Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazal. Show all posts

Tuesday, 30 September 2014

Jin Rahon pe ik tere sath raha hon, Heart Touching Poetry, Top Class Poetry,

Jin Rahon pe ik tere sath raha hon 
kuch roz se wo raste sunsaan bhoht hay
Mil jaow kabi tu lott k phir aon na shaied
Kamzor hon mai rah main toufan bhoht hay.
»»  read more

Monday, 15 September 2014

Kashtiya Reh Jati Hai Tufan Chale Jate Hai,

Kashtiya Reh Jati Hai
Tufan Chale Jate Hai,

Yaad Reh Jati Hai
Insaan Chale Jate Hai,

Pyar Kam Nahi Hota Hai
Kisi Ke Dur Jane Se,

Bas Dard Hota Hai
Unki Yaad Aane Se.
»»  read more

Friday, 12 September 2014

Parveen Shakir Poetry, Parveen Shakir Romantic Poetry,


Nazar jab us se milti thi
Men khud ko bhool jata tha
Bas ik dharrkan dharrakti thi
Men DIL ko bhool jata tha
Ussay milney se pehley men boht sajta sanwrta tha.
Magar jab wo sanwarti thi
Men khud ko bhool jata tha
Men aksar kitabon pr
Usi ka nam likhta tha
Magar kuch wo jo likhti thi
Men likhna bhol jata tha
Men aksar hi ye kehta tha
Men tum se pyar krta hon
Mgr jab wo ye kehti thi
Me dunya bhol jata tha.
»»  read more

Friday, 29 August 2014

Tum Ne Bhi Kon Sa Chaha Tha Mujhay.

Tum Ne Bhi Kon Sa Chaha Tha Mujhay.
Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Sms, Urdu Poetry, 
»»  read more

Friday, 15 August 2014

Main Logon se Mulaqaton K Lamhe yaad Rakhta Hun,

Main Logon se Mulaqaton K
Lamhe yaad Rakhta Hun,
Batain Bhool Bhi Jaon To Lehjay
yaad Rakhta Hun,
Sar-E-Mehfil Nigahain Mujh pe Jin
Logo Ki Parti Hain,
Nigahon K Hawaly se wo Chehry
yaad Rakhta Hun,
Zara sa Hatt K Chalta Hun Zamany
Ki Riwayat Se,
K Jin pe Bojh Main dalon wo
Kandhy yaad Rakhta Hun,
Dosti Jis Se Ki Us Say Nibhaon ga
Jee Jaan se,
Main Dosti K Hawaly Se Rishtay
yaad Rakhta Hun.
»»  read more

Tuesday, 12 August 2014

Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo


Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo
Kam to pehle bhi nahin aur to ruswaa na karo,

Kabhi jugnu, kabhi taarey, kabhi nargis keh kar
Tum meri aankhon ko is tarah chairra na karo,

Bhaamp* jaye na kahin dil ki lagi yeh dunyaa
Yu’n shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo,

Baat choti si bhi afsaana bana deti hai
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo,

Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo,

Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain
Raat ko der talak tum mujhe socha na karo,

Saamney sab ke kare kis tarah iqraar Batool
Yu’n sar-e-bazm to is se yeh taqaaza na karo.
»»  read more

Friday, 1 August 2014

Urdu Sms


Har kisi ko duniya mein shohratein nahi milteen
Zindagi k lamhon ki qeematein nahi milteen,

Fatah ki khwahish me amal bhi to laazim hain
Sirf kuch iraadon se manzilein nahi milteen,

Faislay ye chahat k aasman pe hote hain
Do dilon k milnay se qismatein nahi miltieen,

Deen aur duniya ko sath hi rakhna parta hai
Masjidon me rehne se janattain nahi milten,

Maan lo zamanay me aur bhi hain hum jaisay
Hasb-e-aarzoo jin ko chahtein nahi milten.
»»  read more

Kisi k khaatir Qarar Khona, Dard E Dil Poetry,


Kisi k khaatir Qarar Khona
Koi Sunay ga To Kya Kahe ga?

