Sunday, 13 July 2014

Jannat me Dakhil Hone ki 40 Ahadees-e-Mubaraka in Islamic Wallpapers Urdu

There are Forty (40) Hadees-e-Mubarka about Paradise in Islam (Jannah) in Images for Social Media post share.


Allah ka Dar aur Acha Ikhlaq:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w sy aisy amal ky bary mein sawal kiya gaya jo sab sy ziyada logo ko jannat mein dakhil kary ga to Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah ka dar aur acha ikhlaq...!!!"




Khalos-e-dil sy Kalmy ki Shahat Dena:
Sayadna Maaz r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny khalos-e-dil sy ye shahadat di ky Allah tala ky ilawa koi mabood barhaq nahi woh jannt mein dakhil hoga...!!!"




Wafat ky Waqat Kalma Shahadat Parhna:
Sayyadna maaz bin Jabal s.a.w sy marwi hai wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ka aakhri kalam "La Ila Ha Il Lallah" hoga woh jannat mein dakhil hoga...!!!"




Apny Maal ki Hifazat mein Qatal hona:
Sayadna Abdullah Bin Umer Bin Aas r.a sy marwi ha ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs apny maal ki hifazat aur difa karty howey nahak katal kar diya gaya woh jannat mein dakhil hoga...!!!"




Yateem ki Kafalat Karna:
Sayyad na Sahal Bin Saad r.a sy Marwi hai woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Main aur yateem ki kafalat karny wala jannt mein istarha hongy aap s.a.w ny apni angusht shahadat aur darmiani ungli ky sath ishara kiya aur unky darmian kuch fasla dala...!!!"



Nimaz-e-ashraq ki char Rikaat aur Nimaz-e-zuhar sy pahly char rikat parhna:
Sayadna abu Mosa Ashari r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny nimaz ashraq ki char rikatein aur pahli nimaz (yani nimaz-e-zuhar) sy pahly char rikatien (pabandi sy) parhi us keliye jannat mein ghar bana diya gaya hai...!!!"



Nimaz-e-fajar aur Nimaz-e-asar Baqaidgi sy Ada Karna:
Sayyadna Abu Mosa r.a sy marwi ha ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis ny do thandy waqt ki nimazein (yani fajar aur asar) ada ki woh jannat mein dakhil hoga...!!!"




Har Farz Nimaz ky Bad Aayat-al-Kursi Parhna:
Sayyadna Abu Imama r.a sy Marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny har (farz) nimaz ky baad ayat ul kursi parhi usy jannat mein dakhil hony sy sirf mot ny rok rakha ha (yaani wo marty hi jannat mein dakhil ho jaye ga...!!!")



Kasrat sy Nafli Rozy Rakhna:
Sayyadna Abu Imama r.a sy Marwi ha ky unho ny arz kiya ay Allah ky Rasool s.a.w mujhy kisi aisy amal ka hukam dejiye jis ky zarye main jannat mein dakhil ho joun aap s.a.w ny farmaya: "(Kasart sy nafli) rozy rakha karo bilashuba isky misal koi amal nahi...!!!"




Achi Guftago karna aur Khana Khilana:
Sayyadna Haani (bin yazeed) r.a sy marwi ha ky jab woh Rasool Allah s.a.w ky pas hazir howey to arz kya ay Allah ky Rasool s.a.w konsi cheiz jannat wajib karti ha? Aap s.a.w ny farmaya: "Achi guftago kiya kro aur khana khilaya karo...!!!"




Musalman bhai ki Izzat ka Difa karna:
Sayadna Abu Darda r.a sy marwi ha woh Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky aap s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny apny bhai uski gair mojodgi mein uski izzat ka difa kiya Allah Tala qayamat ky din us ky chahry sy jahanum ki aag ko door kar dien gy...!!!"




Zuban aur Sharamgah ki Hifazat:
Sayadna Sahal bin Saad r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a..w ny farmaya: "Jo shakhs mujhy is cheiz ki zamanat dy jo isky jabron ky darmian ha yaani zuban aur jo do tango ky darmian ha yani sharamgah main usey jannt ki zamanat deta hon...!!!"



Allah Tala ky Ninanwy Naam Hifz karna:
Sayyadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny irshad farmaya:  "Bila-shuba Allah Tala ky Ninanwy (99) Naam hain jis ny in ko shumar (hifz) kar liya woh jannat mein dakhil hoga...!!!"




