Friday, 30 November 2012

November poetry collection

Abhi to Ishk ki pehli seri pay qadam rakha he
Abhi se tarq-e-Dunya Abi se marny ki batain

(Mery-ban-jao)

Novamber ki ye aakhri shaam mery doston k naam
Ulfat bhara salam mery doston k naam

Khuch  ko meny mnaya Kuch ne mujhe mnaya
Hmney diye ilzaam ak dosary ke naam

Kuch waady kiye pory kuch reh gye adhory
Nibhayn ge har rishta Ehd-e-Wafa Ke naam

Chalti rhy ye dosti ta dam-e-Ikhtatataam
Mery hain ye peghaam mery Doston ke naam

Likha he ye qalam meny doston ke naam
November ki ye aakhri shaam mery doston k naam

(Mery-ban-jao)

November hosh kar pagal tuje ko kia hoa aakher
Bna barsy chale jana teri aadat na thi pehly

(Mery-ban-jao)

Alvida sham-e-November
Kuch lamhe november k
Ham ne youn guzary hain
mosam uski yadoon ke
tasveer me utary hain
Kapkapaty honton se
Dagmagati dharkan se
Hmny apny khalik se
bas dua ye mangi he
Ab ke bar sawan me
Jab bhi badal utrain to
Bas yhi tmana he
Nafraton ki barish me
dushmano ki sazish me
bas aesi guzarish me
zindagi ko jeeny ka
Ikhteyaar mill jaay
Ae mery khuda
Sabko apna pyaar mill jay

(Mery-ban-jao)





0 comments:

Post a Comment