Saturday, 3 March 2012

So Bhi Jaaon To Har Ek Khawab







So Bhi Jaaon To Har Ek Khawab Bura Hi Dekhoon
Main Kin Aankhon Se Dil-o-Jaan Ki Tabahi Dekhoon,
Dil Yeh Chahe Kay Palat Jaaon Khud Apne Ghar Ko
Jab Bhi Manzil Pe Bhatke Howe Raahi Dekhoon,

Tu Saher Hai TO Ufaq Se Koi Sooraj Bhi Nikaal
Main Kahaan Tak Tere Maathe Ki Siyahi Dekhoon,

Jurm-e-Na-Karda Gunahi Ki Saza Yeh Hai Kay Main
Apni Sochon Ko Bhi Zanjeer Bapaa Hi Dekhoon,

Baarhaa Tark-e-Taluq Pe Yeh Socha Maine
Tujhko Dhoondhon, Teri Afsurda Nigahi Dekhoon,

Woh Bhi Kiya Shaks Hai Khulta Hi Nahi Bhed Us Ka
Jab Bhi Dekhon Usay Duniya Se Khafaa Hi Dekhoon,

Kis Se Poochon Main Pata Apne Puraane Ghar Ka
Ajnabi Shaher Mein Har Shakhs Hi Niyaa Dekhoon,

Wussat-e-Dasht Ki Tanhi Se Darr Lagta Hai
Koi Zehro Nahi, Naqsh-e-Kaf-e-Paa Hi Dekhoon,

Mere Saathi To Meri Saff Se Alag Thehre Hain
Apne Haq Mein Kisi Dushman Ki Hawaahi Dekhoon,

Mere "Mohsin" Tera Mayaar-e-Nazar Kuch Bhi Sahi
Main To Insaan Kay Paikar Mein Khuda Hi Dekhoon.



0 comments:

Post a Comment