Saturday, 1 February 2014

Urdu poetry ahmed faraz

Ahmed Faraz ki akhri Ghazal

Gham-e-Hayaat ka jagra mita rha he koi
Chaly aao k dunya se jaa rha he koi

Azal Se kh do k ruk jaay do ghari
Suna He aany ka wada nibha raha he koi

Wo is naaz se bethy hain laash k paas
Jesy rothy hoy ko mana rha he koi

Palat kar naa aa jaay phir saans nabzon me
Itny haseen hathon se mayat saja rha he koi

Mery Ban Jao

Dost ban kar bhi nahi he koi saath nibhany wala
Wohi andaaz he Zalim ka zamany wala

Ab usy log samjhty hain giraftaar mera
Sakht nadaam he mujhy daam me lany wala

Kia kahain kitny mirasm thy hamary us se
Wo jo ik shakhs he monh phir k jaany wala

Tery hoty hoy aa jaati thi sari dunya
Aaj tanha hon to koi nahi aany wala

Muntazir kis ka hon me toti hoi dehliz pe main
Ko aay ga yaha kon he aany wala

Tum takalaf ko bhi akhlaas samajhty ho FARAZ
Dost hota nahi har haath milany wala

Mery Ban Jao

0 comments:

Post a Comment