Friday 4 April 2014

Ab to ye bhi nhi rha ahsaas

Ab to ye bhi nhi rha ahsaas
Dard Hota he ya nahi hota



Ishk jab tak na kar chuky ruswa
Aadmi kaam ka nahi hota


Toot Parta he daftan jo Ishk
Beshtar derpa nhi hota



Wo bhi hota he ak waqt jab
Masua Masuaa nahi hota


Hay kiya hogya tabiyat ko
Gham bhi Rahat Fiza Nahi Hota



Dill hamara he ya tumhara he
Ham se ye fesla nahi hota


Jis pey teri nazar nhi hoti
Is ki janeb khuda nhi hota


main k be raz umar bhar k liye
Dill k dam bhar juda nhi hota


Wo hamary qareeb hoty hain
Jab hamara pata nhi hota


Dill ko kia kia sakoon hota he
Jab Koi asra nahi hota


Ho k ik bar samna In se
Phir Kabhi Samna nahi hota

0 comments:

Post a Comment