Showing posts with label Ishk poetry Sad. Show all posts
Showing posts with label Ishk poetry Sad. Show all posts

Monday 5 May 2014

Farzana Naina, Piyason k wasty yhi Naina Bhary bhary

Manzil Ko Kabhi Rabgzr main Kabhi Rakh Diya karo
Apni Talab safar main kabhi rakh diya karo

Jin par wsal yar ka tari rhy Nasha
Wo hosly na dar me kabhi rakh diya karo

Mumkin he us ko bhi kabi le aay chand raat
Kuch Phol sony ghr main kabhi rakh  diya karo

Halat main pasi hoi majboryon ko tum
Ahbab ki nazar main kabhi rakh diya karo

Piyason k wasty yhi Naina Bhary bhary
Jalty julsty Thar main kabhi rakh diya karo

Farzana Naina
»»  read more

Tuesday 22 April 2014

Muhabat Bheek he shayed

Jis ki poja ko muhabat


Jis ki poja ko muhabat kehta he aaj ka falsafa
Yhi Dor Hazir ki muhabat he tu main jahil hi acha

Tumhari Dunya Main


Tumhari Dunya main hum jesy hazaron hongy
Magar hamari dunya main tum sa koi nahi he

Main ne to Zindagi Ko


Mainy to zindagi ko tery Naam likh diya tha
Shayed magar kuch or hi marzi khuda ki thi

Muhabat Bheek he shayed


Muhabat bhik he shayed
Bari Mushkil se milti he
»»  read more

Thursday 17 April 2014

Dagh Dehlvi

Dagh Dehlvi

Dagh dehlvi shayari


Ltf wo ishk me paay hain k jee jaanata he
Ranjh bhi aesy uthay hain k ji jaanta he

Muskuraaty hoy wo mjma agyar k sath
Aaj yon bazam me aay hain k jee janta he

Kaba wo der me pathara gyi dono aankhain
Aesy jalwy nazar aay hain k jee janta he

Dosti me teri dar parda hamary dushman
isqadar apny paray hain k jee jaanta he

Unhi qadmon ne tumhary inhi qadmon ki qasm
Khak me tany milay hain k ji janta he

Dagh warftar ko hum aaj tery kochy se
Is tarha khinch k lay hain k jee jaanta he


Dagh dehlivi Urdu Poetry

Hijar ki bad dua na ho jana


Hijar ki bad dua na ho jana
Dekh lena sara na ho jana

Mor to beshumar aay ge
thak na jaana juda na ho jana

Ishk ki intaha nahi hoti
Ishk Ki intaha na ho jana

Aakhir Shab udaas chand k sath
Ak bhjta dya na ho jaana

Be arada safar pe nikly ho
Raston ki hawa na ho jaana

Zindgi Dard se ibart he
Zindgi se khafa na ho jana


Ik tumhi ko Khuda Se manga he
Tum Kahi be wafa na ho jana


»»  read more

habib jalib

habib jalib Poetry


Ye or baat teri gali me na aay hum

Lekin ye kia k sher tera chor jaay hum

Mudat hoi he koi butaa ki tarf gye
Aawargi se dill ko kaha tak bachain hum

Shayed bqeed zisat ye saat na aa skay
Tum dastane shok suno or sunay hum

Be nor hochuki he boht sher ki fiza
Tareek raston main kahi kho na jay hum

us k baghair aaj bhi jaee udaas he
Jaleb chalo khi se usy dhond layin hum

Habib jalib poetry in urdu


Aaj phir tum nazar nahi aay

phir tmana k phool murjay

aajh phir sogwar aankhon ne
lal o gull pe ashk barsaay

Aaj phir ahd o gham k fasany
Meri Betabiyon ne dharaay

ur bhary sher me tumhara pata
Kis ko maloom kon batlaay

Kin daryaaon me kho gye ho Tum
Hum sitaron ki khak chan aay
»»  read more

Friday 11 April 2014

Poetry About Love

Poetry About Love

Wo sanson ki garmi wo tery badan ki khushbo
Abi tak janaa ye dill yaad karta he

Mery Ban Jao



Kitni Mehdood sei he Dunya
Ik main hon ik Muhabat


Mery Ban Jao


Har pall usy sochna har pall usy khojna
Kabhi usy paa lena kabhi usy kho dena

Me ajeeb meri muhabat us se ajeeb he
Usy yaad na karna phir ro dena


Mery Ban Jao


Hamain surat se kia matlab ham serat py marty hain
Usy khna k tumhara husn jab dhal jaay to lot aana


