Tum jo Hanstey ho to Phoolon ki Ada lagtey ho
Aur chalte ho to ik baad-e-saba lagtey ho
Kuch na Kehna mere Kaandhe pe Jhuka kr sar ko
Kitne Maasum ho tasvir-e-wafa lagte ho
Baat karte ho to Sagar se khanak jate hen
Leher ka geet ho koyal ki sada lagty ho
Kis taraf jaogy zulfon k ye badal le kr,
Aaj machli hui sawan ki ghata lagty ho,
Tum jise dekh lo peene ki zarurat kya hy,
Zindagi bhar jo rahe aisa nasha lagty ho,
Mene mehsoos kiya tum se do baaten kr k,
Tum zamane me zamane se juda lagty ho.
0 comments:
Post a Comment