Monday, 26 November 2012

Hum log zameen kay rehnay walay


Hum log zameen kay rehnay walay
phirty rahay asmaan sambhalay

aay mjhse khitab karny walay
chehry se naqaab to hata lay

sahir se bicharr gaye musafir
 darya main hain kashtiyon k halay

 ik bheed hai dostoon ki laikin
tanhai ny bun diye hain jalay

hum mujrim e raftaan e shab thy
tasdeeq na kar saky ujalay

duniya tjhy chortay hain hum bhi
ja tu bhi ab apna raasta lay

 soraj hai zameen pe girnay wala
mumkin ho to saye ko bacha lay

 mushkil hai Saleem ghar basana
diwar ka kya hai jo utha lay

0 comments:

Post a Comment