Showing posts with label Mohsin Poetry. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Poetry. Show all posts

Wednesday, 30 April 2014

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak, Mohsin Naqvi Poetry, Mohsin Naqvi,


Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak.
»»  read more

Thursday, 17 April 2014

Wo Mujh Se Kahen Berh K Mosibat mein tha Mohsin


Wo Mujh Se Kahen Berh K Mosibat mein tha Mohsin

Ro Ro K Magr Us ka dilaasa mujhy dyna.
»»  read more

Sunday, 13 April 2014

Ab Ke Youn Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti He


Ab Ke Youn Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti He
Rang Phooty, Kaheen Khushbu Ki Rasan Tooti He,

Maut Aai He k Taskeen Ki Sa'at Aai
Saans Tooti He k Sadiyon Ki Thakan Tooti He,

Seena-e-Gul Jahan Nikhat Bhi Giran Thehri Thi
Teer Ban Kar Wahan Sooraj Ki Kiran Tooti He,

Dil Shikasta To Kai Baar Huye Thay Lekin
Ab k Youn He k Har Ek Shakh-e-Badan Tooti He,

Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti He,

Aik Sho'la k Tah-e-Khaima-e-Jaan Lapka Tha
Aik Bijli k Sar-e-Sehan-e-Chaman Tooti He,

Silsilah Tujhse Bicharnay Pe Kahan Khatm Huwa
Ek Zamanay Se Rah-o-Rasm-e-Kuhan Tooti He,

Mery Yaaron k Tabassum Ki Kiran Maqtal Hain
Nauk-e-Naizah Ki Tarah Zair-e-Kafan Tooti He,

Raizah Raizah Me Bikharta Gaya Har Su Mohsin
Sheeshah Sheeshah Meri Sangeeni-e-Fan Tooti He.
»»  read more

Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya, Mohsin Naqvi, Mohsin Poetry,


Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya
Hum Nay Khizan Men Jashn-e-Baharan Mana Liya,

Suraj Se Chaal Chal k Bayaban Ki Dhoop Ne
Ek Bay Kafan Darakht Ka Saya Chura Liya,

Barbadiyon Ki Raat! Meri Bebasi To Dekh
Girtay Huay Makan Nay Mera Aasra Liya,

Yaaron Ka Zikr Kiya k Wafa Ki Talash Men
Hum Nay To Dushmano Ko Bhi Dil Men Basa Liya,

Aahat Suni Hawa Ki To Mohsin Nay Khauf Se
Jalta Huwa Diya Tah-e-Daama Chupa Liya.
»»  read more

Saturday, 12 April 2014

Mohsin Nqavi, Mohsin Naqvi Urdu Poetry, Mohsin Naqvi Ghazal, Woh Din Kahan k Ab Koi Mehfil Sajaiye,


Woh Din Kahan k Ab Koi Mehfil Sajaiye
Ek Dil He So Isi Se Mohabbat Nibhaeye,

Mansoob Kis Se Kijye Ashkon k Aainey
Ab Kis Ki Raah Me Ye Khazanay Lutaeye?,

Manzar Jo Aankh Men He Ganwa Dijye Usay
Pathar Jo Dil Pe He Usy Kesy Hataeye,

Ab Kon He Jo De Humain Jeenay Ka Hosla
Etnay Dukhon Me Kis k Liye Muskareye,

Kab Tak Kisi Ki Yaad Se Rakhiye Muamlah
Aandhi Me Ek Chiragh Kahan Tak Jalaeye,

Mohsin Jo Pal Men Torr De Sadiyon Ki Dosti
Us Bewafa Ki Salgirah Kya Manaeye.
»»  read more

Friday, 11 April 2014

Mangay He Mujhse Dil Teri Sari Nishaniyan, mohsin Naqvi Poety, Mohsin Poetry,



Mangay He Mujhse Dil Teri Sari Nishaniyan
Batain Puraniyan' Wohi Raatain Suhaniyan,

Aankhon Me Gholti Hain Nashay Ki Sharartain
Chaalak Chandni Me Chehakti Jawaniyan,

Un Par To Qarz Hain Merey Harfon k Zaeqey
Ab Jinko Aagayen Bari Baati Bananiyan,

Ae Eshq Aa k Pher Se Koi Tajarbah Karain
Men Bhoolny Laga Hon Purani Kahaniyan,

Woh Terey Qehqahy Thay k Jaisey Hajoom Me
Tootain Kalaiyon Men Khanakti Kamaniyan,

Yeh Merey Ashk Hain k Paharron Me Jis Tarah
Roaen Basant Rut Me Naddi Ki Rawaniyan,

Ek Terey Roothney Se Fiza He Badal Gaye
Ab Shehar Bhar Me Phail Gayin Bad-Gumaniyan,

Mango Dua k Khailti Khilti Rahen Sada
Shehron Ki Dulhanain, Meri Basti Ki Raaniyan,

Mohsin Ko Kuch To Hadd-e-Sitam Ka Suragh De
Kab Tak Raqam Karon Me Teri Meharbaniyan?
»»  read more