Showing posts with label Love Urdu Shayari. Show all posts
Showing posts with label Love Urdu Shayari. Show all posts

Thursday 6 November 2014

Love Chahat Shayari, SMS for FB Post Status




Wo itny haseen hongy ay mery dosto
Dil ko is baat ka yaqeen aata nahi
Ab to unko paany ki chahat ho gayi hai
Unky bina ab kuch bhata nahi hai...!!!





Chahat hai kisi ki chahat paany ki
Chahat hai chahat ko aazmany ki
Wo chahy hamein chahy na chahy
Chahat hai unki chahat mein mit jany ki...!!!






Jab dekhi tumhari muskurahat
Mery dil ko mili rahat
Sochty hain kiya yahi hai chahat
Haaye ye kesi machi hai dil mein qayamat...!!!





Muskurany par shuro ho aur
Rulany par khatam ho jaye
Ye wahi zulm hai jisy log
Chahat Kahty hain...!!!






 Aap ko apny zakham dikhana chahata hon
Magar kiya karon buhat hi door hain aap
Aapko chahata hon banana sathi apna
Magar maanta hon rasmo ky hathon majboor hain aap...!!!





Pani sy tasveer kahan banti hai
Khawabon sy taqdeer kahan banti hai
Kisi ko chaho to sachy dil sy
Kiun ky ye zindagi phir kahan milti hai...!!!






Talash karo koi tumhy mil hi jaye ga
Magar hamari tarha tumhein kon chahy ga
Zaror koi chahat ki nazar sy tujhy dekhega
Magar aankhein hamari kahan sy laaye ga...!!!





Tumhain chahata hai kiun itna ye dil
Ky ab dil py bas na chaly
Buhat din sy is dil ki zid hai Sanam
Tumahin ham laga lein galy
Tumsy milny ki ab to chahat hai
Tum kiya jano dil ki kiya halat hai...!!!

»»  read more

Thursday 5 June 2014

Wafa Urdu SMS Shayari with Images


HISAAB.
Kuch to hisaab karo ham sy,
Itni WAFAEIN udhar kon deta hai...!!!




Buhat sa maan ha tum par
Suno! tum paas-e-WAFA rakhna,
Sabhi sy tum milo lekin
Zara sa fasla rakhna,
Bichar jana bhi padta hai
Zara sa hosla rakhna,
Who kurb ky lamhy
Tum aankhon mein saja rakhna,
Abhi imkan baqi hai
Lab py tum duaa rakhna,
Buhat nayab hain dekho
Hamein sab sy juda rakhna...!!!




Ham aksar nikal jaty hain bayabanon me Abbas
Suna hai WAFA waly tanhai me rahty hain...!!!




Kabhi in adaoun ka zulm kabhi un nigahon ka zulm
WAFAOUN ki kasam tery aashiq na hoty to tery qatil hoty ham...!!!




Kabhi na jhuky kisi ki WAFA ky aagy,
Tery husan ki KHUDA kary woh maqam hasil ho...!!!




Khod ko bhi baich daala ham ny phir bhi na mili,
Bazar-e-mohabbat me WAFA sab sy mahangi nikli...!!!




Ajeeb khail hai matti sy bany logon ka,
Dost
Bewafai karo to roty hain agar WAFA karo to rulaty hain...!!!




Main sun ky uski sab baatein faqat itna hi kahta hon,
Kahan aap kahan WAFA bas kejiye rahny dejiye...!!!




Meri kitabon sy bhi hogi muyassar WAFA zamany ko,
Haan magar ham na milen gy phir dhondny walon ko...!!!




Meri talash ka jurm ha ya meri WAFA ka kasoor,
Jo dil ky qareeb aaya wahi BEWAFA nikla...!!!



»»  read more

Monday 2 June 2014

Mohabbat Shayari SMS Shayari in Urdu Picture


Tum kiya jano MOHABBAT ky meem ka matlab,
Agar mil jaye to mojza aur na mily to mot...!!!




Kitni mahdood si ha dunya meri,
Ek main ik MOHABBAT meri...!!!




MOHABBAT meem sy shuro aur ty par khatam hoti hai,
Lekin meri ty aur meem tum par khatam hoti ha...!!!




MOHABBAT barhany ka tareeka aur koi nahi,
Faasla kam na hoga faisla yahi ha bas..!!!




MOHABBAT ko sanbhal rakha tha jinho ny apny aashyano ki tarha,
Woh log hain ab dafan kitabon mein dastano ki tarha...!!!




Itny nakhry dekhy nahi jaaty,
Bhaard me jaye MOHABBAT tumhari...!!!



Na samjho garoor usky is andaaz-e-MOHABBAT mein Abbas,
Woh roth ta ha ky usey mera baar baar manana acha lagta ha..!!!




