Showing posts with label Udaas Shayari. Show all posts
Showing posts with label Udaas Shayari. Show all posts

Tuesday, 22 April 2014

Muhabat Bheek he shayed

Jis ki poja ko muhabat


Jis ki poja ko muhabat kehta he aaj ka falsafa
Yhi Dor Hazir ki muhabat he tu main jahil hi acha

Tumhari Dunya Main


Tumhari Dunya main hum jesy hazaron hongy
Magar hamari dunya main tum sa koi nahi he

Main ne to Zindagi Ko


Mainy to zindagi ko tery Naam likh diya tha
Shayed magar kuch or hi marzi khuda ki thi

Muhabat Bheek he shayed


Muhabat bhik he shayed
Bari Mushkil se milti he
»»  read more

Sunday, 20 April 2014

Poetry of Love

Kash k mill jay


Kash K mill jay muqadar ki siyahi or qalam
Lamhy lamhy ki khushi likh don tumhari zindagi keliye


Bari be lagaam si


Bari be lagaam si ho gyi hain meri aankhain
Tery deedaar k musalsal bahany dhondti hain


Aankhon me tery



Aankhon me tery kuch armaa Chor Jay Gy
Zindagi me tery kuch nishaa chor jay ge


Le jayn ge bas ik kafan teri dunya se
Tery Liye sara jaha chor jay ge


Pheli thi bhary Shaher me 


Pheli thi bhary sher me Tanhai ki baatain
Shayed koi divar k pechy bhi khara tha warna

Tuny jo pukara he to bol utha warna
Me fiqar ki dehleez pey khamosh khara tha



Mujhy Khak me mila kar


Mujhy khak me mila kar meri kahk bhi ura de
tery naam py mita hon kia gharz nishaa se



For More Best Poetry Of love In English Visit 

www.poetrysociety.org.uk/
www.lovepoemsandquotes.com/
www.familyfriendpoems.com/poems/love/
www.poetryfoundation.org/love-poems
www.poemhunter.com/poems/love/
www.lovepoetry.com


For More Best Poetry Of Love In Urdu Visit

sms4smile.com/category/poetry-sms/
www.hamariweb.com/poetries/love-romantic_poetries1.aspx
www.ranjish.com/
images of best urdu poetry

»»  read more

Saturday, 19 April 2014

2 line Best Urdu Poetry

Pyaar Dill Main Hona Chahiye


Pyaar Dill Main Hona Chahiye Sirf lafzon main nahi
Narazgi Sirf Lafzon me honi chahiye dill main nahi


Naseeb Walon Ko 


Naseeb walon ko Hoti he Wafa naseeb
Hum khud bad naseeb to Muhabat ka kia kasoor


Na us ne Poch kar chora


Na us ne poch kar chora na main ne usy chorty socha
Usy aadat thi chorny ki mujhy Shok Tha Khony ka

Aanso Bahany Se Bhi


Aanso Bahany Se kabhi koi apna nhi banta
Jo dill se piyar karty hain Wo kabhi rony nahi dety


Alfaz to boht hain


Alfaz to boht hain mujhy meri muhabat ko byan karny k liye
Wo meri khamoshi nahi samjhta mery alfaaz kia samjhy ga

Hum Itny Bhi Nahi badly


Hum itny bhi nahi badly k bhol jaayn apno ko
Jab koi mntazir hi na ho to rabta acha nahi lagta

»»  read more

Thursday, 17 April 2014

habib jalib

habib jalib Poetry


Ye or baat teri gali me na aay hum

Lekin ye kia k sher tera chor jaay hum

Mudat hoi he koi butaa ki tarf gye
Aawargi se dill ko kaha tak bachain hum

Shayed bqeed zisat ye saat na aa skay
Tum dastane shok suno or sunay hum

Be nor hochuki he boht sher ki fiza
Tareek raston main kahi kho na jay hum

us k baghair aaj bhi jaee udaas he
Jaleb chalo khi se usy dhond layin hum

Habib jalib poetry in urdu


Aaj phir tum nazar nahi aay

phir tmana k phool murjay

aajh phir sogwar aankhon ne
lal o gull pe ashk barsaay

Aaj phir ahd o gham k fasany
Meri Betabiyon ne dharaay

ur bhary sher me tumhara pata
Kis ko maloom kon batlaay

Kin daryaaon me kho gye ho Tum
Hum sitaron ki khak chan aay
»»  read more

Urdu Love Poetry

Urdu Love Poetry



Pehly hum achy thy ab bury kesy ho gye
Tum Khud badly ho byan to mat badlo

--------

Jo aap ki khamoshi ko na samjh paay
Wo aapky lafzon ko bhi nahi samjhy ga


-------


Kabhi Waqat mila to suljaaon ga teri sabhi uljanain
Abi to khud ulja hoa hon waqt ko suljany main

