Showing posts with label Tanhai. Show all posts
Showing posts with label Tanhai. Show all posts

Friday 7 September 2012

Katoon Si Chubhti Hai Tanhai


Katoon Si Chubhti Hai Tanhai
Angaroon Si Sulagti Hai Tanhai

Koi Aa Kar Hum Dono Ko Hunsa De
Main Rota Hoon Rone Lagti Hai Tanhai

Jab Bhi Tere Hisar Se Nikalna Chaha
Yaadoon K Beej Bone Lagti Hai Tanhai

Raat K Kisi Hise Main Yeh Bhi Bewafa Ho Jati Hai
Main Nahi Sota Sone Lagti Hai Tanhai

Tum Se Judaa Ho Kar Is Se Hi Dil Laga Lia Hai
Mar Sa Jata Hoon Jab Khone Lagti Hai Tanhai
»»  read more

Monday 3 September 2012

ab raat ki nagin dasti hai


ab raat ki nagin dasti hai
Nas nas main zahar utarta hai
Jab chand ki kirnain tezi se
Is dil ko cheer k aati hai
Jab aankh k andar hi aanso
Zanjeeroon se bandh jatey hain
Sab jazboon pe chaa jatey ho

TAB YYAD BOHAT TUM AATEY HO

Jab darad ki jhanjhar bajti hai
Jab raqas gamoon ka hota hai
Khawaboon ki taal pe saredukh
Wehshat ke ssaz bajatey hain
Gatey hain wahshat ki le main
Masti main jhomtey gatey hain 
Sab jazbonn pe chaa jatey ho

TAB YYAD BOHAT TUM AATEY HO
»»  read more

Wednesday 1 August 2012

DIL ko kisi ahat ki aas rehti hai (fozia saeed)

DIL ko kisi ahat ki aas rehti hai

nigha ko kisi sorat ki pyas rehti hai
tere bgar kisi cheez ki kami to nahi
bus tabiyat udass rehti hai
(fozia saeed)
»»  read more

Tuesday 31 July 2012

Safar Tanha Nahi Karte


Safar Tanha Nahi Karte 
Suno Aisa nahi karte..

Jise Shafaf Rakhna ho
usay maila nahi karte..

Tumari Ankhoo ko parhte hain
tume dekha nahi karte .....

ye unchay pairr kesy hain
ye kahi saya nahi karte..

bohat ujray hoye ghar par
bohat socha nahi karte..

tumari Ankhein ijazat de ager
to hum kya kya nahi karte..

chalo tum raaz ho apna
tume Afshaan nahi karte..

sehar se puch lo mohsin 
ke hum soya nahi karte..
»»  read more

Thursday 19 July 2012

Hum ghoom chukay basti bun main


Hum ghoom chukay basti bun main
Ik aas ki phaans liyay mun main
Koi sajan ho koi piyara ho
Koi deepak ho koi tara ho
Jab jeevan raat andhairee ho
aik baar kaho tum meri ho
Jab sawan badal cha'ay hoon
Jab phagan phool khila'ay hoon
Jab chanda roop luTata ho
Jab sooraj dhoop nahata ho
Ya shaam nay bastee ghairee ho
Aik baar kaho tum meri ho

Haan dil ka daman phaila hai
Kiyun goree ka dil maila hai
Hum kab tak peet kay dhokay main
Tum kab tak door jharokay main
Kab deed say dil ko sairee ho
Aik baar kaho tum meri ho

Kiya jhagd.ra sood Khasaray ka
Yeh kaaj naheen banjaray ka
Sab sona ropa lay ja'ay
Sab duniya, duniya lay ja'ay
Tum aik mujhay buhtairee ho
Aik baar kaho tum meri ho
»»  read more

Friday 6 July 2012

aaj gum sum hy jo barbaad jazeeroN jesi


aaj gum sum hy jo barbaad jazeeroN jesi.
uski ankhoN mn chamuk thi kabi heeroN jesi.


kitny mughroor paharoN k badan chaak hoey,
taiz kinaroN ki jo baarish hoi teeroN jesi.


jis ki yadoN sy kheyaloN k khazaany dekhy,
uss ki soorat bhi aaj dekhi faqeeroN jesi.


chahteN lub per machulti larki ki terha,
husrateN aankh main zindaan k aseeroN jesi.


hum aana parust tung dust bohat hen lekin,
ye alag baat k aadut hy ameeroN jesi.