Sorat Ikhlas sy Muhabbat karna:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky main Nabi-e-Kareem s.a.w ky hamrah aisy aadmi ky pas aaya jo sorat ikhlas ki tilawat kr raha tha Aap s.a.w ny farmaya: "Wajib ho gai" mainy arz kiya, wajib ho gai? Aap s.a.w ny farmaya: "Jannat wajib ho gai...!!!"



Masajid ki taraf jana:
Sayydna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh Nabi Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs subha ko aur sham ko masjid ki taraf gaya Allah Tala usky liye jannat me mahmaan nawazi ka saman har martaba tayyar kar dety hain jab bhi woh subha ya sham ky waqat gaya...!!!"




Deeni Ilm Hasil karna:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs husool-e-ilm keliye kisi rasty par chala Allah Tala us ky liye us ky badly jannat ka rasta aasan bana deingy...!!!"



Sharm-o-haya ikhtiyar karna:
Sayyadna Abu Huraira r.a sy marwi ha wo Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Haya iman sy ha aur iman (waly) jannat mein hongy...!!!"



Bila Zarorat kisi sy Sawal karna:
Sayadna Soban r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya kon ha jo mujhy us baat ki zamanat dy ky wo logon sy kisi cheiz ka sawal nahi kary ga to main usey jannat ki zamanat deta hon Sayadna Soban r.a ny kaha main phir woh kisi sy kuch nahi mangty they...!!!"



Tasbeeh-o-Tamheed karna:
Sayadna Jabir r.a sy marwi ha woh Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jis skhakhs ny "Subha Allah Ilazeem Wabihamdihi" yeh kaha usky liye jannat mein aik khajor ka darakht laga diya jata hai...!!!"




Takabbur, Khayanat aur Qarz sy dor rahna:
Sayadna Soban r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo rooh jism sy juda hoi aur wo teen cheizon, takabbur, khayant aur qarz sy bari thi to woh Jannat me dakhil hogi...!!!"



Masjid mein Azan dena:
Sayyadna Abdullah bin Umer r.a sy marwi ha Aap s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny bara saal nimaz keliye azan kahi usky liye jannt wajib ho gai...!!!"



Orat ka Ahkam-e-Islam ki pabandi:
Sayyadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jo orat panch nimazien parhy, Maah-e-Ramzan ky rozy rakhy, apni sharam gah ki hifazat kray, apny shohar ki ataat kary to jannat ky darwazon mein sy jis sy chahy dakhil ho jaye...!!!"



Hajj-e-Mabroor karna:
Sayadna Abu Huraira sy marwi ha aap s.a.w ny farmaya: "Hajj-e-marbroor naiki wala haj ka sawab jannt hi hai...!!!"



Allah sy Dar kar Rona aur us ki raah mein pahra dena:
Sayyadna Ibn-e-abbas r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky mainy Rasool Allah s.a.w ko farmaty howey suna: "Do aankhon ko jahanum ki aag nahi choo sakti aik woh jo Allah ky dar sy ro pari aur dosri woh aankh jo raah fi sabilillah mein pahra dety howey raat guzarti hai...!!!"



Razaye Ialahi ki khatir deeni bhai ki Ziyarat karna:
Sayyadna abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny kisi mareez ki ayadat ki ya razaye ilahi ki khatir apny deeni bhai ki ziyarat ki to us ky liye manadi ailan karta ha ky tu khush ho ja tera (in kamo keliye) chalna umda ha aur tuny apna thikana jannat mein bana liya hai...!!!"



Wazoo ky baad Nafal parhna:
Sayadna Uqba bin Aamir r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo musalman bhi wazoo karta ha aur acha wuzoo karta ha phir khara ho kar do rikat nimaz ada karta ha jis mein woh apny dil aur chahry sy mutawajja rahta ha (yani kamil khusho aur yaksai ikhtiar karta hai) to usky liye jannat wajib ho jati hai...!!!"



Nabi-e-Kareem s.a.w par Darood Bhejna:
Sayadna Ibn-e-abbas r.a sy marvi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs mujh par darood bhejna bhool gaya (yani chor diya) usny jannat ka rasta kho diya...!!!"



La-howla-wala quwatta illa billa kahna:
Sayadna Abu Mosa Ashari r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Ay abdullah bin qais kiya main tumhain jannat ky khazano mein sy aik khazana na bataoun mainy arz kiya kiun nahi zaroor ay Allah ky Rasool Aap s.a.w ny farmaya kaho "la howla wala quwatta illa billa" na hi kisi burai sy bachny ki taqat ha aur na hi naiki karny ki quwat magar Allah ki madad ky sath...!!!)"



