Sunday 11 December 2011

Khwab Posh Aankho main Aansu'on ka bhar jana


Khwab Posh Aankho main Aansu'on ka bhar jana

Hasrato'n kay Sahil per Titliyo'n ka mar jana,

Habs ki Hawaao'n main,Khushbuo'n ka darr jana,

Dill kay garm sehra main, Hashr ka bipa hona,

Dard La-Dawa hona,

Kya bohot Zauri tha,
Yun, Tera Juda hona...???

0 comments:

Post a Comment