Showing posts with label shero shayari in urdu. Show all posts
Showing posts with label shero shayari in urdu. Show all posts

Monday 5 May 2014

Romantic Urdu Poetry 3

Tum se bichar kar pehron sochta hon


Tum se bichar kar pehron sochta hon
Ab main ku or kis ki khater zinda hon

Ae khamosh khala k malik teri qasam
Bazm jaha main tujh se ziyada tanha hon

Jeeti jagti dunya k hangamon me
Yon lagta he jesy me ik saya hon

khoya he wo jesy hath lekiron me
Aesy apny hath ko takta rhta hon

Reza reza toot chuka hon andar se
Ghar se bahr gardan tan k chalta hon

Jany jis ka nam he amjid kon he wo
Such pocho to main ik jhota chehra hon


Romantic Urdu Poetry

»»  read more

Farzana Naina, Piyason k wasty yhi Naina Bhary bhary

Manzil Ko Kabhi Rabgzr main Kabhi Rakh Diya karo
Apni Talab safar main kabhi rakh diya karo

Jin par wsal yar ka tari rhy Nasha
Wo hosly na dar me kabhi rakh diya karo

Mumkin he us ko bhi kabi le aay chand raat
Kuch Phol sony ghr main kabhi rakh  diya karo

Halat main pasi hoi majboryon ko tum
Ahbab ki nazar main kabhi rakh diya karo

Piyason k wasty yhi Naina Bhary bhary
Jalty julsty Thar main kabhi rakh diya karo

Farzana Naina
»»  read more

Sunday 4 May 2014

Tumhary chahny waly bhi sog karty hain

Tumhary chahny waly bhi sog karty hain


Falak Pey Chand ka haly bhi sog karty hain
Jo to nhi to ujaly bhi sog karty hain

Nagar nagar main wo bikhry hain zulm k manzar
Hamari roh k jaaly bhi sog karty hain

Usy kaho k sitam me wo kuch kami kar de
K zulm torny waly bhi sog karty hain

Tum apny dukh pe akely nahi ho afsurda
Tumhary chahny waly bhi sog karty hain
»»  read more

Friday 2 May 2014

Shero Shayari in Urdu

Meri Tarha kisi se muhabat

aquapearl.files.wordpress.com

Zikar Shab-e-Firaq se Wehshat usy bhi thi
Meri Tarha kisi se muhabat usy bhi thi

Mujh ko bhi shok tha nay chehron ki deed ka
Rasta badal kar chalny ki aadat usy bhi thi

Us raat wo dair tak rha wo mho guftagu
Masrof main bhi kam tha faraghat usy bhi thi

Sunta tha wo bhi sab se purani kahaniyan
Taza rafaqaton ki zarorat usy bhi thi

Mujh se bichar kar shehar main gul mil gya wo sahks
Halanky sher bhar se Raqabat usy bhi thi

Wo mujh se barh kar dard ka aadi tha ji gya
Warna har ik sans qayamat Usy bhi thi

Shero shayari in urdu

merybanjao.blogspot.com

Ik khuab he is khuab ko khona



Ik khuab he is khuab ko khona bhi nahi he
Tabeer k dhagy me pirona bhi nahi he

Lipta hoa he dill se kisi raz ki surat
Ik shakhs k jis ko mera hona bhi nahi he
www.shairy.com

Rakhna he sar chasham usy sakt wo jamed
Paani me abhi chand bhigona bhi nahi he

Har chand tery naqsh kafe paa main he lekin
Ye dill kisi bachy ka khilona Bhi nahi he

Wabasta he mujh se k tu he bhi k nahi
Jab main nahi tujh me tera hona bhi nahi he

Jis shakhs ki khater tera ye haal he khawar
Us shakhs ne tery mar jaany pe rona bhi nahi he

Shero shayari in urdu

merybanjao.blogspot.com

Ik tumhary roth jany se Kisi ko kuch nhai hota


Ik tumhary roth jany se kisi ko kuch nahi hota
Phol bhi mehkty hain Rang bhi dumakty hain

Surij bhi nikalta he tary bhi chamkty hain
Ik tumhary roth jany se Ko hasna bhul jata he


Shero shayari in urdu

merybanjao.blogspot.com










Add caption

»»  read more