Thursday 27 March 2014

Parween shakir Urdu Poetry

Meri talab tha ik shakhs wo jo nahi mila to phir
Hath dua se yon gira bhul gya sawal bhi

Uski sukhan taraziyan mery liye bhi dhal theen
Uski hansi me chup gya apny ghamon ka khiyal bhi

Gahe qreebe shahrag Gahe baede whemo Khuaab
Uski rafaqaton me raat hijar bhi tha wisal bhi

Usky bazon me pr us ko hi sochty rhy
jism ki khuahish pe the roh k aor jaal bhi

Sham ki nasamjh hawa poch rhi he ik pata
Mojh hoy koi yar kuch to mera khyal bhi



Mery Ban Jao



Kuch khabar lai to he yaad bhari uski
Shayed Is rah se guzry gi sawari us ki

Mera chehra he faqat us k nazar se roshan
Or baqi jo he mazmon nigari uski

Aaj to uspy therti na thi aankh zara
Usky jaty hi nazar meny utari uski

Arsa khuab me rehna he k lot aana he
Fesla karny ki is bar he bari uski



Mery Ban Jao


Jany kab tak teri tasweer nigahon me rahi
Ho gai raat tery aks ko takty takty

Me phir tery tasawar k kisi lamhy me
Teri tasweer py lab rakh diye aahista se


Mery Ban Jao


Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          

0 comments:

Post a Comment