-------


Me tery milny ko mojza kh rha tha lekin
Tery Bicharny ka saniha Bhi Kamal ka guzra

Mohsin naqvi


Urdu Love Poetry SMS



Aaj tak he dill ko is k lot aany ki umeed
Aaj Tak Thri hoi he zindagi Apni Jaga

Muhabaton ki saza be misal di us ney
Udaas rehny ki aadat si daal di us ney


-------


Is bar meri jang he khud apni zaat se
Is Bar Har Jany Ka Imkaan he boht


------


Tamam Umar Ki awaragi py bhari he
wo ik shab jo teri yaad me guzari he

--------


Ab bhi na ho qabool to kismat ki baat he
Aameen kh rhy hian wo meri  dua k sath


Urdu Love Poetry For Her


Wo mujh se bichar kar ab tak roya nahi ghaleb
Koi to he jo hmdard jo usy rony nahi deta


--------


Tujh Se bichar k hum bhi muqadar k ho gye
Phir Jo bhi dar Mila He Usi dar k ho gye


--------


Baat muqadar py aa kar ruki he warna
Koi kasar to na chori thi tujhy chahny main


--------


Us ka myar abhi bhi muj se juda he lekin
Wo bhi bikhry Ga tu ho jay ga mery jesa


---------


Me Sitara Tha teri Aankhon ka
Ma mujhy dekh ab kha hon main


-------

Shayari On Love


Kitna ajeeb he unka andaze muhabat
Roz rula k khty hian Apna Khaal rakhna


--------


Yaadain Unhi ki aati hain jin se kuch taluq ho aae dost
Har Shakhs muhabat ki Nazar Se Dekha Nahi Jata

--------


Kia Karain ab to ye lafzon Me ayan hoty hain
Ak mudat se jo hum ne they chupaay aansu

--------

»»  read more

Tuesday, 15 April 2014

New Two Line Urdu Poetry

Meny to wo khoya jo mera tha hi nahi


''Meny to wo khoya jo mera tha hi nahi
Usny wo khoya jo sirf usi ka tha''


Udaas Ruton Main


Udaas Ruton main tez kafi ki talkhiyon main
Wo kuch Ziyada Yaad Aata he sardiyon main


Har Ik mosam me Roshni Si bikherty hain
Tumhary Gham K chraagh meri Udasiyon me



Khuabon K darakht



Meny ye soch k boy nahi khuabon k darakht
Kon Sehra Me Lagy Pair Ko pani De Ga...



Ye Tajarba Bhi Hoa He



Ye tajarba bhi Hoa He Bhujy Charagon Se
K Har Andhraa dekhna sikhata he



Udaas Ruton Me



Udaas Ruton Me tez kafi talkhiyon Me
Wo Kuch Ziyada Hi yaad Aata He Sardiyon me


Har Ik Mosam Me roshni Si bhikhirty hain
Tumhary Gham K Chiraagh Meri Udasiyon main


Hazaron Gham Zamany Ke



Hazaron gham zamany k dara mujh ko nahi sakty
Boht Mazboot hon Main rula mujh Ko Nahi Sakty

Tumhary Dill Me jo kuch He kho mujh se mery dilbar
Sabhi se dard khty ho bata mujh ko Nahi Sakty




»»  read more

Monday, 18 November 2013

Kahani Dard ki main Dunya Se kiya kehta

Kahani Dard ki main zindagi se kiya kehta
Ye Dard us ne diya hai usi se kiya kehta

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta

Mery Apny hi mujh ko samjh na Paye kabhi
Me apna haal kisi ajnabi se kia kehta

Andheri raat ne mujhko boht sataya hai
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta

Mery Ban Jao
»»  read more

Saturday, 3 August 2013

Tum apny paas bula lo boht udaas hon me


Mujhy galy se laga lo Boht udaas hon me
Ghame jaha se chura lo boht udaas hon me

Ye Intazaar ka dukh ab saha nahi jaata
Tarap rahi he muhabat rha nahi jaata
Tum apny paas bula lo boht udaas hon me

Har Ik saans me milny ki piyaas Palti he
Sulag rha he badan or roh jalti he
Bacha sako to bacha lo boht udaas hon me

Bhatak chuka hon boht zindagi ki rahon me
Mujhy Ab aaky chupa lo apnbi bahon me
Mera sawaal na talo boht udaas hon me

Mery Ban Jao

Aadaab aashki se begana keh rahi he
Meri Nazar mujhi ko dewana keh rahi he

Har aah sard phyam se nikal nikal kar
Dill ki tabahiyon ka fasana keh rahi he

Is darja he musalat diwangi ka aalam
Diwangi bhi mujhko diwana keh rahi he

Hon zinda ik markae me sorat aafaren ka
Dunya Shakil Mera Afsaana keh rahi he

Mery Ban Jao
»»  read more