Showing posts with label love Sad SMS. Show all posts
Showing posts with label love Sad SMS. Show all posts

Friday 6 June 2014

Yaad Shayari SMS in Urdu Picture


Buhat dair sy koi hichki nahi aai,
Bholny waly ki KHUDA khair kary...!!!




Buhat takleef deti hain teri YAADEIN wo sab baatein,
Faqat itna hi kahna tha ky tum lot aao to acha hai...!!!




Kis tarha khatam kar sakty hain tum ko YAAD karna,
Keh tum ko sirf mahsoos karny sy ham dunya bhool jaty hain...!!!




Raat youn dil mein teri khoi hoi YAAD aai,
Jaisy weerany mein chupky sy bahar aa jaye,
Jaisy sahraoun mein holy sy chaly baad-e-naseem
Jaisy beemar ko be waja qarar aajaye...!!!




Aa Rahi Hai Teri Yaad.
Raat ka pichla pahar hai
Maatmi malboos oadhy
Dard ki in waadiyon sy
Wahshaton ky rasty sy
Ladkhati
Dagmagati
Baal kholy
Bain karti
Chandni ko sath lekar
Meri janib chal parri hai
Aa rahi teri YAAD...!!!




Naam na lena! faqat itna kahna un sy ay hawa,
Tumhain woh YAAD karty hain jinhain tum bhool bethy ho...!!!




Surkh Ienton py nachti baarish,
Aur YAADEIN hain robaro dekho...!!!




Tapak padty hain aanso jab tumhari YAAD aati hai,
Yeh woh barsat ha ky jis ka koi mousam nahi hota...!!!




Yeh uski YAAD ha kiun sakht dhoop ki maanind,
Woh bewafa to barasti ghataoun jaisa tha...!!!




Aaj toot kar uski YAAD aai to ahsaas howa Mohsin,
Utar jaty hain jo dil mein woh bhulaye nahi jaty...!!!




Abhi masroof hon kafi
Kabhi fursat mein sochon ga,
Ky tujh ko YAAD karny mein me
Kiya kiya bhool jata hon...!!!




Yaad Ki Baarish.
Is mousam ki baarish
Kuch bhi nahi
Lekin
Tery YAAD ki barish
Har pal
Mujhy bighoti rahti hai
Meri aankhon sy musalsal
Barish hoti rahti hai...!!!




Soch tera muqam kiya hoga...!!!



»»  read more

Sunday 25 May 2014

Urdu Ishq Shayari Images and SMS Collection


ISHQ hara ha to sar tham ky kiun bethy ho,
Tum to har baat py kahty they ky koi baat nahi...!!!




Lihaz-e-ISHQ na hota to tujh sy ranjishen hotein,
Shikayat sirf itni ha ky tu samjha nahi mujhko...!!!




Ly kar zanjeer hathon mein kuch log tumhari taak mein hain,
Ay ISHQ hamari galyon mein na aur phiro to acha ha...!!!




Mera seedha saadha mizaj tha mujhy ISHQ hony ki kiya khabar,
Teri ik tabassum naz ny mera sara zoq badal diya...!!!




Tu KHUDA ha na mera ISHQ farishton jaisa
Dono insan hain to kiun itny hijabon mein milein...!!!



ISHQ jis ko talaq dy dy,
Umer us ki tamam iddat...!!!




ISHQ tujh sa bura nahi koi,
Har bhaly ka bura kiya tuny...!!!




Jis din kitab-e-ISHQ ki takmeel ho gai,
Rakh dein gy zindagi tera basta utar kar...!!!




Jis umer mein aqal aati ha amoman,
Ham us umer mein ISHQ kar bethy...!!!




Tajruba aik hi ibrat keliye kafi tha,
Mainy dekha hi nahi ISHQ dobara kar ky...!!!



»»  read more

Wednesday 21 May 2014

Love Sad SMS Shayari in Urdu with Pictures


Yeh mareez-e-ishq ka haal hai ky ye zindagi bhi wabal hai,
Kabhi dard ha to dawa nahi jo dawa mili to shifa nahi...!!!




Yeh meri aqeedate-e-besabar ye meri ibadat-e-besamar,
Mujhy mery dawa-e-ishq ny na sanam diya na KHUDA diya...!!!




Yoon har nuqsan par hawi zabt raha ,
bikhar gai jab zaat to palkein bheeg gaein...!!!




Zara si ranjish par log chor dety hain daman ,
Umer beet jati ha dil ky rishty banany me...!!!




Zarorat torr deti ha garoor-e-be niazi ko,
Na hoti koi majbori to har banda khuda hota...!!!




Zindagi dard ky hathon me chali jaye gi,
Gar tera saath na paya to bikhar jaye gi...!!!




Meri barsti hoi aankhein meri rukti hoi saansein,
Mujhy aksar yeh kahti hain muhabbat ab nahi karna...!!!




Meri wafa faraib thi meri wafa py khak dal,
Tujh sa koi baa wafa tujh ko mily khuda kary...!!!




