Monday, 5 December 2011

Gulaab Aankhein

Gulaab Aankhein
Sharab Aankhein
Yehi To hain La-Jawaab Aankhein
Inhi main Ulfat..
Inhi main Nafrat..
Sawab Aankhein
Azaab Aankhein
Kabhi Nazar main balaa ki shokhi
Kabhi Sarapa Hijaab Aankhein
Kabhi Chupati hain Raaz Dill kay
Kabhi Hain dill ki Kitaab Aankhein
Kisi Nay dekhi to Jheel Jaisi
Kisi nay Paiein Saraab Aankhein
Woh aaye to log Mujh say bolay
Hazoor Aankhein..
Janab Aankhein
Ajeeb tha Guft-Gu ka Aalam
Sawal koi Jawab Aankhein
Yeh Mast Mast Be-Misaal Aankhein
Nashay Say Her Dam Nidhaal Aankhein
Uthaein to Hosh-o-Hawaas Cheenain
Girain To kar Dein Kamal Aankhein
Koi hai Inki Karam ka Talib..
Kisi ka Shoq-e-Wisaal Aankhein
Na yoo'n Jalaein.. Na yoo'n Sataein
Karein to Kuch Yeh Khayal Aankhein
Hain Jeenay ka Ik Bahana Yaro!
Yeh Rooh-Parwar Jamal Aankhein
Daraz Palkein..
Wisaal Aankhein..
Musawari Ka Kamal Aankhein..!








0 comments:

Post a Comment