat Dukh Nahi Deti
»»  read more

kabhi kisi bam k kinare

kabhi kisi bam k kinare
ugre huye per k sahare
mujhe mili hain wo mast ankhen
jo dil k patal main utar kar
gaye dinon ki gufa main jhonk

kabhi kisi ajnabi nagar main
kisi akele udas ghar main
parirukhon ki hasin sabhayen
koi bahar-e-gurez payen

kabhi sar-e-rah sar-e-ku
kabhi pas-e-dar kabhi lab-e-ju
mujhe mili hain wahi nigahen
jo ek lamhe ki dosti main
hazar baton ko kahna chahen
»»  read more

Sunday 14 October 2012

Tum Aarzoo K Diye Jala K


Tum Aarzoo K Diye Jala K
Khuda Se Achi Umeed Rakhna

Khizan K Mosam Ki Rukhsati Pe
Bahar-e-Gul Ki Naveed Rakhna

Wo Tera RUB Hai, Wo Tera Apna
Usi Ko Apna HABIB Rakhna

Usi Se Karna Tu Dil Ki Baaten
Tu Aankh May EK Nami Si Rakhna

Wo Tera RUB Hai, Wo Tera Apna
Usi Se Raaz-o-Niaz Rakhna

Usi Se Gham Ki Kahani Kehna
Ghamon Ko Dil May Nihan Na Rakhna

RAHEEM Hai Wo, KAREEM Hai Wo
Tu RUB Ko Apne Aziz Rakhna

Hai Saans Se Bhi Qareeb Tar Wo
Usi Ko Apne Kareeb Rakhna
»»  read more

Friday 5 October 2012

Kasam Di Thi Tumne Mujhko


Kasam Di Thi Tumne Mujhko, 
Juda Karo gae Na Mujhse Khudko, 

Jab Mana Tha Tumne Apna, 
Toda Phir Mera Kyon Sapna, 

Tumko Thi Mujhse Mohabbat, 
Kyon Sama Gayi Phir Tum Mein Nafrat, 

Yaadein Hain Dil Mein Uthti, 
Mujhko Hain Bechain Rakhti, 

Tumse Nahi Ab Shikwa, 
Nata Ye Mujhse Bikhra, 

Aaj Zindagi Ne Roop Hi Badla, 
Meri Soch, Adat, Mera Mazaj Hi Badla, 

Bas Aaj Ek Baat Kehne Do, 
Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do, 

Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do, 
Aaj Ye Baat Kehne Do
»»  read more

Tuesday 25 September 2012

Yahe Zindagi ka asol Hy


Yahe Zindagi ka asol Hy 

jo nahe mila usse bhool ja 

jo mila he usse dil se laga k rak 

jo nahe mila usse bhool ja 

na wo dhoop ta na wo chandni 

na charagh ta na wo roshni' 

wo khayal ta koye khawab ta

wo ta ayena usse bhool ja 

wo jo tere dil k kareeb ta 

USSE BHOOL JA USSE BHOOL JA
»»  read more

Kuch aise ghao bhi hote hain


Kuch aise ghao bhi hote hain 
Jinhen zakhmi ap nahi dhote
Bin roye huye ansuon ki tarah 
Sine main chupa ke rakhte hain
Aur sari umr nahi rote
Ninden bhi muhaiya hoti hain
Sapne bhi dur nahi hote
Kyun phir bhi jagte rahte hain
Kyun sari rat nahi sote
Ab kis se kahen ai jan-e-vafa
Ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain
Kyun bujh ke rakh nahi hote
»»  read more

Friday 14 September 2012

apna har dard dil main daba kr chalo


apna har dard dil main daba kr chalo
band palkon main aansu chhupa kr chalo

jis ne kholi zuban wohi mujhrim yahan
apne honton pe taly laga kr chalo

kon hai ab yahan apna ghum ashna

apne ghum ko he apna bana kr chalo

dil to jalta hai is aatish e ishq main
hosla hai to dil ko jala kr chalo

zabt e ghum chahiy mehfil e saz main
muskura kr chalo gunguna kr chalo

ab huy khuwab sar ko jhukane k din
hai haqiqat yehe sar utha kr chalo

barha de chuky hain jo aansu tumhen
ik dafa to unhen bhi rula k chalo
wo jo kehty hain aashi k hain bawafa
kia huwa jo unhen aazma kr chalo
»»  read more

kaar-e-duniya main kuch ae dil nahin behtar tu bhi


kaar-e-duniya main kuch ae dil nahin behtar tu bhi
koocha-e-ishq se chun laya hai kankar tu bhi