Mery hamsafar ka ye hukam tha ky main bat us sy kam karon,
Mery hont aisy sily ky phir usey meri chup ny rula diya...!!!




Yeh bewafaon ki dunya ha dil sanbhal kar chalna,
Yahan log barbad karny keliye bhi muhabbat ka sahara lety hain...!!!



»»  read more

Sunday 11 May 2014

Sad Poetry SMS in Urdu with Pictures

Sad shayari kismat ki lakeeron py aitabar karna chor diya

Kismat ki lakeero par aitabar karna chorr diya
Jab insan badal sakty han to lakireen kiun nahi...!!!



Sad shayari teri hasrat mery dil mein youn bas gai ha

Teri hasrat mery dil mein yon bas gai ha
Jaisy ik andhy ko hasrat aankhon ki...!!!



Sad   shayari tum yaad bhi aao to chup rahty hain ky ankhon ko khabar hoi to baras jaein gies.

Tum yaad bhi aao to chup rahty hain
Ky aankhon ko khabar hoi to baras jaein gi...!!!



Sad shayari usey to kho diya ha ab najany kis ko khona ha

Use to kho diya hai, abb naa jane kiss ke khona hai
Lakeeron me Judai ki alamat abb bhi baqi hai...!!!



Sad shayari Usko malom ha ky usky bin ham toot jaty hain

Us ko maloom ha ky us ky bin ham toot jaein gy
Phir kiun wo aazmata ha ham ko bichar bichar kar...!!!



Sad shayari wahan tak sath chalty hain jahan tak sath mumkin ha

Wahan tak sath chalty han jahan tak sath mumkin ha
Jahan haalat badlein gy wahan tum bhi badal jana...!!!



Sad shayari yakin mano koi majborian nahi hoti log aadtan wafa nahi karty

Yakeen mano koi majborian nahi hoti
Log aadtan wafa nahi karty...!!!



Sad shayari mainy tum sy tumhain manga to tum muskura diye

Shikwa
Mainy tumsy tumhain manga to tum muskura diye
Tum ye bhi to kah saktay they keh apni cheizein manga nahi karty...!!!"



Sad shayari muhabbat mein dil ka totna tum kabhi nahi jan pao gy

Muhabbat mein dil ka totna tum kabhi nahi jan pao gy
Agaa hoti logo mein wafa to aaj ham udaas na hoty...!!!



Sad Ghalib Shayari nikalna khuld sy aadam ka sunty aaye hain lekin

Nikalna khuld sy aadam ka sunty aaye hain lekin
Buhat by aabro ho kar tery kochy sy ham nikly...!!!


»»  read more

Saturday 10 May 2014

Sad Love Shayari in Urdu Images for Facebook Posts Vol-02

Love shayari Ham to muhabbat mein bhi toheed ky qail hain

Ham to muhabbat mein bhi toheed ky qaail hain
Aik hi shakhs ko mahboob bana rakha ha...!!!



Love shayari na thein aur koi bhi ranjishen sirf adaton mein tazad tha

 Na thein aur koi bhi ranjishen, sirf adaton mein tazad tha
Ky usey pasand thein shokhian, mujhy saadgi mein kamal tha...!!!



Love shayari ye soch ky dil phir sy hy aamada-e-ulfat

Yeh soch ky dil ha phir aamada-e-ulfat
Ky har bar muhabbat mein khasara nahi milta...!!!



Love shayari Yoon fiza mahki ky badla mery hamraz ka rang

Youn fiza mahki ky badla mery hamraz ka rang
Youn saja chand ky jhalka tery andaz ka rang...!!!



Romantic shayari kisi din bitha ky pochein gy teri aankhon sy

Kisi din bitha ky pochein gy teri aankhon sy,
Kis ne sikhaya hai unhain harr Dil me utarr jana...!!!



Sad Gham Shayari Sab samajhty han gham nahi mujh ko Hansty rahna bhi kiya musibat ha

Sab samajhty han gham nahi mujh ko
Hansty rahna bhi kiya musibat ha...!!!



Sad Mohabbat Shayari Urdu Kuch sochna chahiye tha usey sitam karny sy pahly Main uski muhabbat nahi hun magar insan to hon

Kuch sochna chahiye tha usey sitam karny sy pahly
Main uski muhabbat nahi hun, magar insan to hon...!!!



Sad Wasi Shah Sahayari Mery chahry sy mera dard na parh pao gy wasi Meri aadat ha har baat py muskura dena

Mery chahry sy mera dard na parh pao gy wasi
Meri aadat ha har baat py muskura dena...!!!



Sunday Shayari Urdu Sukoon ki bat mat kar ay dost Ky bachpan wala wo itwar ab nahi aata

Sukoon ki bat mat kar ay dost
Ky bachpan wala wo itwar ab nahi aata...!!!



Love shayari Sar-e-bazar niklon to aawargi ki tuhmat tanhia mein bethon to ilzam-e-muhabbat

Sar-e-bazar niklon to aawargi ki tuhmat
Tanhai mein bethon to ilzam-e-muhabbat...!!!


»»  read more