Showing posts with label Urdu Ghazal Sms. Show all posts
Showing posts with label Urdu Ghazal Sms. Show all posts

Tuesday 12 August 2014

Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo


Meri chahat ka sar-e-aam to charcha na karo
Kam to pehle bhi nahin aur to ruswaa na karo,

Kabhi jugnu, kabhi taarey, kabhi nargis keh kar
Tum meri aankhon ko is tarah chairra na karo,

Bhaamp* jaye na kahin dil ki lagi yeh dunyaa
Yu’n shafaq ban ke mere chehre pe thehra na karo,

Baat choti si bhi afsaana bana deti hai
Tum kitaabon pe mere naam ko likha na karo,

Hai ibaadat ki tarah naam tumhara bhi mujhe
Tum saheefey ki tarah tum mujhe socha na karo,

Dil ko bechain sa karti hain tumhari aankhain
Raat ko der talak tum mujhe socha na karo,

Saamney sab ke kare kis tarah iqraar Batool
Yu’n sar-e-bazm to is se yeh taqaaza na karo.
»»  read more

Friday 1 August 2014

Urdu Ki Behtareen Ghazal,

 
Dil Ne Gham K Pahaar Ko Dekha
Main Ne Khud Mein Daraar Ko Dekha,

Dasht Kehta Hai Mujh Se Hairat Se
Main Ne Tujh Mein Ujaar Ko Dekha,

Khauf Aasaib Ban K Aa Betha
Dil Ne Khud Ro Se Jhaar Ko Dekha,

Ban Gaya Hai Khala Mere Andar
Main Ne Apni Pichaar Ko Dekha,

Main Khudi Se Nikal Gaya Bahir
Jo'n Hi Nafrat Ki Aar Ko Dekha,

Naqsh Chehray K Dhul Gaye
Jab Bhi Dil Main Bigaar Ko Dekha.
»»  read more

Monday 16 June 2014

Wafa Kis Ko Kehte hay

Wafa Kis Ko Kehte Hy
»»  read more

Sunday 15 June 2014

Ek gazal tere liye zaroor likhuga


Ek gazal tere liye zaroor likhuga
Behisaab us mein tera qasoor likhuga,

Toot gye bachpan k tere sare khiloony
Ab Diloon se khelna tera dastoor likhuga.

Raha ishq ka daava tujhe tamam umar
Wafa ki dehleez se tujhe mafroor likhuga.

Tera wajood mera wajood mujhe ek sa lage
Par tujhe main khud se bohat door likhuga.


Urdu Ghazal, Urdu Image Poetry, Urdu Poetry, Urdu Love Sms, 
Urdu Ghazal Sms, Heart Touching Poetry, Heart Touching Sms, 
»»  read more

Monday 9 June 2014

Mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra


Mere khwabon mein aata hai tumhara chand sa chehra
Meri neendain churata hai tumhara chand sa chehra,

Keh jub bhi zikr hota hai kisi hoor-o-shumail ka
Mujhay phir yaad aata hai tumhara chand sa chehra,

Falak k in sitaroon ko main sari raat ginta hoon
Mujhay shub bher jagata hai tumhara chand sa chehra,

Main jub bhi dard ki tughyanioun mein doob jata hoon
Mujhay wapis bulata hai tumhara chand sa chehra,

Andheri ratoon mein aksar tumhain main yaad kerta hoon
Kahan gum ho sa jata hai tumhara chand sa chehra,

Hai jo charon taraf phaili teri hi roshni hai ye
Falak per jagmagata hai tumhara chand sa chehra.
»»  read more

Sunday 8 June 2014

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Skay Main Wo Aik Musht-e Ghubar Hon,

Mera Rang Rop Bigar Gya, Mera Yar Muj Se Bichar Gaya
Jo Chaman Khazan Se Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasal-e Bahar Hoon,

Na To Main Kisi Ka Habib Hon,Jo Jur Gya Wo Dyar Hoon
Pye Fatih Koi Aye Kun, Koi Char Phol Charhaye Kun,

Koi Aa Ke Shama Jalaye Kun Main Wo Be Kasi Ka Mazar Hoon
Main Nahin Hoon Nagma-e Janfran, Muje Sun Ke Koi Kare Ga Kiya
Main Baray Brog Ki Hoon Sada Main Bare Dukhi Ki Pukaar Hoon.



