Showing posts with label Missing Shayari. Show all posts
Showing posts with label Missing Shayari. Show all posts

Friday 6 June 2014

Yaad Shayari SMS in Urdu Picture


Buhat dair sy koi hichki nahi aai,
Bholny waly ki KHUDA khair kary...!!!




Buhat takleef deti hain teri YAADEIN wo sab baatein,
Faqat itna hi kahna tha ky tum lot aao to acha hai...!!!




Kis tarha khatam kar sakty hain tum ko YAAD karna,
Keh tum ko sirf mahsoos karny sy ham dunya bhool jaty hain...!!!




Raat youn dil mein teri khoi hoi YAAD aai,
Jaisy weerany mein chupky sy bahar aa jaye,
Jaisy sahraoun mein holy sy chaly baad-e-naseem
Jaisy beemar ko be waja qarar aajaye...!!!




Aa Rahi Hai Teri Yaad.
Raat ka pichla pahar hai
Maatmi malboos oadhy
Dard ki in waadiyon sy
Wahshaton ky rasty sy
Ladkhati
Dagmagati
Baal kholy
Bain karti
Chandni ko sath lekar
Meri janib chal parri hai
Aa rahi teri YAAD...!!!




Naam na lena! faqat itna kahna un sy ay hawa,
Tumhain woh YAAD karty hain jinhain tum bhool bethy ho...!!!




Surkh Ienton py nachti baarish,
Aur YAADEIN hain robaro dekho...!!!




Tapak padty hain aanso jab tumhari YAAD aati hai,
Yeh woh barsat ha ky jis ka koi mousam nahi hota...!!!




Yeh uski YAAD ha kiun sakht dhoop ki maanind,
Woh bewafa to barasti ghataoun jaisa tha...!!!




Aaj toot kar uski YAAD aai to ahsaas howa Mohsin,
Utar jaty hain jo dil mein woh bhulaye nahi jaty...!!!




Abhi masroof hon kafi
Kabhi fursat mein sochon ga,
Ky tujh ko YAAD karny mein me
Kiya kiya bhool jata hon...!!!




Yaad Ki Baarish.
Is mousam ki baarish
Kuch bhi nahi
Lekin
Tery YAAD ki barish
Har pal
Mujhy bighoti rahti hai
Meri aankhon sy musalsal
Barish hoti rahti hai...!!!




Soch tera muqam kiya hoga...!!!



»»  read more

Thursday 29 May 2014

Sad Poetry Images in Urdu about Love | Missing | Yaad


Ham usey buhat YAAD aaein gy,
Jab usey bhi koi thukraye ga...!!!




Hun muhabbat sy majboor warna,
Tujhy YAAD karna sawab thodi ha...!!!




Is bars ka naam bhi ham ny,
Teri YAADON ka saal rakha hai...!!!



Khamosh rah tanha beth ro aur YAAD kar us ko,
Tuny ishq kiya ha gunah chota nahi tera...!!!




Khud to aaty nahi YAADON ko bhi na aany diya karo,
Mujhy sirf tum sy muhabbat ha, YAADON ko YAAD sy bata dena...!!!




Mulaqatein nahi mumkin hamein ahsaas ha Lekin,
Tumhain ham YAAD karty hain bas inta YAAD rakhna tum...!!!




Pal pal rolati hain lamha lamha satati hain,
Teri YAADEIN bhi teri tarha zalim hain...!!!




Phir yoon howa teri YAAD ny ghungro pehan liye,
Aur dil tamam umer mahw-e-ruks rah gaya...!!!




Sary weham tery apny hain ham kahan tujhy bhool paein gy,
Aaj tafsil nahi bas inta suno qasam sy buhat YAAD aaty ho...!!!




Tum YAAD na kar ky bhi achy lagty ho,
KHUDA jany tum YAAD karty to kiya hota...!!!




YAAD karta hun usey aaj bhi bary sleeky sy,
Jo bhool gaya ha mujhy torr phorr kar...!!!




Buhat sataya ha kisi ki bebas YAADON ny,
Ay raat tu guzar ja ab roya nahi jata




Ik pal bhi teri YAAD sy ghafil nahi howa,
Main mazhab-e-ishq ka tahajud guzar hon...!!!



»»  read more