Tujh sy haal bhi to pochein ham kis tareeky sy pochein Abbas,
Suna ha MOHABBAT karny waly bola kam roya buhat karty hain...!!!




Tum ko chaha to MOHABBAT ki samajh aai,
Warna is lafz ki tareef suna karty they...!!!




Kiun bar bar khud ko aayiny mein dekh kar,
Kiun meri ikloti MOHABBAT ko nazar lagaty ho...!!!



»»  read more

Mohabbat Urdu Images Poetry/Shayari for Facebook Timeline Posts


Har koi poochta ha kiya karty ho tum,
Goya MOHABBAT koi kaam hi nahi...!!!




Talash kar mujhy apny Dil me Zaid,
Dard ho smajh lena MOHABBAT tum bhi karty ho...!!!




Aaja tujhy samjha don MOHABBAT ka yeh usool bhi Abbas,
Chor jaye ga tujhy wahi jis ky liye tu chory ga sab ko yahan...!!!




Aadatein mukhtalif hain hamari dunya walon sy,
Kam MOHABBAT karty hain par lajawab karty hain...!!!




Aik had tak MOHABBAT pur lutf hai,
Uss had ky baad be had azziyat ha...!!!




Ajeeb zulm howy dunya mein MOHABBAT par
Jinhain ham mily unhain qadar nahi
Jinhain qadar thi unhain ham mily nahi...!!!




Bain karti howi aankhein ye pareshan zulfein,
Aur kiya chahaty ho is sy MOHABBAT kar ky...!!!




Buhat magroor hoty ja rahy ho,
MOHABBAT mein kami karna parry gi...!!!




Haar jao gy zaroor tum MOHABBAT ki shart me,
Agar WAFA chunty ho kisi insan keliye...!!!





Itni MOHABBAT don ky ho jaye aakhir tu mera,
Phir zamany ko tery liye tarapta dekhon...!!!


»»  read more

Romantic Love Quotes in Urdu Pictures for Him and Her


Aankhon ka faraib ha ya aks-e-jamal hai,
Aati kiun ha nazar teri soorat jaga jaga...!!!




Pahly usko socha tha ya pahly usko chaha tha,
Aisi baatein kiya sochein jab sab iqrar zubani hon...!!!




Aainy mein dekh rahy they wo bahary Husn,
Aaya mera khayal to sharma ky rah gaye...!!!




Kis tarha dekh rahy ho mujhy
Tumhari apni hon tassali rakho...!!!




Kisi din kiya khabar tujh sy bichar jaoun main
Apny sath ji bhar kar mujhy ji leny dy...!!!



Kiya kaha teri baat aur hamein buri lagy
Bas yahi ik baat buri lagi teri...!!!




Kiya kashish thi uski aankhon mein
Mat Pocho
Mujh sy mera dil larr parra woh shakhs chahiye...!!!




Sochty hain likh dein ham bhi teri maasomiat ko in kitabo mein Abbas
Dar lagta ha phir har koi tujhy paany ki koshish na kary...!!!




Tum ko uljha kar kuch sawalon me,
Main ny ji bhar ky tum ko dekh liya...!!!




Tum pochti thi na kitna piyar ha tum sy lo
Ab gin lo bondien baarish ki...!!!



»»  read more

Tuesday 27 May 2014

Urdu Mohabbat | Piyar | Ishq Poetry Images for Facebook Timeline Sharing


Zuban to kah nahi sakti tumhain ahsaas to hoga,
Meri aankhon ko parh lena mujhy tumsy MUHABBAT hai...!!!




Ehsas agar ha to MUHABBAT karo mahsoos,
Har baat ka izhar zarori nahi lab sy...!!!




Bebas kar deta qanoon-e-MUHABBAT warna,
Main tumhain itna chahon ky intiha kardon...!!!




Daboch ky khatam kar deti ha MUHABBAT aik din Shakir,
Yeh rait nahi ha jo muthi sy phisal jaye...!!!




Jo baat ham kah nahi sakty usey ham farz karty hain,
Chalo ham farz karty hain hamein tum sy MUHABBAT hai...!!!




Kuch khas dilon ko ishq ky ilhaam hoty hain,
MUHABBAT mojza hai, mojzy kab aam hoty hain...!!!




Main MUHABBAT mein us maqam par hon jahan,
Meri zaat mein rahti hai teri zaat musalsal...!!!




Abhi bhi waqt ha tum lot jao,
Mujhy tum sy MUHABBAT ho chali hai...!!!




Ajeeb halat hoti ha us MUHABBAT mein dil ki,
Udaas jab bhi yar ho qasoor apna lagta ha...!!!




MUHABBAT baqi rahny par yaqeen kitna tha dono ka,
Yahan har cheiz ha fani na tum samjhy na dil samjha...!!!


»»  read more