Showing posts with label Ghazalien. Show all posts
Showing posts with label Ghazalien. Show all posts

Tuesday, 12 February 2013

ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de


ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de
mere baazuu merii aaNkheN meraa chehraa laa de

aisaa dariyaa jo kisii aur samandar meN gire
is se behtar hai ke mujhko meraa sehraa laa de

nayaa mausam merii biinaa’ii ko tasliim nahiiN
merii aaNkhoN ko vohii Khvaab puraanaa laa de

kuch nahiiN chaahiye tujhse merii umr-e-ravaaN
meraa bachpan mere jugnuu merii guRiyaa laa de

kashtii-e-jaaN to bhanvar meN hai ka’ii barsoN se
ai Khudaa ab to Dubo de yaa kinaaraa laa de
»»  read more

Monday, 26 November 2012

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus !

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye !
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus !

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech !
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus !

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon !
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus !

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun !
Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !
»»  read more

Thursday, 25 October 2012

Wusat-e-Chasham-e-Tar Bhi Dekhain Gay

Wusat-e-Chasham-e-Tar Bhi Dekhain Gay
Hum Tujhe Bhool Kar Bhi Dekhain Gay

Zakham Par Na Jama Apne Lab
Zakham Ko Charagar Bhi Dekhain Gay

Hijjer Ki Shab Se Hoslay Apne
Bach Gay To Sehar Bhi Dekhain Gay

Raat Hone Do Log To Sone Do
Chand Ko Dar Badar Bhi Dekhain Gay

Ik Dua Dil Se Chup Kar Mangi Thi
Uss Dua Ka Asar Bhi Dekhain Gay

Chair Kar Dil Ki Rakh Ko Mohsin
Ab K Hum Raqs-e-Sharrar Bhi Dekhain Gay
»»  read more

Nazar jab tum se milti hai

Nazar jab tum se milti hai,
main khud ko bhool jata hoon,

Bas ek dhadkan dhadakti hai,
main khud ko bhol jata hoon,

Tumhein milne se pehle main,
bohat sajta sanwarti hoon,

Magar jab tum sanwartay ho,
main khud ko bhool jata hoon,

Main aksar kitabon pe
tera hi nam likhta hoon,

Magar kuch tum jo likhte ho,
main khud ko bhool jata hoon,

Main aksar ye hi kehta hoon,
main tum se pyar karti hoon,

Magar jab tum ye kehte hoon,
mai duniya bhool jata hoon
»»  read more

Friday, 17 August 2012

Unse jab jab bhi mulaqaaten huin


Unse jab jab bhi mulaqaaten huin
sari sari raat barsaten huin

Meri dunia main andhera hogaya
Ghair ke ghar chandni raaten huin

Jane kab pehlu se uth kar chal diye
Raat bhar dewar se baaten huin

Beqarari mian kate kitne hi din
khwab dekhe kitni hi raaten huin
»»  read more

Wednesday, 8 August 2012

Bohat hii bojh hai Dil par sambhala Ab nahi jata


Bohat hii bojh hai Dil par sambhala Ab nahi jata
Mujhe Aahesta chalne do zara sa Fasala Kr Do

Tapash aisi hai Jo likhna bhi chahon likh nahi skati
Sulagti Aanch ko Madham Deye ki Loo siwa Kr Do

Wo Ek Lamha jahan Khomoshi bhi Awaz bun jaye 
Saja rakhon gi Ankhon main Ye Dolat gr Atta Kr Do

Moqam-e- Ishaq ki Manzil Zara Asan Ho Jaye
Gumaan lay kr Yakeen day do Usay Mera Khuda Kr Do

Ajub Wo Marhla aya k Hijer-o-Qarab Yaksaan Hain
Asar Aub Kuch nahi hota Jafa Kr lo Wafa Kr Do

Nazar Andaz Krne ka Gilla Ab GULNAAR kyoun Hai
Kaha tha Tum se Ye Kis ne K Arz-e-Mudua Kr Do,.
»»  read more

Thursday, 19 July 2012

kabhi kitaabon mein phool rakhna


kabhi kitaabon mein phool rakhna
kabhi darakhton pe naam likhna
humein bhi yaad aaj tak woh 
nazar se harf-e-salam likhna

woh chaand chehray woh bahkee baatein
sulagtay din thay mahektee raatein 
woh chhotay chhotay se kaaghazon par 
muhabbaton ke payaam likhna

gulaab chehron se dil lagaana
woh chupke chupke nazar milaana
woh aarzoo-won ke khwab bun-na
woh qissa-e-naa-tamaam likhna

mere nazar ki haseen fazaa-won
kabhi jo un ka nishaan paao
to poochhnaa yeh kahan gayay woh 
kahan hai un ka qayam likhna
»»  read more

Thursday, 14 June 2012

GHazal likhOnK Izhaar likhOn


GHazal likhOnK Izhaar likhOn,
Ya Yahi tera andaaz-e-pyar likhOn
AGr apni Qismat ka Zara akhtiyar ho mUjhe,
TO apne naam k sath tUjhe har baar likhOn...
»»  read more

