Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charagon Ko ShaaM Se,
Roshan Hai Apni BazM Aur Isse EthaMaM Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Charagon Ke NaaM Se,
Muddat Hui Hai Khoon-E-TaManna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dilke JaaM Se,
Subah-E-Bahar HuMko Bulati Rahi Magar,
HuM Khelte Rahe Kisi DaMakti ShaaM Se,
Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat Guzar Is MukaaM Se,
Kati TaMaM UMr Fareb-E-Bahar Mein,
Kante SaMette Rahe Phoolon Ke NaaM Se,
Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai HaMein Har MukaaM Se..
0 comments:
Post a Comment