Bahadur Shah Zafar, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Sms, 
»»  read more

Sunday 1 June 2014

Tera kasoor nahi mera tha


Tera kasoor nahi mera tha
Maine tujhko apna samjha tha,

Dekh ke tere badle tewar
Main to usi din ro beitha tha,

Ab main samjha ab yaad aaya
Tu us din kyo chup chaap sa tha,

Tujhko jaana hi tha lekin
Mile bagair hi kya jaana tha,

Ab tujhe kya kya yaad dilaoon
Ab to woh sub kuchh hi dhoka tha,

Wohi hui hai jo honi thi
Wohi mila hai jo likha tha,

Dil ko yun hi sa ranj hai warna
Tera mera saath hi kya tha,

Kis kis baat ko raoon AMIT
Apna kehna hi itna tha.
»»  read more

Thursday 29 May 2014

Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai


Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai
Kagaz ki haveli hai,Baarish ka zamaana hai

Kya shart-e-mohabbat hai,Kya shart-e-zamaana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur Gaana bhi gaana hai

Uss par utarne ki Umeed bahut kam hai
Kashti bhi purani hai,Tufaan ko bhi aana hai

Samjhe ya na samjhe wo Andaaz mohabbat ke
Ek shaks ko aankho se Ek sher sunana hai

Bholi si ada,Koi fir ishq ki zid par hai
Fir aag ka dariya hai AUR doob ke jaana hai
Doob ke jaana hai.

»»  read more

Sunday 25 May 2014

Phira hu saare zamane mein darbadar kaisa


Phira hu saare zamane mein darbadar kaisa
Main tere baad bhi zinda raha magar kaisa,

Wo janta tha k kuch roz wo nahi tha to main
Pukarta raha usko idhar udhar kaisa,

Main jis k hijr mein roya hu paglo ki tarha
Wo kal mila to hansa mere haal pe kaisa,

Aziztar thi jise neend shaam-e-vasl mein bhi
Wo tere hijr mein jaga hai umar bhar kaisa,

Bas ek shakz ki khatir bas ek dil k liye
Watan ko taj diya deewangi mein, ghar kaisa,

Kaha ki dosti, kaisa farak, koun AMIT
Main khud ko bhool gaya tujhko bhool kar kaisa.
»»  read more

Saturday 24 May 2014

Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai


Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai,

Aise hi mohabbat ki shuruwat hoti hai
Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum
Pata nahi kab din kab raat hoti hai.
»»  read more

Friday 23 May 2014

Tumko hum dil mein basa lenge,


Tumko hum dil mein basa lenge tum aao to sahi
Saari duniya se chhupa lenge tum aao to sahi,

Ek waada karo ab humse na bhichhadoge kabhi
Naaz hum saare uTha lenge tum aao to sahi,

Yun to jis simt nazar uThati hai taarikhi hai
Pyaar ke deep jalaa lenge tum aao to sahi,

IKhtalaafaat bhi miT jaayenge rafta rafta
Jis tarah hoga nibha lenge tum aao to sahi,

Dil ki viraani se ghabra ke na muh ko modo
Bazm ye phir se saja lenge tum aao to sahi,

Raah taarikh hai aur door hai manzil lekin
Dard ki shamaye jalaa lenge tum aao to sahi.
»»  read more

Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai


Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai
Isi liye to wo rukh pe nakaab rakhte hai,

Wo paas baithe to aati hai khushbu
Wo apne hothon pe khilta gulab rakhte hai,

Har ek waqt mein tumhi tum ho jaan-e-mohabbat
Hum apne dil mein kuch aisi kitab rakhte hai,

