Tuesday, 12 June 2012

harchaNd unheiN ahad faraamosh na hogaa


harchaNd unheiN ahad faraamosh na hogaa
lekin hameiN us waqt ko_ii hosh na hogaa

dekhoge to tumheN aayegii apnii vafaa yaad
Khaamosh jise paaoge, Khaamosh na hogaa

ham apnii shikastoN se haiN jis tarah baghal_giir
yooN qabr se bhii ko_ii ham_aaghosh na hogaa

pii jaate haiN zahr-e-gham-e-hastii ho ki maiy ho
ham-sa bhii zamaane meN balaanosh na hogaa

hone ko to duniya meN kaii pardaa_nashiiN haiN
lekin terii soorat ko_ii rooposh na hogaa

paaoge na aazaad-e-gham ''Anjum'' kisii dil ko
hogaa gham-e-fardaa jo gham-e-dosh na hogaa

0 comments:

Post a Comment