Saturday 8 September 2012

koi samJhega kya raz-e-gulshan


koi samJhega kya raz-e-gulshan 
jab tak ulJhe na kaanTon se daamaN 

yak-ba-yak saamne aa na jaana 
ruk na jaaye kahin dil ki dhaDkan 

gul to gul, khaar tak chun liye haiN 
pir bhi kHaali hai gulcheeN ka daamaN 

Itni aara'ish-e aashiyaana 
TooT jaaye na shaakh-e nashemaN 

Azmat-e aashiyaana badha dee 
barF ko dost samjhooN ke dushmaN 

0 comments:

Post a Comment