Showing posts with label Iqbal Day. Show all posts
Showing posts with label Iqbal Day. Show all posts

Thursday 6 November 2014

9th Nov Allama Iqbal Day Wishes and Quotes with Images

Mohsin-e-Pakistan Dr. Muhammad Allama Iqbal was born on 9th November 1877 in Sialkot. I will share just few shairo of him and dedicate this thread to all of you on this Iqbal day.




Apni millat par qiyaas aqwam-e-magrib sy na kar
Khas teri tarqeeb mein qom-e-rasool hashmi
Unki jamiyat ka hai mulk-o-nasab par ikhtasar
Quwat-e-mazhab sy mustaham hai jamiyat teri...!!!



Azaim ko seeno mein baidar kar dy
Nigaah-e-musalman ko talwar kar dy...!!!




Farhang sy buhat aagy hai manzil-e-momin
Qadam utha ye maqam intaha-e-raah nahi...!!!




Jawano ko meri aah-e-sahar dy
Phir un shaheen bachon ko baal-o-par dy
Khudaya aarzoo meri yahi hai
Mera noor-e-baseerat aam kar dy...!!!





Shaheen kabhi parwaz sy thak kar nahi girta
Pur dam hai agar tu, to nahi khatra-e-aftada...!!!




Tha wo maanind khursheed rasty dikha gaya
Khudi ky falsafy sy pardy utha gaya...!!!




Tu bhi isi qaflay-e-shoq mein Iqbal
Jis qaflay-e-shoq ka salar hai roomi...!!!





Uqabi rooh jab baidar hoti hai jawano mein
Nazar aati hai un ko apni manzil aasmano mein...!!!

»»  read more

Allama Iqbal Day 9th November Wishes Shayari


Allah sy kary door to taleem bhi fitna
Imlak bhi olaad bhi jaagir bhi fitna
Na haq keliye uthy to shamsheer bhi fitna
Shamsheer kiya naraaye takbir bhi fitna...!!!




Har ibtada sy pahly har intaha ky baad
Zaat e nabi buland hai zaat e khuda ky baad,
Dunya mein ahtarm ky qabil hain jitny log
Main sab ko maanta hon Magar mustafa ky baad,
Qatl e husain asal mein marg e yazeed hai
Islam zinda hota hai har karbla ky baad...!!!



Hikmat mashriq o magrib ny sikhaya hai mujhy
Aik nukta ky gulamon keliye hai akseer,
Deen ho falsafa ho faqeer ho sultani ho
Hoty hain pukhta aqaid ki bina par tameer...!!!



Jawano ko meri aah e sahar dy
Phir un shaheen bachon ko baal o par dy,
Khudaya aarzoo meri yahi hai
Mera noor e baseerat aam kar dy...!!!



Khudi ko jis ny falak sy buland tar dekha
Wahi hai mamlite subha o shaam sy aagah...!!!



Parwana tujh sy karta hai ay shama piyar kiun
Ye jaan beqrar hai tujh par nisaar kiun,
Seemab waar rakhti hai teri adaa usey
Aadab ishq tuny sikhaye hain kiya usey,
Karta hai ye tawaf teri jalwagah ka
Phonka howa hai kiya teri barq nigah ka?
Aazar mot mein usey aaraj jaan hai kiya?
Sholy mein teri zindagi jawaidan hai kiya
Gham khana jaahn mein jo teri ziya na ho,
Is tafta dil ka nakhal tamanna hara na ho
Girna tery huzoor mein us ki nimaz hai
Nany sy dil mein lazzat soz o gudaz hai...!!!



Sitaron sy aagy jahan aur bhi hain
Abhi ishq ky imtihan aur bhi hain,
Tahi zindagi sy nahi ye fizaein
Yahan saikron karwan aur bhi hain,
Qanaat na kar aalam e rang o boo par
Chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain,
Agar kho gaya aik nasheman to kiya gham
Maqam e aaho fagan aur bhi hain,
Tu shaheen hai parwaz hai kaam tera
Tery saamny aasman aur bhi hain,
Usi roz o shab mein ulajh kar na rah ja
Ky tery zaman o makan aur bhi hain,
Gaye din ky tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mery raazdan aur bhi hain...!!!




Taa tah o baala nagard eein nizam
Danish o tahzeeb o deen sood ay kham...!!!



Tery ishq ki intiha chahata hon
Meri saadgi dekh main kiya chahata hon
Bhari bazm mein raaz ki baat kah di,
Bary by adab ho saza chahata hon...!!!



Yon to sayyad bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho
Tum sabhi kuch ho batao to musalman bhi ho?...!!!

»»  read more