jab talak baam-e-falak par hai, sitara tu hai
aur agar toot ke gir jaye tau pathar tu bhi

ye qanaa’t bhi muhabbat ki ataa hai warna
shehr main aur buhat, aik gadager tu bhi

mere andazay se kuch barh ke thi zalim duniya
paaon rakh rah-e-tamanna pe sanbhal ker tu bhi

ajnabi lagta hai kiyun aalam-e-bedaari mujhay
kahin rehta hai mere khwaab ke andar tu bhi

main usi morr pe manzil ki talab chorr aai
ho liya jab se mere saath safar per tu bhi

main kiran war shab-e-mah main tujh per utri
mauj der mauj utha ban ke samander tu bhi

mangna bhool gai main tau tamanna ka sila
do jahan saamnay phailay thay baraber tu bhi
»»  read more

Aj main bohat udas tha

Aj main bohat udas tha
Apna na koi pass tha
Yadian ! kuch ayeen thiin
Anso b sath Layi thin
Lehrain uthee thii Kuch ghum ki
Alam bebasi Ka Kuch youn tha
Kashmakash hai samandar main
Ghum tanhai k azab main
Muhabbaton k sarab main
Awaz mairy apno ki
Ghunjhati mairy kano main
Sawal un ki ankho main
Jwab mairy ansoo main
Mousam-e-Dil bohat kharab tha
Aj Main Bohat udas Tha !
Apna na koi Pass Tha !!!!
»»  read more

us sham wo rukhsat ka saman yad rahega


us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega

wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi
wo dard k utha tha yahan yad rahega

ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega

kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yad rahega

jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega

ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega
»»  read more

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib


chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle

ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle

ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle

ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di
saikaron dar the meri jan tere dar se pehle

chand se ankh mili ji ka ujala jaga
ham ko so bar hui subah sahar se pehle
»»  read more

Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN


Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN
Meri aankhaiN me're dushman ko laga di jaiN

Be-hunr loog kahaN, harf ki sachai kahaN
Ab kitabain kisi darya main baha di jain

Un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
Ye shabeehaiN sar-e-Aaina ganwa di jaiN

Ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunr
Ishq main tuhmataiN aaiN to bhula di jaiN

Ya to khursheed chamakta rahay peshaani main
Ya lakeeraiN me'ry mathy ki mitta di jaiN

Kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki 
Yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN.....
»»  read more

Saturday 8 September 2012

koi samJhega kya raz-e-gulshan


koi samJhega kya raz-e-gulshan 
jab tak ulJhe na kaanTon se daamaN 

yak-ba-yak saamne aa na jaana 
ruk na jaaye kahin dil ki dhaDkan 

gul to gul, khaar tak chun liye haiN 
pir bhi kHaali hai gulcheeN ka daamaN 

Itni aara'ish-e aashiyaana 
TooT jaaye na shaakh-e nashemaN 

Azmat-e aashiyaana badha dee 
barF ko dost samjhooN ke dushmaN 
»»  read more

log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN


log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN 
itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN 

main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon 
roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN 

neend se mera taa'lluq hi nahin barson se 
khawab aa aa kay meri chhat pay tehaltay kyoon haiN 

mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye 
aur sab log yahin aa kay Phisaltay kyoon haiN 
»»  read more

Friday 7 September 2012

Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye


Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye
Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye

Bas gayi hai meray ehsaas mein yeh kaisi mahek
koi Khushbuu main lagaaoon teri Khushbu aaye

Main nay din raat Khuda say yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar pay meray aur tu aaye

Us ki baatein kay gul-o-laala pay shabnam barsay
Sab ko apnaanay ka us shouKh ko jaadu aaye

In dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
ShouKh khaaya hua jaisay koi aahu aaye

Us nay chu kar mujhe patthar say phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankh mein aansoo aaye
»»  read more

Tuesday 4 September 2012

yahi wada lia tha na. . .?

yahi wada lia tha na. . .?
hamesha khush he rehna hai
lo dekho!
dekh lo aakar,
meri ankho ko dekho tum,
yai kitni shokh lagti hain
mera honto ko dekho tum
hamesha muskuratay hain
koi bhi gham agar aya
usa hans kar saha mena
mera cheray ko dekho tum
kia tha menay jo tumsay
wo wada kar dia pura
magar ek baat hai jana
kabhi jo waqt mil jai
to meri shairi parhna
tumhay mehsos tu hoga
kahin talkhi bhara lehjha
kahin pa sard sa lehjha
kahin pa dard ki jehlain
kahin lehjha ki karwahat
suno!
mai khush tu hon lakin
mera har lafz rota hai
»»  read more