Friday 24 August 2012

Dil ankh ke kehne par safarat nai karta


Dil ankh ke kehne par safarat nai karta
kuch hai ki abhi uske himayat nai karta

kis bat pe rutha hai pata ho to maanaooo
wo ruth to jata hai shikayat nai karta

har bat me hote hai usske kai soo matlab
wo bat to karta hai wajahat nai karta

us shakhas ke wado me wafa aaye kidhar se
vaade bhi jo wafaye mohabbaat nai karta

main usse ruth ke jata nai ki wo aksar
ruhttho to manane ke zehmat nai karta

main uske leye sare zamane se laara hu
wo shakhas jo khud se b bagawat nai karta 

0 comments:

Post a Comment