Showing posts with label Muhabbat Shayari. Show all posts
Showing posts with label Muhabbat Shayari. Show all posts

Friday 21 November 2014

Piyar, Muhabbat Shayari With Piyar Muhabbat Shayari Images


Jo dil ky aainy mein ho wahi hai piyar ky qabil
Warna deewar ky qabil to har tasveer hoti hai...!!!





Khobsurat sa aik pal qissa ban jata hai
Jany kab kon zindagi ka hissa ban jata hai
Kuch log zindagi mein milty hain aisy
Jisny kabhi na tootny wala rishta ban jata hai...!!!





Ham ny har saans muhabbat py fida ki hai
Har dua main teri chahat ki iltija ki hai
Tum kiya karo gy muhabbat ki intiha
Ham ny to ibtida hi intiha sy ki hai...!!!





Aagaz e ishq to khob tha yaro kiya kahon
Pahly to thi dil lagi ab dil py ja lagi...!!!





Gulab jaisa badan phool sa nikhar us par
Umand ky aayi hai ab ky baras bahar us par
Wo kal ki raat bhari dair mery pas raha
Aajab tarha sy uterta raha khumar us par...!!!





Meri zindagi to firaaq hai
Wo azal sy dil mein makeen sahi
Wo nigaah e shoq sy door hain
Rag e jaan sy laakh qareen sahi...!!!





Zehar sy bhi ziyada khatarnaak hai ye muhabbat
Agar koi isy chakhly zindagi bhar mar mar ky jeeta hai...!!!





Umer ki raah mein rasty badal jaty hain
Waqt ki aandhi mein insan badal jaty hain
Sochty hain tumhain inta yaad na karein lekin
Aankh band karty hi irady badal jaty hain...!!!

»»  read more

Saturday 15 November 2014

Love, Ishq, Muhabbat Shayari and SMS with Lovely Images


Chahat ky ye asiy afsany howey
Khud nazron mein apni begany howey
Kisi bhi rishty ka khayal nahi mujhy
Ishq mein tery is qadar deewany howey...!!!





Ishq jab tak na kar chuky ruswa
Aadmi kaam ka nahi hota...!!





Main wahan hon jahan jahan tum ho
Tum karo gy kahan kahan sy guraiz...!!!





Dil mein kuch nahi aaj dard ky siwa
Aankhon mein kuch nahi aaj teri yaad ky siwa
Tum chorna mat kabhi sath mera
Zindagi mein kuch nahi tery piyar ky siwa...!!!





Log ishq mein jaan deny ki baat
Karty hain par deta koi bhi nahi
Ham to hatheli par jan liye bethy hain
Kambakht koi maangta hi nahi...!!!





Tum mery dil mein aisy basy ho
Jaisy ky dil ki dharkan bany ho
Tum ko mery jaan khabar hi nahi hai
Mery liye tum kiya ban gaye ho...!!!





Tanhiyon mein muskurana ishq hai
Aik baat ko sab sy chupana ishq hai
Yon to neend nahi aati rat bhar
Magar jagty jagty sona aur 
soty soty jagna hi ishq hai...!!!





Tum khafa ho gaye to koi khushi na rahy gi
Tery bina charagon mein roshni na rahy gi
Kiya kahein kiya guzarti hai dil par
Zinda to raheingy par zindgi na rahy gi...!!!
»»  read more

Monday 2 June 2014

Mohabbat Shayari SMS Shayari in Urdu Picture


Tum kiya jano MOHABBAT ky meem ka matlab,
Agar mil jaye to mojza aur na mily to mot...!!!




Kitni mahdood si ha dunya meri,
Ek main ik MOHABBAT meri...!!!




MOHABBAT meem sy shuro aur ty par khatam hoti hai,
Lekin meri ty aur meem tum par khatam hoti ha...!!!




MOHABBAT barhany ka tareeka aur koi nahi,
Faasla kam na hoga faisla yahi ha bas..!!!




MOHABBAT ko sanbhal rakha tha jinho ny apny aashyano ki tarha,
Woh log hain ab dafan kitabon mein dastano ki tarha...!!!




Itny nakhry dekhy nahi jaaty,
Bhaard me jaye MOHABBAT tumhari...!!!



Na samjho garoor usky is andaaz-e-MOHABBAT mein Abbas,
Woh roth ta ha ky usey mera baar baar manana acha lagta ha..!!!




Tujh sy haal bhi to pochein ham kis tareeky sy pochein Abbas,
Suna ha MOHABBAT karny waly bola kam roya buhat karty hain...!!!




