Wednesday, 2 April 2014

Bhool chuka hu apni dastaan zara phir se kehna, best Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu New Poetry, Urdu Poetry, Urdu Sad Sms, Heart Touching Poetry,


Bhool chuka hu apni dastaan zara phir se kehna
Ayi kis tarah gulshan me khizan zara phir se kehna,

Qadam kabhi is tarah dagmagaye to na the
Simat kyu rha hai jahan zara phir se kehna,

Dil jo dhadakta tha meri yaad ke saayo tale
Hua kaise jazbo se anjaan zara phir se kehna,

Yu to har sham ko pegham-e-subah diya tune
Tarikh sa kyo lagta hai samaan zara phir se kehna,

Taqdeer ki laghzish thi ke nafas parasti ka janoon
Ajnabi sa tha andaz-e-bayaan zara phir se kehna,

Tere labo pe machalti huyi khamosh si junmbish
Kyo na kahu lafzo ka ziyan zara phir se kehna,

Muskrahato me jhalakte huye ashq kya maani
Koi to hoga is me raaz pinhaan zara phir se kehna,

Zindagi ki veeran raaho me aayegi bahar
Kya tera bhi hai ye emaan zara phir se kehna,

Armano ki chita jalane se kiya haasil Alamgir
Hua hai ab ye raaz nihaan zara phir se kehna.

0 comments:

Post a Comment