Tuesday, 12 June 2012

harchaNd unheiN ahad faraamosh na hogaa


harchaNd unheiN ahad faraamosh na hogaa
lekin hameiN us waqt ko_ii hosh na hogaa

dekhoge to tumheN aayegii apnii vafaa yaad
Khaamosh jise paaoge, Khaamosh na hogaa

ham apnii shikastoN se haiN jis tarah baghal_giir
yooN qabr se bhii ko_ii ham_aaghosh na hogaa

pii jaate haiN zahr-e-gham-e-hastii ho ki maiy ho
ham-sa bhii zamaane meN balaanosh na hogaa

hone ko to duniya meN kaii pardaa_nashiiN haiN
lekin terii soorat ko_ii rooposh na hogaa

paaoge na aazaad-e-gham ''Anjum'' kisii dil ko
hogaa gham-e-fardaa jo gham-e-dosh na hogaa
»»  read more

Friday, 1 June 2012

Reza Reza Sapno wale


Reza Reza Sapno wale,
Tooty Chehry Aadhe log,
Jane Wale Kab Aate Hain ?
Kyun Karte Hain Wadey Log.
.
Aas Mein Bethi SHEHZADI Ki
Maang Mein Chandi Jhaank Chuki,
Itni Dair Se Kyun Aaty Hain 
Aakhir ye SHEHZADE Log.
.
Pyar Ki Raah Pe Ungli Thaamy
Andha Dhund Chal Parte Hain,
Na Samjhi Mein Mar Jaate Hain 
Hum se Seedhe Saadhe Log.
.
Hum Dono Mein Kaun Hai Mujrim 
Ye Teh Hona Mushkil hai,
Aadha Shehar Tha Haami Us Ka, 
Sath They Mery Aadhy Log...
»»  read more

Mujy apny zabt pe naaz tha


Mujy apny zabt pe naaz tha

Sar_e_bazam raat ye kia hua,

Meri ankh kesy chalak parri
mujy Ranj hy' ye bura hua,

Mujhy ap keun na samjh saky 
ye apNe dil sy pochiay!!

Meri Dastan_e_Hayat ka,
hy warq warq khula hua,

Mujhy humsafar b mila koi
to meri tarah hi lutta hua,

Kbi manziloon sy hatta hua,
kbi qafiloon sy lutta hua,

Mujhy ik gali mein parra hua 
kisi Badnaseeb ka khat mila,

Kahein Khoon_e_Dil sy likha hua,
kahein Ansuoon sy mitta hua

»»  read more

Monday, 28 May 2012

بہاروں کو چمن یاد آ گیا ہے


بہاروں کو چمن یاد آ گیا ہے
مجھے وہ گل بدن یاد آ گیا ہے

لچکتی شاخ سے جب سر اٹھایا
کسی کا بانکپن یاد آ گیا ہے

میری خاموشیوں پہ ہنسنے والو
مجھے وہ کم سخن یاد آ گیا ہے

تمہیں مل کر کے آج یزداں پرستوں
غرور ِاہرمن یاد آ گیا ہے

تیری صورت کو جب دیکھا ہے میں نے
عروج فکر و فن یاد آ گیا ہے

کسی کا خوبصورت شعر سن کر
تیرا لطفِ سخن یاد آ گیا ہے

ملے وہ اجنبی بن کر تو رفعت
زمانے کا چلن یاد آ گیا ہے

»»  read more

Ker leya hai faisla kehna ossay 
abb na hoga rabta kehna ossay 

jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH 
ko gaya woh Rasta kehna ossay

teri YADEEN DIL se ruksat ho gain 
ho chuka yeh saneha kehna ossay 

abb na dekhay ga tumhara rasta 
dil ko may samjha chuka kehna ossay 

cheen se sone na dega Ghum tujhi 
raat bher abb jagna kehna ossay 

aashna bun ker na milna rah may 
Dosti ek khuwab tha kehna ossay

»»  read more

Saturday, 5 May 2012

Dil Karta Hai K Pyaar Karoon


Dil Karta Hai K Pyaar Karoon
Dil Karta Hai K Shararat Karoon

Dil Karta Hai K Baitha Rahoon
Dil Karta Hai K Dekhta Rahoon

Dil Karta Hai K Khamosh Rahoon
Dil Karta Hai K Kuch Kahoon

Dil Karta Hai K Baat Karoon
Dil Karta Hai K Tareef Karoon

Dil Karta Hai K Iqraar Karoon
Dil Karta Hai K Naraz Karoon

Dil Karta Hai K Razi Karoon
Dil Karta Hai K Chupa Rahoon

Dil Karta Hai K Intizar Karoon
Dil Karta Hai K Phir Yaad Karoon

Dil Karta Hai K Khayal Karoon
Dil Karta Hai K Khooya Rahoon

Aur Kabhi

Dil Darta Hai K Toba Karoon
»»  read more

Tuesday, 24 April 2012

dekhaa jo


dekhaa jo aa_iinaa to mujhe sochanaa paraa 
Khud se na mil sakaa to mujhe sochanaa paraa 

us kaa jo Khat milaa to mujhe sochanaa paraa 
apanaa-saa vo lagaa to mujhe sochanaa paraa 

mujhako thaa gumaan ke mujh mein hai ek adaa 
dekhii terii adaa to mujhe sochanaa paraa 

duniyaa samajh rahii thii ke naaraaz mujhase hai 
lekin vo jab milaa to mujhe sochanaa paraa 

ik din vo mere aib ginaane lagaa 'Faraz' 
jab Khud hii thak gayaa to mujhe sochanaa paraa 
»»  read more