Monday 5 May 2014

Romantic urdu poetry 2

Bharkayn Meri Piyas ko aksar teri aankhain


Bharkayn Meri Piyas ko aksar teri aankhain
Shra mera chehra he samandar teri aankhain

Phir kon bla dad tabsumm inhain de ga
roy gi mujh se bichar kar teri aankhain

Bojal nazar aati hain bazahir mujhy lekin
Khlti hain boht dill me utar kar teri aankhain

Ab tak meri yadon se mtay nhi mtta
Bhigi hoi sham ka manzar teri aankhain

Mumkin ho to ik taza ghazal or bhi kh lon
Phir Orh na lain khuab ki chadar teri aankhain

Yon dekhty rehna usy acha nahi Mohsin
Wo kanch ka pekar he to pathar teri aankhain


Mohsin

0 comments:

Post a Comment