Showing posts with label Dukh Poetry. Show all posts
Showing posts with label Dukh Poetry. Show all posts

Tuesday 11 November 2014

Sad, Dukh, Dard 4 Line Shayari, SMS For FB Posts


Aaj bhi bahta ha uska diya howa zakham
Main chah kar bhi usey see na paaya
Bas kahny keliye hi zinda hon main to yaaro
Par marzi ky saath kabhi ji na paaya...!!!





Dard mein is dil ko tarrapty dekha
Samny har rishty ko bikharty dekha
Kitny piyar sy sajayi khawabon ki dunya
Usey aankon sy apny ujarrty dekha...!!!






Kiun mery dard sy tum bechain rahty ho
Aankhon sy qeemti moti baha dety ho
Aaj pochon aik sawal aap sy
Kiun door hoky bhi mery paas rahty ho...!!!






Mujhy phir sy sachool ka basta thama do
Mujhy zindagi ka sabaq buhat mushkil lagta hai...!!!





Raat palkein jhapki to aik haseen khawab aa gaya
Aapky piyar ka mahakta gulab aa gaya
Do pal aap bhi yaad kar liya karo hamein
Aankhein khuli to apki yaad mein 
aansoun ka sailab aa gaya...!!!





Bury waqt ho to lot jao tum
Sabhi chahry aazma liye ham ny...!!!





Dard deti hai mujhy hamdardi har shakhs ki
Meri dunya ujaar di aik shakhs ny yonhi dilasy dekar...!!!





Dil karta hai aag laga don is zamany ko
Jisny dard hi dard diya har deewany ko
Har pal zakham khaya hai dil ny mery
Ab kiya rah gaya aur aazmany ko...!!!






Kisi ko pany k liye hamari sari khobian bhi kam par jati han
Aur khony ky liye aik kami hai kaafi hoti hai...!!!





Rony sy kabhi kisi ko kuch hasil nahi hota
Jo bichar jaye wo sathi nahi hota
Dosron ki to ham mahfil sajaty rahty hain
Par hamari tanhayi mein kabhi koi shamil nahi hota...!!!

»»  read more

Friday 7 November 2014

Sad Image Shayari, SMS And Sad Shayari Wallpapers


Aye dil tujhe rona hai to jee khol ke ro le
Duniya se na barrh kar koi viraana mile ga...!!!





Zindagi Jab Bhi Apna Pata Deti Hai
Isme Kitna Gham Hai Bata Deti Hai
Bhool Kar Bhi Kabhi Apno Ko Na Khona
Kyu Ki Yehi Wo Baat Hai Jo Aksar Rula Deti Hai...!!!





Ab bhi aa jata hai woh mere khayalon main
Aaj bhi lagti hai haazri, us ghair hazir ki...!!!



Tarapne do abhi mujh ko 
Mohabbat jurm hai mera
Meri ankho me rehne do 
Ye aansu or behne do 
Mujhe ilzam koi do
Mohabbat jurm hai mera...!!!






Diya hai thokron ne sambhalne ka hausla
Har haadsa khayal ko gehraayi de geya...!!!





Mana Ke Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi
Magar Tunhein Meri Mohabbat Ka Ehsaas Nahi
Jaane Pee Gaye Hum Kitne Gham E Aansu
Ab Kuchh Aur Peene Ki Pyaas Nahi...!!!






Ruk Gaya Wo Waqt Ki Nishani Ban Ke
Beh Gaya Ek Din Aankh Ka Pani Ban Ke
Ajeeb Kashma kash Ban Gayi Hai Zindagi
Ae Maut Tu Hi Mil Ja Ab Ishq Ki Nishani Ban Ke...!!!






 Saaye Ne Saath Chhod Diya Yaar Ne Dil Tod Diya
Ab Toh Khuda Bhi Mere Khilaf Ho Gaya
Jo Pyar Ka Chirag Jalaya Tha Maine
Usi Chiraag Se Jalkar Main Khak Ho Gaya...!!!

»»  read more

Friday 21 March 2014

Love Shayari SMS: Dukhon Ka Raaj Chal Raha Hai Tum Intzar Karna

Love Shayari Dukhon ka Raaj chal Raha hai Tm intzar karna By Poetrysync

Dukhon Ka Raj Chal Raha Hai Tum Intzar Karna 
Main Khushian Dhond Laya To Tumhain Aa Milon Ga...!!!


»»  read more