»»  read more

Saturday 23 June 2012

zindagi yun huee basar tanha


zindagi yun huee basar tanha.
kafla saath aur safar tanha.
apnay saaey say chonk jatay hain.
umr guzri hai is kadr tanha.
raat bhar boltay hain sanatay.
raat katay koi kidhar tanha.
din guzarta nahi hai logoon main.
raat hoti nahi basar tanha.
hum nay darwazay tak to dekha tha.
phir na janay gaey kidhar tanha.
»»  read more

Tuesday 12 June 2012

Teri Arzo Mein Uthna


Teri Arzo Mein Uthna
Teri Justju Mein Chalna
Tujhy Bar Bar Sochna
Or Chupa Chupa Ka Rakhna
Tujhy Phol Phol Kehna
Tere Pas Pas Rehna
Tujhy Sath Sath Rakhna
Ye Hi Adtain Thiin Meri
Mazi Ka Sab Dino'n Mein
Ab
Muskara K Rona
Kabhi Ro K Muskarana
Raton Se Batein Karna
Taron Ko Kuch Sunana
Mazi Ki Adaton Par
Khud Hi Tohmatein Lagana
Khud Hi Khud Se Roth Jana
Khud Ko Dair Tak Manana
Ye Hi Mashgalay Hein Mere 
»»  read more

Saturday 9 June 2012

Tujhay Khabar Bhi Nahi


Tujhay Khabar Bhi Nahi
Ke Teri Udaas Adhoori
Mohabbaton Ki Kahaaniyan
Jo Bari Kushaada Dili Se
Hans Hans Ke Sun Rahaa Tha
Wo Shakhs Teri Sadaaqaton Par Fareefta
Baa-Wafaa, Saabat Qadam
Ke Jis Ki Jabeen Pe
Zaalim Raqaabaton Ki Jalan Se
Koi Shikan Na Aaeee
Wo Zabt Ki Karabnaak Shidat Se
Dil Hi Dil Mein
Khamosh, Chup Chaap
Mar Gayaa Hai…
»»  read more

Chand Tanha Hai Asman Tanha


Chand Tanha Hai Asman Tanha
Dil Mila Hai Kahan Kahan Tanha

Bujh Gai As Chup Gaya Tara
Thartharata Raha Dhuan Tanha

Zindagi Kya Isi Ko Kahte Hain
Jism Tanha Hai Aur Jan Tanha

Hamsafar Koi Gar Mile Bhi Kahin
Donon Chalte Rahe Tanha Tanha
Jalti Bujhti Si Raushani K Pare
Simta Simta Sa Ek Makan Tanha

Rah Dekha Karega Sadiyon Tak
Chor Jayenge Ye Jahan Tanha
»»  read more

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai


Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?

Jab Neend Se Ankhain Bojhal Hon,

Aur Apne Aankh Se Ojhal Hon,

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?

Jab Dil Mein Basne Waale Bhi,

Aur Saath Mein Hasnay Walay Bhi,

Jab Door Khahin Wo Bastay Hon,

Kisi Aur Ke Sath Wo Hanstay Hon,

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?

Jab Ghum Ki Raat Andhairi Ho,

Aur Us Mein Yaad Bhi TERI Ho,

Na Dil Mein Koi Ujala Ho,

Phir Neend Bhala Kab Aati Hai?

Phir Neend bhala kab ati ha..?
»»  read more

Thursday 7 June 2012

dhondnay jis mein zindagi nikli

dhondnay jis mein zindagi nikli
woh us shakhs ki gali nikili

teray lehjay mein kia nehi tha
sirf such ki zara si kami nikli

woh jo legti thi kanch ki guriya
zarb perhnay pe aahini nikli

us haveli mein shaam dhelnay per
her dereechay se roshni nikli

woh hawa tu nehi thi lerki thi
kis liye itni sirphri nikli

woh teray asmaan ka kia kerti
jis ki mitti se dosti nikli
»»  read more

Tuesday 5 June 2012

Nikal Aaye Idhar Janab Kahan


Nikal Aaye Idhar Janab Kahan
Raat Ke Vaqt Aaftab Kahan

Meri Aakhein Kisi Ke Aansoo Hain
Varna In Pathron Mein Aab Kahan

Seb Khile Hain Kisi Ke Gaalon Per
Is Baras Bagh Mein Gulab Kahan

Mere Hothon Pe Teri Khushboo Hai
Chhoo Sakegi Inhe Sharab Kahan 
»»  read more

Sunday 3 June 2012

Jahan Mein Jaaun Hawa Ka Yehi Ishara Hai


Jahan Mein Jaaun Hawa Ka Yehi Ishara Hai, 
Koi Nahi Jo Yahan Muntazir TuMhara Hai, 