Lain Dain mein Fayazi sy kam Lena:
Sayadna Usman Bin Afan r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah tala ny aik shakhs ko jannat mein dakhil kar diya jo kharidty waqat farokht karty waqt faisla karty waqt aur taqaza karty waqt narmi aur fayazi sy paish aata tha...!!!"



Masaib par Sabar karna:
Sayadna Abu Imama r.a sy marwi ha wo Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah azzawa jal farmaty hain ibne aadam agar tu sadmy ky shuro shuro mein sabar kary ga aur sawab ki niyat rakhy ga to main tery liye sawab mein jannat hi dena pasand karonga...!!!"



Aankhon ki Binayi chaly jany par Sabr karna:
Sayadna Anas r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky mainy suna rasool Allah s.a.w farmaty they: "Keh Allah Tala farmaty hain jab main apny bandy ko uski do piyari cheizo ky zarye yani aankhon sy mahroom kar ky aazmaon pas woh us par sabr kry to main usky badly usey jannat donga...!!!"



Allah Tala par Tawakkal karty howey dam talab na karna:
Sayadna Imaran bin Hussain r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Meri ummat ky satther afrad bagair hisab kitab ky jannat mein dakhil hongy sahaba kiram ny daryaft kiya ay Allah ky Rasool s.a.w wo kon hongy Aap s.a.w ny farmaya wo aisy log hongy jo dam talab nahi karty bad shagoni nahi pakarty aur dag nahi lagwaty balkah apny rab par tawakkl rakhty hain...!!!"



Kabira Gunahon sy bachna:
Sayadna Abu Ayyub Ansari sy marwi ha ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs (qayamat ky din us hal mein) aaya ky wo Allah tala ki ibadat karta tha, usky sath shirk nahi karta tha, nimaz qaim karta tha, zakat ada karta tha, ramzan ky rozy rakhta tha aur kabeera gunahon sy bachta tha to yaqenan usky liye jannat hai...!!!"



Bakasrat Jannat ka Sawal karna:
Sayyadna Ans bin Malik r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs teen martaba jannat ka sawal kary to jannt kahti hai, Ay Allah isy jannt mein dakhil kar dy...!!!"



Sorat Mulk ki Tilawat karna:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi hai woh bayan karty hain ky Nabi-e-Kareem s.a.w ny farmaya: "Quran majeed mein aik aisi sorat ha jiski tees (30) Ayat hain yani (sorat mulk) us ny (Allah ky haan) aik admi ki sifarish ki pas us ko aag nikalwa kar, jannat mein dakhil karwa diya...!!!"



Bteiyon ki Parwarish karna:
Sayadna Ans r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis ny do larkion ki parwarish ki main aur wo in dono (unglion) ki tarha jannat mein dakhil hongy aur Aap ny yeh kahty howey apni dono ungliyon ki taraf ishara kiya...!!!"



Maan ki Khidmat karna:
Sayadna Muawia bin Jahima Aalmi r.a sy marwi ha ky jahima nabi-e-kareem s.a.w ki khidmat mein hazir howey to Aap ny daryaft farmaya: "Diya teri maan zinda hai? unho ny kaha "Haan" Aap s.a.w ny farmaya: "Uski khidmat kiya karo usky kadmo taly jannat hai...!!!"



Baap sy Husn-e-Salook karna:
Sayadna Abu Darda r.a sy marwi hai woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "baap jannat mein dakhly ka sab sy bahtreen darwaza ha aur tum is darwazy ko nafarmani aur bury salook ky zarye zaya kar lo itaat-o-farmabardari ky zarye us ko mahfooz karlo...!!!"



Nabaligh Bachon ki Wafat par sabar karna:
Sayadna ans bin malik r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky rRasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis musalman ky bhi teen nabaligh bachy mar jaein to Allah Tala un bachon par apny fazlo rahmat ki waja sy usey jannt mein dakhil farma dengy...!!!"



Kasrat sy Astagfar karna:
Sayadna Abdullah bin basar r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Nabi Kareem s.a.w ny farmaya: "Us shakhs keliye jannat ki khushkhabri ha jis ky naama aamal mein kasrat sy astagfar paya gaya...!!!"


0 comments:

Post a Comment