Saturday, 25 January 2014

| 0 comments |

baraay-e-naam sahi koi meharban to hai.

baraay-e-naam sahi koi meharban to hai. 
hamaare sar pe bhi hone ko aasamaan to hai.

Teri farakh dili ko duwain deta hun.
mere labon pe tere lams ka nishaan to hai.

ye aur baat k wo ab yahan nahi rahta.
magar ye us ka basaya huwa makaan to hai.

alaavaa is k na kuch aur parda rakh mujh se. 
 fasil-e-jism mere tere darmiyaan to hai.

bichar k zinda nahin rah sakenge Hum Tum. 
mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to hai

0 comments:

Post a Comment