Tum ko chaha to MOHABBAT ki samajh aai,
Warna is lafz ki tareef suna karty they...!!!




Kiun bar bar khud ko aayiny mein dekh kar,
Kiun meri ikloti MOHABBAT ko nazar lagaty ho...!!!



»»  read more

Mohabbat Urdu Images Poetry/Shayari for Facebook Timeline Posts


Har koi poochta ha kiya karty ho tum,
Goya MOHABBAT koi kaam hi nahi...!!!




Talash kar mujhy apny Dil me Zaid,
Dard ho smajh lena MOHABBAT tum bhi karty ho...!!!




Aaja tujhy samjha don MOHABBAT ka yeh usool bhi Abbas,
Chor jaye ga tujhy wahi jis ky liye tu chory ga sab ko yahan...!!!




Aadatein mukhtalif hain hamari dunya walon sy,
Kam MOHABBAT karty hain par lajawab karty hain...!!!




Aik had tak MOHABBAT pur lutf hai,
Uss had ky baad be had azziyat ha...!!!




Ajeeb zulm howy dunya mein MOHABBAT par
Jinhain ham mily unhain qadar nahi
Jinhain qadar thi unhain ham mily nahi...!!!




Bain karti howi aankhein ye pareshan zulfein,
Aur kiya chahaty ho is sy MOHABBAT kar ky...!!!




Buhat magroor hoty ja rahy ho,
MOHABBAT mein kami karna parry gi...!!!




Haar jao gy zaroor tum MOHABBAT ki shart me,
Agar WAFA chunty ho kisi insan keliye...!!!





Itni MOHABBAT don ky ho jaye aakhir tu mera,
Phir zamany ko tery liye tarapta dekhon...!!!


»»  read more

Tuesday 27 May 2014

Urdu Mohabbat Shayari Wallpaper Collection for Facebook Posts


Theek hi kahta tha mery muqadar ka sitara,
Tu MUHABBAT kary ga to main gardish karonga...!!!




Raat saari guzarti ha in hisabon mein,
Usey MUHABBAT thi nahi thi hai nahi hai...!!!




Phir kabhi nahi ho sakti MUHABBAT suan ha tum ny,
Woh shakhs bhi aik tha aur mera dil bhi aik...!!!




Usky chorr jany ky bad ham MUHABBAT nahi karty,
Thodi si umer ha kis kis ko aazmaty phirein gy...!!!




Yeh qaid sikha deti ha aadab-e-MUHABBAT,
Pinjry mein prinday bhi shararat nahi karty...!!!




Mujhy samjhaya na karo ab to ho chuki mujh ko,
MUHABBAT mashwara hoti to tum sy poch kar karty...!!!




MUHABBAT ky samandar ki intiha nahi koi,
Yeh woh dard ha jis ki dawa nahi koi...!!!




Tera har baar mery khat ko parh dena aur ro dena,
Mera har baar likh dena MUHABBAT mar nahi sakti...!!!



»»  read more

Urdu Mohabbat | Piyar | Ishq Poetry Images for Facebook Timeline Sharing


Zuban to kah nahi sakti tumhain ahsaas to hoga,
Meri aankhon ko parh lena mujhy tumsy MUHABBAT hai...!!!




Ehsas agar ha to MUHABBAT karo mahsoos,
Har baat ka izhar zarori nahi lab sy...!!!




Bebas kar deta qanoon-e-MUHABBAT warna,
Main tumhain itna chahon ky intiha kardon...!!!




Daboch ky khatam kar deti ha MUHABBAT aik din Shakir,
Yeh rait nahi ha jo muthi sy phisal jaye...!!!




Jo baat ham kah nahi sakty usey ham farz karty hain,
Chalo ham farz karty hain hamein tum sy MUHABBAT hai...!!!




Kuch khas dilon ko ishq ky ilhaam hoty hain,
MUHABBAT mojza hai, mojzy kab aam hoty hain...!!!




Main MUHABBAT mein us maqam par hon jahan,
Meri zaat mein rahti hai teri zaat musalsal...!!!




Abhi bhi waqt ha tum lot jao,
Mujhy tum sy MUHABBAT ho chali hai...!!!




Ajeeb halat hoti ha us MUHABBAT mein dil ki,
Udaas jab bhi yar ho qasoor apna lagta ha...!!!




MUHABBAT baqi rahny par yaqeen kitna tha dono ka,
Yahan har cheiz ha fani na tum samjhy na dil samjha...!!!


»»  read more