Showing posts with label Shikwa SMS. Show all posts
Showing posts with label Shikwa SMS. Show all posts

Wednesday 4 June 2014

Gila Shikwa Shayari Urdu Images Collection


Mujh sy kiya gila tum ko itny badguman kiun ho tum,
Mainy tum ko chaaha hai tum sy to kuch nahi chaha...!!!




Qayamat ka to suna tha ky koi kisi ka na hoga,
Magar ab to dunya mein bhi yeh riwaj aam ho gaya hai...!!!




Main ghareeb ka bacha tha is liye bhooka rah gaya,
Pait bhar gaya jo kutta ameeron ky ghar ka tha...!!!




Main so jounga khamosh yonhi bhook aur piyaas sy,
Ay ameeron agar ha gila tum ko mery libas sy...!!!




Main to ghazal suna ky akela khara raha,
Sab apny apny chahany walon me kho gaye...!!!




Meri zuban sy shayad meri khatayein hon na sakein bayaan,
Haan mery apny bata deingy tujhy mery gunah saary...!!!




Mery ilm ny kiya bekhabar amal sy mujhy YA RAB,
Warna har cheiz jhukti ha tery aagy madhosh ho kar...!!!




Mery rooth jany sy ab unko farq nahi parrta,
Bechian kar deti thi kabhi jin ko khamoshi meri...!!!




Raat gahri thi dar bhi sakty they 
Ham jo kahty they woh bhi kar sakty they
Tum jo bichrry to yeh bhi na socha
Keh ham to pagal they mar sakty they...!!!




Yon daal ky phirty ho Naqabon py Naqab,
Be aib ha chahra to dikha kiun nahi dety...!!!




Aawaz kiya shakal bhi pahachanta nahi,
Ghafil hamary haal sy woh is kadar howa...!!!



»»  read more

Tuesday 3 June 2014

Top Ten Urdu Image Shikwa Shayari Collection for Facebook


Hota nahi ha tujh py kisi baat ka asar,
Lagta tery roop mein pather mila mujhy...!!!




Kaanty to naseeb mein aany hi they,
Phool jo ham ny gulab chuna tha...!!!




Machalty rahty hain zehan mein waswason ki tarha,
Haseen log bhi jaan ka wabal hoty hain...!!!




Afsos to ha tery badal jany ka magar,
Teri kuch baaton ny mujhy jeena sikha diya...!!!




Apni hansi sy laga ly andaz mery dard ka Abbas,
Zarori to nahi tery har sitam ka hawala meri zuban sy ho...!!!




Ghor sy dekh meri masomiat ko ay ibn-e-aadam,
Main hawwa ki nishani hon tery hath ka khilona nahi...!!!




Is sooraj ka mizaj bhi us shakhs jaisy hain Abbas,
Bin jis ky ham ji nahi sakty aur paas jaty hain to jala deta ha...!!!




Kesy guzar rahi ha sabhi pochty to hain,
Kesy guzarta hun koi pochta nahi...!!!




Kitny hi gily they zuban py hamari,
Yeh alag baat ha ky sun ny wala na tha...!!!




Kuch aur bhi han kaam hamein gham-e-janaan,
Kab tak koi uljhi hoi zulfo ko sanwary...!!!



»»  read more

Shikwa Sad Shayari Collection in Urdu




Tum mery liye koi ilzaam na dhondo,
Chaha tha tumhain yahi ilzam buhat ha...!!!




Tum to kuch mahdood sy lamhon mein mily ho ham sy,
Phir jany kiun ham itni fursat sy tumhain sochty hain...!!!




Suna ha kafi parh likh gaye ho tum,
Kabhi woh bhi to parho jo ham kah nahi paaty...!!!




Shahar-e-gurbat me mot dair sy mat aaya kar,
Kharcha tadfeen ka bemari py lag jata hai...!!!




Waqt taizi sy badal gaya
Aur tum
Waqt sy bhi taiz nikly...!!!




Shayad khushi ka dor bhi aaye ga ik din,
Gham bhi to mil gaye they tamanna kiye bagair...!!!




Subha hoti hai sham hoti hai,
Umer yonhi tamam hoti hai...!!!




Tarteeb-e-sitam ka bhi saleeka tha usey,
Pahly pagal kiya mujhy phir pathar maary...!!!