Mery Ban Jao

Le de k wohi shakhs he is sher me apna
Dunya kahi usko bhi samjhdaar na kar de


Mery Ban Jao


Mot Par Bhi He Yaqeen Un par Bhi Aetbar He
Dekhty hain pehly kon aata he Dono ka intazar he


Mery Ban Jao


Adhi raat ke shayed sapny jhoty thy
ya phir pehli bar sitary tooty thy

Jis din ghar se bhag kar sher me Pohnchi thi
Bhag bhri k bhag usi din photy thy

Mazhab ki bunyad par kia taqseem hoi
Hamsayon ne hamsay hi loty thy

Shokh nazar ki chutki ne nuksaan kia
Hathon se chay k bartan choty thy

Or k phirti thi jo naina sari raat
Us Resham ki shaal py yad k boty thy


Mery Ban Jao

»»  read more

Urdu Love Poetry

Tumhari Aankh Se dill Tak safar karna he bas hamko
Ye kitni khobsurat manzilon ka rasta hoga


Urdu Love Poetry

-------------------------
MERY BAN JAO
-------------------------


Mat kaho mujh izhar muhabat zaba se bayan karny ko
Suna he zamany se k hoty hain kaan divaron k bhi

Hony do ye qisa byan aankhon se SAHER
K ye kar deti hain har baat khamoshi se bhi



Urdu Love Poetry

-------------------------
MERY BAN JAO
-------------------------


Tu lakh mery piyar se munker sahi
Teri Khushboo he meri sanson me


Urdu Love Poetry

-------------------------
MERY BAN JAO
-------------------------

Saza ye di aankhon se cheen li neendain
Qasoor ye tha k jeeny ke khuab dekhty thy


Urdu Love Poetry

-------------------------
MERY BAN JAO
-------------------------


Tuny kuch bhi na kaha ho jaesy
Mery hi dill ki sada ho jesy

Yun teri hi yaad se ji gabraya
Tu mujhy bhul gya ho jesy

Is tarha tujh se kiye hain shikwy
Mujh ko apny se gla ho jesy

Youn Har ik naqash py jhukti he jabee
Tera hi naqash kfe paa ho jesy

Tery Honton ki khafi se larzish
Ik haseen sher hoa ho jesy


Urdu Love Poetry

-------------------------
MERY BAN JAO
-------------------------

»»  read more

Thursday 3 April 2014

Two Lines Urdu Poetry

Wo kesy log thy yarab jinhon ne paa liya tujhko
Hamain to ho gya dushwar ik insaan ka milna


Mery Ban Jao


Main tumhari hi hon meri fiqar na karna Aeni
Main jaha bhi jaon gi lot kar tumhary hi pas aon gi


Mery Ban Jao


Pehly socha tha k ik safa ho khani byan karny ko Aeni
Phir khayal aaya k uska naam hi kafi he is dastaan k liye

Mery Ban Jao


Aaj Ki raat bhi mumkin he na so sakon mohsin
Yaad Phir aai he neendon ko urany wali


Mery Ban Jao
»»  read more

Wednesday 2 April 2014

Zindagi Se Zid Karna Chor Do

Zindagi se zid karna Chor do
Kuch Sily is jaha k liye nahi hoty


Sabhi Khuahishain Is jaha me pori hony Lagy
To phir Agly jaha k liye kia baqi reh jay ga?


Mery ban jao


Sirf Chehry ki udasi se bhar aay aanso
Dill ka aalam to abhi apny dekha hi nahi


Mery Ban Jao


Dill me utarny k liye serhi ki nahi
Achy Ikhlaq Ki Zarorat hoti he


Mery Ban Jao


Mj sy dor ho to khud ko smbhaaly rkhnaa
Log pochain ge ku pareshan ho tum
Kuch Nigahon se kehna zuban py taly rakhna

Na khoney dena mery bety lamhon ko
Meri yadon ko bary piyar se sambhaly rakhna
Tum lot aao gy itna yaqen he mujhko

Mery liye kuch waqt nikaly rakhna
Hmny kuch naya dekha he tum me phir
Mery Liye apny andaz niraly rkhna


Mery Ban Jao

»»  read more

Tuesday 5 November 2013

Best two Line Urdu Shayari Collection Kehny ko dill me batain boht si hain

Kuch nahi kharidna teri dukaan se e ISHK
Tere Har Saman Me Milawat He

Mery Ban Jao

Khny ko dill me batain boht si hain
Mukhtasar lafzon me meri akhri khuhahish ho tum

Mery Ban Jao

Khi tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitab ka
Log bary shok se parhty hain khaniyan bewafaon ki

