Saturday 1 February 2014

Ahmed Faraz

Best Of Ahmed faraz

Suna he log usy aankh bhar k dekhty hain
So us k sher me kuch din ther k dekhty hain

Suna he rabta he usy khuab halon se
so apny aap ko barbaad kar k dekhty hain

suna he dard ki gahk he chashm naaz us ki
so ham bhi uski gali se guzar kar dekhty hain

suna he us ko bhi he shair o shayri se shgaf
so ham bhi mojzy apny hunar k dekhty hain

suna he boly to baton se phol jarty hain
ye baat he to chalo baat kar k dekhty hain

suna he raat usko chaand takta rhta he
sitary baame falak se utar k dekhty hain

suna he din ko usy titliyan sata ti hain
suna he raat ko jugnu ther k dekhty hain

suna he hashar hain uski ghazal si ankhain
suna he hirn usko dasht bhar k dekhty hain

suna hr rat se barh kar hain kaklain uski
Suna he sham ko saay guzar k dekhty hain

Suna he uski siya chamakti qyamat he
so us ko surma frosh aah bhar k dekhty hain

suna he usky labon se gulab jalty hain
so ham bahar py ilzaam dhar k dekhty hain

suna he aayna tamshaal he jabee uski
jo sada dill he usy ban sawar k dekhty hain

suna he jab se maail hain us ki gardn me
mizaaj or hi lal-o-ghir k dekhty hain

suna he chashm tasawar se dashty amka me
palang zawiye uski kamar k dekhty hain

Suna he usky badan ki trashi aesi he
k phool apni qabaayin katar k dekhty hain

Wo saro qad he magar gul o muraad nahi
k usky shajar pe shakofy samar k dekhty hain

Bas ik nigah se nikalta he qafla dill ka
so rhdaan-e-tamana bhi dar k dekhty hain

suna he us k shbstaan se mtsal he behisht
maki udhr k bhi jalwy adhr k dekhty hain

ruky to gardisahin tawaaf us ka karti hain
chaly to zamaany usy thr k dekhty hain

k naseeb k be pirahn usy dekhty hain
kabhi kabi dar-o-diwaar ghr k dekhty hain

Kahaniyan hi sahi mubalghy hi sahi
Agr wo khuab he tabir kar k dekhty hain

ab us k shar me thrain k koch kar jaain FARAZ
Aao sitary safar k dekhty hain

0 comments:

Post a Comment