Tumhara Raaton Ko Uth K Rona
Koi Sunay ga To Kya Kahe ga?

Zamana Ehd-E-Shabab Ka hai
Naye Khwab-O-Khyal Ka hai

Shab-E-Bedari Or din ka sona,
Koi Sunay ga To Kya Kahe ga?

Bhanwar Me Tum Mujhy chhor aate
U hi Mohabat Ka Raaz rehta

La K Saahil Py U Dubona,
Koi Sunay ga To Kya Kahe ga?

Kaha ye meny daro KHUDA sy
mera ye dil to dharak raha hy,

Wo hans k bole Chup raho na
Koi Sunay ga To Kya Kahe ga.
»»  read more

Mohabbat Ki Dastaan Dil Ki Awaz Main


Gham ke pataal mein tumhein chaha
Hum ne her haal mein tumhein chaha,

Jab darktoon pe phool aae thy
Bus issi saal mein tumhein chaha,

Koun hai jis ne youn hamari tarha
Waqt ke jaal mein tumhein chaha,

Aik shola sa tha koi jis ne
Qalab-e-pamaal mein tumhein chaha,

Yeh tou hum jante hain Farhat Jee
Hum ne kis haal mein tumhein chaha.
»»  read more

Urdu Ki Behtareen Ghazal,

 
Dil Ne Gham K Pahaar Ko Dekha
Main Ne Khud Mein Daraar Ko Dekha,

Dasht Kehta Hai Mujh Se Hairat Se
Main Ne Tujh Mein Ujaar Ko Dekha,

Khauf Aasaib Ban K Aa Betha
Dil Ne Khud Ro Se Jhaar Ko Dekha,

Ban Gaya Hai Khala Mere Andar
Main Ne Apni Pichaar Ko Dekha,

Main Khudi Se Nikal Gaya Bahir
Jo'n Hi Nafrat Ki Aar Ko Dekha,

Naqsh Chehray K Dhul Gaye
Jab Bhi Dil Main Bigaar Ko Dekha.
»»  read more

Sunday, 15 June 2014

Ek gazal tere liye zaroor likhuga


Ek gazal tere liye zaroor likhuga
Behisaab us mein tera qasoor likhuga,

Toot gye bachpan k tere sare khiloony
Ab Diloon se khelna tera dastoor likhuga.

Raha ishq ka daava tujhe tamam umar
Wafa ki dehleez se tujhe mafroor likhuga.

Tera wajood mera wajood mujhe ek sa lage
Par tujhe main khud se bohat door likhuga.


Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Poetry, Urdu Love Sms, 
Urdu Ghazal Sms, Heart Touching Poetry, Heart Touching Sms, 
»»  read more

Monday, 9 June 2014

Mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra


Mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra
Meri neendain churata hai tumhara chand sa chehra,

Keh jub bhi zikr hota hai kisi hoor-o-shumail ka
Mujhay phir yaad aata hai tumhara chand sa chehra,

Falak k in sitaroon ko main sari raat ginta hoon
Mujhay shub bher jagata hai tumhara chand sa chehra,

Main jub bhi dard ki tughyanioun mein doob jata hoon
Mujhay wapis bulata hai tumhara chand sa chehra,

Andheri ratoon mein aksar tumhain main yaad kerta hoon
Kahan gum ho sa jata hai tumhara chand sa chehra,

Hai jo charon taraf phaili teri hi roshni hai ye
Falak per jagmagata hai tumhara chand sa chehra.
»»  read more

Muhabat kiss ko kehtay hain, Romantic Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Romantic Sms, Urdu Sms,


Muhabat kiss ko kehtay hain
Hamay tum nay sikhaya tha,

Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabat ki kisi wadi main khoya thay,

Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main soyay thay
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee,

Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhooN ne
Buhat khushfehmian palay,

Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main,

Hamay ik umer lagni thee
To uss damm aik pal socha!,

Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain
Kisi nayi oor ja niklain,

Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain,

Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain,

Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen balkay dharakta dill hi rakhtay hain.
»»  read more

Sunday, 8 June 2014

Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha


Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha
Chehra Wohi Tha Chehra Ka Libas Wohi Tha,

Kese Us Ko Bewafa Keh Doon Yaro
Aaj Be Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha.



best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu New Poetry, 
Urdu Sms, Urdu Image Poetry, 
»»  read more

Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De


Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Oh Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,

Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Darr Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,

Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kachcha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De.
»»  read more

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Skay Main Wo Aik Musht-e Ghubar Hon,

Mera Rang Rop Bigar Gya, Mera Yar Muj Se Bichar Gaya
Jo Chaman Khazan Se Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasal-e Bahar Hoon,

Na To Main Kisi Ka Habib Hon,Jo Jur Gya Wo Dyar Hoon
Pye Fatih Koi Aye Kun, Koi Char Phol Charhaye Kun,

Koi Aa Ke Shama Jalaye Kun Main Wo Be Kasi Ka Mazar Hoon
Main Nahin Hoon Nagma-e Janfran, Muje Sun Ke Koi Kare Ga Kiya
Main Baray Brog Ki Hoon Sada Main Bare Dukhi Ki Pukaar Hoon.



Bahadur Shah Zafar, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Sms, 
»»  read more

Saturday, 7 June 2014

Ager wo meherban hota tu


Ager wo meherban hota tu
Meri aankh mein yeh jhilmilati nami na hoti
Meray dil ki wadi mein khazan ka qafla na rukta
Ager wo meherban hota tu
Meri benoor aankhon mein sitaaray qaid ker deta
Meri zakhmi hatheli pe ik phool dhar deta
Meray haton ko haton mein leker wo yeh kehta
Muhabat rang hai, khusbu hai
Roshni hai , Sitara hai
Qasam muj ko muhabat ki
Muje tu sab se payara hai
Meger wo aisa tab kehta
AGER WO MEHERBAN HOTA.
»»  read more

Sunday, 1 June 2014

Us Ka To Har Andaaz Nirala Sa Lagta Hai


Us Ka To Har Andaaz Nirala Sa Lagta Hai
Qatil Hai Mera Aur Masiha Sa Lagta Hai,

Wo Jis Se Koi Khaas Ta’aruf Bhi Nahi Hai
Jub Bhi Nazar Aa jaye to Apna Sa Lagta Hai,

Hum UsKe Bina Jaise Mukammal Hi Nahi
Jo Kaam Bhi Karte Hai Adhura Sa Lagta Hai,

Main UsKi Har ek Baat Ko Kis Tarha Na Manoon
Wo Jhoot Bhi Bole To Sachcha Sa Lagta Hai,

Ek Umar Hui Toote Hue Dil Ko Hamare
Ye Zakhm Magar Aaj Bhi Kal Ka Sa Lagta Hai,

Itni Si Khata Par Keh Tera Naam Liya Tha
Har Shaks Mere Khoon Ka Pyasa Sa Lagta Hai.
»»  read more

Thursday, 29 May 2014

Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai


Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai
Kagaz ki haveli hai,Baarish ka zamaana hai

Kya shart-e-mohabbat hai,Kya shart-e-zamaana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur Gaana bhi gaana hai

Uss par utarne ki Umeed bahut kam hai
Kashti bhi purani hai,Tufaan ko bhi aana hai

Samjhe ya na samjhe wo Andaaz mohabbat ke
Ek shaks ko aankho se Ek sher sunana hai

Bholi si ada,Koi fir ishq ki zid par hai
Fir aag ka dariya hai AUR doob ke jaana hai
Doob ke jaana hai.

»»  read more

Tuesday, 27 May 2014

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo


Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,

Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,

Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,

Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,

Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo.
»»  read more