Jahan-e-ishq mein Sohni kahi dikhayi de
Hum apni aankh mein kitne Chenab rakhte hai,

Wo apne chehre mein sau aaftaab rakhte hai
Isi liye to wo rukh pe nakaab rakhte hai.
»»  read more

Saturday 17 May 2014

Apni Mohabbat Ki Akhri Shaam



Aakhri Shaam - Apni Mahobbat Ki

Yaad He Muje Wo Aakhri Shaam Apni Mahobbat Ki
Tute Khwab Aur Reh Gayi Tamanna Adhuri Chahat Ki,

Ki Yaad He Muje Rote Hue Usne Mera Hath Thama Tha
Aur Kar Rahi Thi Intezaar Wo Meri Aakhri Izazat Ki,

Najane Kyu Chahkar Bhi Hath Uska Me Chor Na Paaya
Usne Rote Hue Mujse Fir Ek Baar Jane Ki Riwayat Ki,

Chor Diya Hath Mene Uska Aur Fer Liya Nigaaho Ko Apni
Aur Karke Aankhe Band Dil Hi Dil Me Rab Se Sikayat Ki,

Le Liya Baaho Me Usne Muje Fir Ek Baar Aur Kaha Mujse
Yakeen Karna Mene Har Lamha Har Pal Bas Tumse Mahobbat Ki,

Me Ja Rahi Hu Chorkar Tumhe.. Ise Meri Bewafai Mat Samajna
Mujse To Khud Meri Hi Taqdeer Ne Meri Jaan Bagawat Ki,

Dekh Rahe Ho Wo Dubta Hua Suraj.. Dekhlo Fir Ek Baar
Aur Meri Nigaaho Ko Uthakar Usne Suraj Ki Aur Kifayat Ki,

Aur Kehne Lagi

Malum Na Tha Mahobbat Me Hamari Din Ek Ye Bhi Aayega
Ki Har Khwab, Har Lamha Mahobbat Ka Chur Chur Ho Jayega,

Janti Hu Dunia Saari Bewafa Kahegi Mere Yaha Se Jane Ke Baad
Par Yakeen Karna Tum Ye Dil Mera Ye Mahobbat Nibhaayega,

Bas Jate Jate Ek Hi Baat Kahungi Tumse Aye Mere Hamdam.
Ki Aaj Is Dubte Hue Suraj Ke Sath Sath
Meri Khusiyo Ka Suraj Bhi Hamesa Ke Liye Dub Jaayega.
»»  read more

Apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy


Apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy
Lamha lamha mujhe ehsas-e-ziyan hota hy,

Koi hota hy jo karta hy kahin pay sazish
Ter ki pusht pay qirdar-e-kaman hota hy,

Bhool jana usay muskil tu nahi hy laykin
Kam assan bhi magar hum say kahan hota hy,

Main nay dekha hy kisi khuf ka khadsha dil main
Raat k pechlay pehar barh kay jawan hota hy,

Dil main hoti hy baharon ki kasak bhi laykin
Es k hisay main magar khuf-e-khizan hota hy.




best Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, 
Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,
»»  read more

Wednesday 14 May 2014

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein



Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein
Tu to is basti se khush khush chala gaya, or mein,

Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
Apas mein kya batein kertey raat, diya or mein,

Sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai
Teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein,

Jisko dekho teri hava mein pagal phirta hai
Werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein,

Aik to wo humraaz mera hai phir tera maddah
Bas tera hi ziker kia kertey hein Zia or mein,

Aik zamaney bad ‘Faraz’ ye shair kahey meine
Ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein.
»»  read more

Meri Aankhon Ko Soojhta Hi Nahi, Noshi Gelani Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Sms,


