Showing posts with label Shikwa Shikayat Shayari. Show all posts
Showing posts with label Shikwa Shikayat Shayari. Show all posts

Wednesday 4 June 2014

Gila Shikwa Shayari Urdu Images Collection


Mujh sy kiya gila tum ko itny badguman kiun ho tum,
Mainy tum ko chaaha hai tum sy to kuch nahi chaha...!!!




Qayamat ka to suna tha ky koi kisi ka na hoga,
Magar ab to dunya mein bhi yeh riwaj aam ho gaya hai...!!!




Main ghareeb ka bacha tha is liye bhooka rah gaya,
Pait bhar gaya jo kutta ameeron ky ghar ka tha...!!!




Main so jounga khamosh yonhi bhook aur piyaas sy,
Ay ameeron agar ha gila tum ko mery libas sy...!!!




Main to ghazal suna ky akela khara raha,
Sab apny apny chahany walon me kho gaye...!!!




Meri zuban sy shayad meri khatayein hon na sakein bayaan,
Haan mery apny bata deingy tujhy mery gunah saary...!!!




Mery ilm ny kiya bekhabar amal sy mujhy YA RAB,
Warna har cheiz jhukti ha tery aagy madhosh ho kar...!!!




Mery rooth jany sy ab unko farq nahi parrta,
Bechian kar deti thi kabhi jin ko khamoshi meri...!!!




Raat gahri thi dar bhi sakty they 
Ham jo kahty they woh bhi kar sakty they
Tum jo bichrry to yeh bhi na socha
Keh ham to pagal they mar sakty they...!!!




Yon daal ky phirty ho Naqabon py Naqab,
Be aib ha chahra to dikha kiun nahi dety...!!!




Aawaz kiya shakal bhi pahachanta nahi,
Ghafil hamary haal sy woh is kadar howa...!!!



»»  read more

Tuesday 3 June 2014

Top Ten Urdu Image Shikwa Shayari Collection for Facebook


Hota nahi ha tujh py kisi baat ka asar,
Lagta tery roop mein pather mila mujhy...!!!




Kaanty to naseeb mein aany hi they,
Phool jo ham ny gulab chuna tha...!!!




Machalty rahty hain zehan mein waswason ki tarha,
Haseen log bhi jaan ka wabal hoty hain...!!!




Afsos to ha tery badal jany ka magar,
Teri kuch baaton ny mujhy jeena sikha diya...!!!




Apni hansi sy laga ly andaz mery dard ka Abbas,
Zarori to nahi tery har sitam ka hawala meri zuban sy ho...!!!




Ghor sy dekh meri masomiat ko ay ibn-e-aadam,
Main hawwa ki nishani hon tery hath ka khilona nahi...!!!




Is sooraj ka mizaj bhi us shakhs jaisy hain Abbas,
Bin jis ky ham ji nahi sakty aur paas jaty hain to jala deta ha...!!!




Kesy guzar rahi ha sabhi pochty to hain,
Kesy guzarta hun koi pochta nahi...!!!




Kitny hi gily they zuban py hamari,
Yeh alag baat ha ky sun ny wala na tha...!!!




Kuch aur bhi han kaam hamein gham-e-janaan,
Kab tak koi uljhi hoi zulfo ko sanwary...!!!



»»  read more

Shikwa Sad Shayari Collection in Urdu




Tum mery liye koi ilzaam na dhondo,
Chaha tha tumhain yahi ilzam buhat ha...!!!




Tum to kuch mahdood sy lamhon mein mily ho ham sy,
Phir jany kiun ham itni fursat sy tumhain sochty hain...!!!




Suna ha kafi parh likh gaye ho tum,
Kabhi woh bhi to parho jo ham kah nahi paaty...!!!




Shahar-e-gurbat me mot dair sy mat aaya kar,
Kharcha tadfeen ka bemari py lag jata hai...!!!




Waqt taizi sy badal gaya
Aur tum
Waqt sy bhi taiz nikly...!!!




Shayad khushi ka dor bhi aaye ga ik din,
Gham bhi to mil gaye they tamanna kiye bagair...!!!




Subha hoti hai sham hoti hai,
Umer yonhi tamam hoti hai...!!!




Tarteeb-e-sitam ka bhi saleeka tha usey,
Pahly pagal kiya mujhy phir pathar maary...!!!




Teri aagosh mein jannat aur jahan dono ka sakoon tha,
Is pathar par sar rakh ka mujh sy soya nahi jata ay maan...!!!




Tu samajhta ha ky jeeny ki hawas ha mujh ko,
Main to is aas py zinda hon ky marna kab hai...???



»»  read more