Wednesday, 16 May 2012

hai justaju ke khub se hai khubtar kahan


hai justaju ke khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye thaharati hai ja kar nazar kahan
yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko hum se rabt, magar is qadar kahan
ik umr chahiye ke gavara ho naish-e-ishq
rakkhi hai aj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
hum jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
aalam mein tujhase lakh sahi tu magar kahan
hoti nahi qubul dua tark-e-ishq ke
dil chahata na ho to zuban mein asar kahan
‘hali’ nishat nagma-o-mai dhundhate ho ab
aaye ho waqt-e-subh, rahe raat bhar kahan

0 comments:

Post a Comment