Saturday, 9 November 2013

Best of Best December Urdu Poetry Collection December Poetry

Wo Jisy Barish Pasand Na thi
Na Jany Q aaj Dair tak tanha
December ki barish me Bhegta raha

Mery Ban Jao

Bas Aaik hi Sur Me Aak hI Ly pay Subha Se
Dekh Dekh Kesy Baras Raha He Udaas Paani

Phwaar Ke malmlain dopaty se ura Rahy Hain
Tamam Mosam Tapak Raha he

Palak Palak ras rahi he Qaynaat sari
Har aik shay bheeg bheeg kar Dekh kesi bojal si Ho gai he

Dimag ki Gili Gili Sochon se
Bhigi bhigi udaas ratain tapak rahi hain

Thaky thaky sy badan me bas dhery dhery se
Sans ka Garm lobaan jal rha he

Mery ban jao

Ik baar to milny aao december aany wala he
Kesa Guzra he ye sall batao December aany wala he

Khush ho jao K milny ka saal aa rha he phir
wasi youn na aanso bahao december aany wala he

Shayed ab k baras bhi wo lot kr na aay
Tanhaiyon abhi chor kar na jaao December aany wala he

Ae mery dukhon k sathiyo Khush ho jao
Apny apny Ghron Ko sajao December aany wala he

Kia pata Phir december aay na aay Jany (WASI)
Meri mano ab tum lot aao december aany wala he
Han December aany wala he.

Mery Ban Jao

Thathrati hoi shab-e-siya or wo bhi taweel tar mohsin
Hijer k maron py qayamat he December

Mery Ban Jao

Muhabat to barish he Jisy Chony ki khuwahish me
Hatheliyan gili ho jati hain Magar hath hmesha Khali Rehta hain

Mery Ban Jao

0 comments:

Post a Comment