Showing posts with label Dosti. Show all posts
Showing posts with label Dosti. Show all posts

Wednesday, 22 August 2012

Mr.fahad naz


Lahaq Hy Yahan Marz Mohabbat Ka Sab Hi Ko
Is Sheher k Logo'n Me Waba Aam Bohat Hay

Har Darja Sharafat Ka Libada Hay Orhaa
Aur Dil Me Haqarat Ki Bala Aam Bht Hy

Risht0n Ka Yahan Paas Tou Rakhty Hyn Sab Hii Pr
Hairat Hy k Lutne Ki Sada Aam Bht Hy

Da'wa Hy k Har Fard Wafadaar Hy Yahan
Hy Darj Kitabo'n Me Jafa Aam Bht Hy

Tum Naik Taman'naye'n Tou Rakhty Ho 'Dost'
Is Sheher Me Naiki Ki Saza Aam Bht Hy
»»  read more

Sunday, 8 July 2012

Kareeb Se Tumhe Dekha


Kareeb Se Tumhe Dekha Toh Apna Paaya,
Jab Tumhe Dosti Mein Aazmaaya Toh Apna Paaya,
Tumhe Kya Naam Du Samajh Mein Nahin Aata
Dost, Pyar, Zindagi Ya Mera Saaya
»»  read more

Monday, 28 May 2012

Ye zindagi terey saath ho


Ye zindagi terey saath ho,
Ye aarzoo din raat ho,
Main terey sang sang chalon,
Tu har safar mein merey saath ho,


Main kaanton par bhi chal paron,
Teri dosti ki jab barsat ho,
»»  read more

Monday, 14 May 2012

Dosti jab kisi se ke jaye


Dosti jab kisi se ke jaye
dushmanon ke bhi raye li jaye
maut ka zeher hai fizaon mein
ab kahan ja ke sans li jaye
bas isi soch mein hun duba hua
ye nadi kaise par ke jaye
mere mazi ke zakhm bharne lage
aj phir koi bhool ke jaye
botalen khol ke to pi barason
aj dil khol ke bhi pi jaye
»»  read more

Tuesday, 1 May 2012

apny piyar sey kabhi dhoka nahi karty


karni ho muhabbat to phr socha nahi karty
anjam ho jesa bhi ye dekha nahi karty
himmat na ho larny ki to jaan-e-wafa sun,
youn ishq k meidan mein utra nahi karty
ay kash koi zamany ko itna hi btadey
key behty howy daryaon ko ruka nahi karty
hotey hain khuddar wohi log jahan mein

"Ay dost"

jo mar jatey hein 
magar apny piyar sey kabhi dhoka nahi karty...
»»  read more

Sunday, 29 April 2012

Shahar mein dhund raha hun ke sahara de de


Shahar mein dhund raha hun ke sahara de de
koi hatim jo mere hath mein kasa de de
ped sab nange faqiron ke tarah sahame hain
kis se umeed ye ke jaye ki saya de de
waqt ke sangzani noch gai sare naqush
ab wo aaina kahan jo mera chehara de de
dushmanon ke bhi koi baat to sach ho jaye
aa mere dost kisi din mujhe dhoka de de
main bahut jald hi ghar laut ke aa jaunga
meri tanhai yahan kuch dinon pehara de de
dub jana hi muqadar hai to behatar varana
tune patavar jo chini hai to tinka de de
jis ne qataron ka bhi mohataj kiya mujh ko
wo agar josh mein aa jaye to dariya de de
tum ko “rahat” ke tabiyat ka nahi andaza
wo bikhari hai magar mango to duniya de de
»»  read more

Yar bin talkh zindagani thi


Yar bin talkh zindagani thi
dosti muddai-e-jani thi
sheb mein fayada ta’mmul ka
sochana tab tha hab javani thi
mere qisse se sab ke ninden gain
kuch ajab taur ke kahani thi
ku-e-qatil se bach ke nikala khizr
isi mein us ke zindagani thi
fitr par bhi tha ‘mir’ ke ik rang
kafani pahani to zafarani thi

»»  read more