Meri Aankhon Ko Soojhta Hi Nahi
Ye Muqadar Mein Raasta Hi Nahi,

Wo Bharey Sheher Mein Kisi Se Bhi
Mere Baaray Mein Poochta  Hi  Nahi,

Phir Wohi Shaam Hai Wohi Ham Hain
Haan Magar Dil Mein Honsla  Hi  Nahi,

Ham Chale Uski Bazm Se Uth Kar
Aur  Wo Hai  Ke Rokta Hi Nahi,

Dil Jo Ik Dost Tha Magar Wo Bhi
Chup Ka Pathar Hai Bolta Hi Nahi,

Mein To Uski Talash Mein Gum Hun
Wo Kubhi Mujh Ko Dhundta Hi  Nahi.
»»  read more

Noshi gilani, Noshi Gelani Poetry, Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de,


Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de
Mere bazoo mmeri aankhen mera chehra la de,

Aesa darya jo kisi aur samandar mein girey
Is se behtar hai ke mujhko mera Sehra la de,

Kuch nahin chahiye tuhj se ae meri umre rawan
Mera bachpan mera jugnoo meri Gurya la de,

Nayya mosam meri beenai ko tasleem nahi
Meri aankhon ko wahi khwab purana la de,

Jiski aankhen mujhe andar se bhi parh sakti ho
koi chehra to mere sheher mein aesa la de,

Kashti e jan to bhanwar mein hai kai barson se
Ae khuda ab to dubo de ya kinara la de.
»»  read more

Tuesday 29 April 2014

Wo Be Hjab Jo Pe Ke Kal Shrab Aya, Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Poetry, Heart Touching Poetry by Bahadur Shah Zafar,


Bahadur Shah Zafar

Wo Be Hjab Jo Pe Ke Kal Shrab Aya
Agarcha Mast Tha Main, Par Muje Hijab Aya,

Idhar Kyal Mere Dil Main Zulf Ka Guzra
Udhar Wo Khata Hoa Dil Mai Pecho Tab Aya,

Khyal Kis Ka Smaya Hai Deeda-o Dil Main
Na Dil Ko Chain Muje Aur Na Shab Ku Khawab Aya.
»»  read more

Saturday 26 April 2014

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee, Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Best Poetry, Urdu Poetry By Bahadur Shah Zafar,


Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee
Jaisii Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisii tou Na thee,

Le gaya Chhiin Ke aaj kaun tera sabr-o-qarar
Beqarai tujhe ai dil kabhi aisii tou na thee,

Un kii aankhon ne khuda jaane kia kya jaadu
Ke tabiyat meri maa_il Kabhi aisi tou na thee,

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii,

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujh ko chamakayaa
taab mein maah-e-kaamil kabhi aisis tou na thee,

Kya sabab hai tu jo bigata hai zafar se har baar
Khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi tou na thee.


English Translation of ( Baat karni )

It was never so difficult for me to converse as it is now
Your party never was like this as it is now,

Who has usurped you patience and peace
You never were as restless as you are now,

Her eyes, my lord, cast what a spell on me
I never was as intoxicated as I am now,

Those killer eyes were always my enemy
but never were as fatal as it is now,

What has made the face of beloved bright?
Shine in you, O Moon, never was as it is now,

What is the reason that you are annoyed with ‘Zafar’
Your habit, O blazing fairy, never was like as it is now,
»»  read more

Tuesday 15 April 2014

Tumhare bin nahi rehna mujhe TUMSE mohabbat hai


Tumhare bin nahi rehna mujhe TUMSE mohabbat hai
Hai TUMSE bas yahi kehna mujhe TUMSE mohabbat hai,

Zaban to keh nahi sakti TUMHAIN ehsas to hoga
Meri Aankhon ko parh lena mujhe TUMSE mohabbat hai,

TUMHARE naam kar di hai ye pori zindagi apni
Bhalay hi dukh paray sehna mujhe TUMSE mohabbat hai,

Hamain ehsas hai TUMKO bhi humse pyar hai lekin
Ye mere saamnay kehna mujhe TUMSE mohabbat.
»»  read more