Mery Ban Jao

Me doob kar jo ubra to bas itna hi dekha
Oron ki tarha Wo bhi kinary par Khara Tha

Mery Ban Jao

Be Waja Nahi Rota Ishk Me Koi Ghaleb
Jisy Khud Se Barh K Chaha Ho wo Rulata He

Mery Ban Jao

Mujh Se har Bar wo nazrain Chura Leta he Faraz
Me Ne kaghaz Par Bhi bna k Dekhi Hain Aankhain Us Ki

Mery Ban Jao

Uski Hasrat ko Mery Dill Me Likhny Walay
Kash Usko Bhi Mere Muqadar main Likha Hota

Mery Ban Jao

»»  read more

Wah Re Ishk Tera Kia Kehna Ishk Karna He To Dard Sehna Seekho

Woh dill nahi rhe WO jazbe nhi rahy
Apny Bhi is daur main apne Nahi Rahe

Halat-e-Zindagi Par Ghor Kiya to Paya
Rishte Zubaan Ke Rahe Dill Ke Nahi Rahy

Mery Ban Jao


Wah Re Ishk Tera Kia Kehna
Jo tujhy Jaan Le Tu Us Ki jaan Le

Mery Ban Jao

Ishk Karna He To Dard Sehna Sekho
Warna Esa Karo Oqaat Me Rehna Sekho

Mery Ban Jao

Ye Jo har Mor Py Aa milti he mujh se
Ye Badnaseebi Bhi Kahi Meri Diwani To Nahi

Mery Ban Jao

Zamany Ka Sahara To Bzahir Ik dikhawa he
Haqeeqat me mujhy Mera Khuda Girny Nahi deta

Mery Ban Jao

Smait rkhi hain apny dill me uski yaadain
Kbhi tanha hota houn to brra dard deti hain

Mery Ban Jao

»»  read more

Best Best Urdu Shayari 2 line sms Poetry Collection

Chashm Nam Dhndti Rhi he Tum ko
Kash dunya main tum hi tum hoty

Mery Ban Jao

Kon pareshan hota ha Tere Gham Main FARAZ
Wo apni hi kissi baat py roya hoga...

Mery Ban Jao

Boht naaz tha mujhy apny chahny walon par
Me Azeez tha sabko magar zrorton k liye

Mery Ban Jao

Toot Sa gya he meri Chahton ka wajood
Ab Koi acha bhi lagy to ham Izhaar nahi karty

Mery Ban Jao

Hazaar Gham Shi Lekin Na Nikly AAnkh se Aanso
Ham Ahle Zarf hain Peety Nahi Chalkaya Nahi karty

Mery Ban Jao

Hum ko acha nahi lagta Koi Hamnaam tera
Koi Tujh sa ho to phir naam bhi tujh Jesa Rakhy

Mery Ban Jao
»»  read more

Sunday 31 March 2013

Ishk ko bhi ishq ho to phir Main dekhon


Teri Yadain muje tarpati hain

Mery dill ko sanam dharkati hain

Behkati hai tu kabhi kisi or ki hona nhi

Jadoo tere ishk ne aisa kia

Sufi tery Pyaar me ban hi gya

Mery Ban Jao

Yahan to log sadyon ko bi lamhon me badaldety hain

Mera ik pal nhi kat ta par tum nhi hotay

Mery Ban Jao

Kar liya karo Subha Subha Maa k chahry ki zyarat dosto

Pta nhi kal ko tumhain haj karny ka moqa mily na mily

Mery Ban Jao

Isi karz ko ada krny k wasty hum saari raat nhi soty

K shayed koi jaag rha ho is dunya me mery liye

Mery Ban Jao

Dill ke zakhmo ki sifarish na hoi hamari muskan ki farmaish na hoi

Jisy dekne ko tarasti rhi aankhe magar unhe humse milny ki khwahish na hoi

Mery Ban jao

Har aahat ehsaas hamara dilaayegi

Har hawa khushbo hamari layegi

Hum dosti aisi nibhaayengy yaara

K hum na honge or hmari yaad tumhain sataygi

Mery Ban Jao

Parwah nahi agar ye zamana khafaa rahe

Momin dua ye Mang Khuda meharban Rahy

Mery Ban Jao

Ham to dhal gye teri muhabat me moom ki tarha

Agar phir bhi koi bewafa kahy to naseeb ki baat he

Mery ban jao

Ishk ko bhi ishq ho to phir Main dekhon

ishq ko kesy tarrpy kesy roy ishq apny hi ishq me

Mery Ban Jao
»»  read more