Husan_e_Be'parwah Ko Khud Bib_o_Khudara Kar Dia_
Kia Kiya Maine K Izhar_e_Tamanna Kar Dia_
Barh Gai'n Tum Se To Mil Kar Aur Bhi Be'taabiyan_
Hum Yeh Samjhe Thay K Ab Dil Ko Shakeba Kar Dia_
Parh K Tera Khatt Mere Dil Ki Ajab Haalat Hui_
Izterab_e_Shouq Ne Ek Hashar Barpa Kar Dia_
Hum Rahe Teri Khidmat Mai Sargaram_e_Niyaz_
Tujh Ko Aakhir Aashna_e_Naaz_e_Bajaa Kar Dia_
Ab Dil Ko Nahi Kisi Soorat Kisi Pehloo Qaraar_
Is Nig'hat_e_Naaz Ne Kia Sahir Aisa Kar Dia_
Ishq Se Tere Barre Kia Kia Dilon K Martabe_
Mehar Zarro'n Ko Dia Qatro'n Ko Dariya Kar Dia_
Teri Mehfil Se Uthata Ghair Mujh Ko Kia Majaal_
Dekhta Tha Mai K Tu Ne Bhi Ishara Kar Dia_
Sub Ghalat Kehte Thay Lutf_e_Yaar Ko Waja_e_Sukoo'n_
Dard_e_Dil Is Ne To Aur Dugna Kar Dia_
0 comments:
Post a Comment