Teri aagosh mein jannat aur jahan dono ka sakoon tha,
Is pathar par sar rakh ka mujh sy soya nahi jata ay maan...!!!




Tu samajhta ha ky jeeny ki hawas ha mujh ko,
Main to is aas py zinda hon ky marna kab hai...???



»»  read more

Wednesday 28 May 2014

Sad Urdu Poetry/Shayari Pictures about Shikwa Shikayat


Teri mahfil sy uthey they kisi ko khabar tak na thi,
Bas tera murr murr kar dekhna hamein badnaam kar gaya...!!!




Na jany kitni shikayatein thein na jany kitny gily they unsy,
Jo unko dekha to bhool bethy sawal sary jawab sary...!!!




Shikayatein bhi thein usy to sirf mery khuloos sy,
Ajeeb tha woh shakhs meri aadatein na samajh saka...!!!




Mana ky pur faraib ha wada tera magar,
Karty hain intzar bary aitabar sy...!!!




Mat kar khak ky putly par garoor-e-beniazi itni,
Khud ko khudi mein jhank kar dekh tujh mein rakha kiya ha...!!!




Sab sy kahta ha bas tumhi tum ho,
Aaina bhi bala ka jhota hai...!!!




Suno!
Magroor ham bhi ghazab ky hain
Lekin!
Tery garoor ka bas zara
Ahtram karty hain...!!!




Teri majborian darust hain magar...
Tera wada tha! mujhy hamesha yaad rakhny ka...!!!




Tishnagi jam gai pathar ki tarha honton,
Par doob kar bhi tery darya sy main piyasa nikla...!!!


»»  read more

Shikwa or Shikayat Shayari in Urdu font Images


Ham abhi haroof-e-tahajji bhi nahi parh sakty,
Aur tumhari aankhein hain riazi ky sawalon jaisi...!!!




Ham itny bhi nahi badly ky bhool jaein apnon ko,
Jab koi muntazir hi na ho to raabta acha nahi lagta...!!!




Itna sangeen nahi jurm-e-ishq magar
Saza-e-ishq itni sangeen kiun hai,
Mujh ko deewangi ka na ilzam do
Pocho mery yaar sy
Itna haseen kiun hai...!!!




Khul ky aa samny ya saaf gira dy chilman,
Qatal karti hain teri neem hijabi mujh ko...!!!




Aa dekh mujh sy rothny waly ky tery bagair,
Bin bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gai...!!!




Aany lagta jab kisi ky sath sakoon,
Phir yeh hota hai ky woh shakhs bichar jata hai...!!!




Teri qismat... keh tujhy muft mily
Ham sy anmol
Jo heron mein tula karty they...!!!




Mujhy lamha bhi saal lagta,
Aur tum ny saalon sy taal rakha hai...!!!



»»  read more

Thursday 22 May 2014

Best Images of Shikwa Sad Shayari in Urdu


Bethy thy apni masti mein ky achanak tarap uthey,
Aa kar tery khayal ny acha nahi kiya...!!!




Bhook phirti ha mery mulk mein nangy paoun,
Rizq zalim ki tajori mein chupa betha ha...!!!




Main to pahron tumhain sochti rahti hon,
Tumhain aik lamhy keliye bhi mera khayal nahi aata...!!!




Teri dunya ka dastor ajeeb ha khuda,
Muhabbat unko milti ha jinhain karni nahi aati...!!!




Woh muddat sy kisi zarori kam mein masroof ha warna,
Hamary sath sy barh kar zaroori kuch nahi usko...!!!




Woh naraz hota to usy mana leta,
Woh taluq hi na rakhy to usey manaon kesy...!!!




Woh tumhain chorr gaya to ham sy ye doorian kiun,
Meri khushiyan aksar mujh sy sawal karti hain...!!!




Samajh nahi aati ky wafa karein to kis sy karein,
Matti sy bany ye log kagaz ky tukro py bik jaty hain...!!!




Taa umer kon karta chahat mery hazoor,
Milty hain kab jahan mein zulekha mizaj log...!!!



Itny bhi nadan nahi ham,
Ham ko parhna aata ha
Kon sa lahja dil ki dunya
Kon sa dunya dari...!!!



»»  read more