Meri Bujhti Hui Aankhon Ko Roshni Bakshe, 
Wo Phool Jo Tere Chehre Ka Ista'aara Ho, 

Chala Hoon Apni Hi Baaz Awaz-E-Baazgasht Pe Yun,
Kisine Door Se Jasie Mujhe Pukara Ho, 

Ganwa Chuke Kayi UMrein UMMidwaar Tere, 
Kahan Tak Aur Teri Berukhi Ganwara Ho, 

Tu Paas Aate Hue Mujhse Door Ho Jaye, 
Ajab Nahi Ke Yehi Haadsa Dobara Ho, 

Nazar Farebi-E-Rang-ChaMan Se Bach MEKHMOOR, 
Jise Tu Phool SaMajh Ke Kahin Sharara Na Ho...
»»  read more

Tuesday 29 May 2012

Deed Heraan Us Gali Mai Hai


Deed Heraan Us Gali Mai Hai 
Kia Ajab Shaan Us Gali Mai Hai 

Baat Mai Jaan Se Guzar Jana 
Kitna Asaan Us Gali Mai Hai 

Aur Ek Baar Mujh Ko Janey Do 
Sara Samaan Us Gali Mai Hai 

Kia Khabar In Mehal Nasheenon Ko 
Apni Jo Aan Us Gali Mai Hai 

Kia Bataoon Hai Kia Woh Jaan Gali 
Meri Tou Jaan Us Gali Mai Hai 

Main Kahin Bhi Rahon, Kahin Jaon 
Dil Ka Reethan Us Gali Mai Hai 

Wohi Deewar O’ Dar, Woh Mera Ghar 
Wohi Dalaan Us Gali Mai Hai 

Main Jo Kafir Hon Us Gali Baher 
Mera Emaan Us Gali Mai Hai 

Us Gali Par Hon Jaan Se Qurban 
Meri Pehchan Us Gali Mai Hai
»»  read more

Monday 28 May 2012

Sahar jo nikla meiN apnay ghar se


Sahar jo nikla meiN apnay ghar se
To daikha ek shoaKh husn waala
Jhalak wo mukh.Day pe us sanam k
K jaisey sooraj meiN ho ujaala

Woh zulfaiN us ki siyaah parcham
k jin k bal aur shikan pe yaaro
Na pahunchay sumbul, na pahunchay raihaaN,
na phunchay mohan, na pahunchay kaala

TusaaN de milnay nooN dil hai baykal
Ehu ee gallaN nit aakhda hai
Tu sad lay mainu we apnay ghar wich
Na'eeN to itthay asaaN de naal aa
»»  read more

Saturday 26 May 2012

Zindagi Ke Har Mor Par


Zindagi Ke Har Mor Par
Hum Ne Dhoka Kha Rakha Hai

Loog Samajhte Hain
Hum Ne Duniya Ko Hansa Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!
Keh Hum Ne
Apne Ghar Ke Aik Kamre Mein

Aik Choota Sa Apni Hasraton Ka
Qabristan Bana Rakha Hai

Mout Bhi Karti Hai Hum Se Be Wafaye
Aur Ghumon Ne Humein
Sanam Khana Bana Rakha Hai

Loogo Ki Nazro Mein Hum Ne
Apne Labon Par
Majmooa-E-Aashar Saja Rakha Hai

Laiken In Ko Kia Maloom!!!
Hum Ne Ghum Aur Dukhoo Ka
Naam Khushi Bana Rakha Hai
»»  read more

Wednesday 23 May 2012

gul ko mahbub mein qayas kiya

gul ko mahbub mein qayas kiya
farq nikala bahot jo bas kiya
dil ne hum ko misal-e-aina
ek aalam se ru-shinas kiya
kuch nahi sujhata hamen us bin
shauq ne hum ko be-havas kiya
subah tak shama sar ko dhundhati rahi
kya patange ne iltemas kiya
aise vahashi kahan hain ae khuban
‘meer’ ko tum ne abas udas kiya
»»  read more

Monday 21 May 2012

Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana


Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye Woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana

Saink’roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana

Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana

Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana

Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana

Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana
»»  read more

Wednesday 16 May 2012

Tumhen bhool jaun ye hota nahi


Tumhen bhool jaun ye hota nahi
koi waqt ho dard sota nahi
na ho jao badnam tum is liye
main ro ro ke daman bhigota nahi
ye wo fasl hai jo uge khud-ba-khud
koi dard ke bij bota nahi
ye mana ke tufan ka zor hai
main ghabara ke kashti dubota nahi
»»  read more