Showing posts with label Islamic Information. Show all posts
Showing posts with label Islamic Information. Show all posts
Sunday, 16 November 2014
at 03:57 | 1 comments | Islamic Facebook Images, Islamic Images, Islamic Information, Islamic Poetry, Islamic Shayari, Islamic sms, Islamic Urdu Images
Islamic Urdu Shayari, SMS, Quotes With Islamic Wallpapers
Ya rab teri shan jale ejalal hai
Meri maang rizq e halal hai
Meri aajizi ko kar qabool
Meri zindagi ka sawal hai...!!!
Wahi rakhy ga mery ghar ko balaoun sy mahfooz
Jo shajar sy ghonsla girny nahi deta...!!!
Log tangdasti sy jitna darty hain
Agar dono sy darein to dono sy bach jaien
Maal sy jitni muhabbat karty hain
Agar jannat sy karein to dono paa lein...!!!
Dhondta raha sukon ko har jaga umer e rawaan ky saath
Ya Rab kahein or na mila sukoon tery sajdy ky siwa...!!!
Jab main kahta hon ya Allah mera haal dekh
Hukam hota hai ky apny naama amal dekh...!!!
Kis qadar pur kaif ha teri zaat sy ishq ay Allah
Na bewafai ka khadsha, na judai ka koi khof...!!!
Mit jaye gunahon ka tasawur hi jahan sy IQBAL
Agar ho jaye yaqeen ky khuda dekh raha hai...!!!
Nahi main mohtaj duniya ka ik tery siwa ya rab
Mery sajdy qabool kar ly meri saanein totny sy pahly...!!!
Yon to rahmat teri tery ghazab py hawi hai
Phir bhi mahshar mein khudaya mera parda rakhna...!!!
Monday, 14 July 2014
at 10:06 | 1 comments | Hadees about Sajda, Islamic Facebook Images, Islamic Hadees, Islamic Images, Islamic Information, Islamic Wallpapers, Sajda-e-Sahw
Sajda-e-Sahw ka Bayan in Islamic Wallpapers | How to do Sajda-e-Sahw
Sajda-e-Sahw ka Bayan #1:
Abu Huraira r.a sy Riwayat ha Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab tum mein koi nimaz parhta ha to shaitan us ki nimaz mein shuba dalta ha aur usko yaad nahi rahta ky kitni rikatein parhein jab tum mein sy kisi ko aisa ittifaq ho to bethy bethy do sajdy kary...!!!"
Sajda-e-Sahw ka Bayan #2:
Teen ya Char Rikat ky Shak mein Sajda:
Abu Saeed Khudri r.a bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Agar tum mein kisi ko rikat ki tadad ky bary mein shak par jaye teen parhi hain yaa char? To shak ko chor dy aur yaqeen par aitamad kary. Phir salam phairny sy pahly do sajdy kary. Agar us ny panch rikat nimaz parhi to yeh sajdy uski nimaz (ki rikat) ko juft kar dein gy aur agar us ny pori char rikat nimaz parhi to yeh sajdy shaitan keliye zilaat ka sabab hongy...!!!"
Sajda-e-Sahw ka Bayan #3:
Abdur Rahman Bin Aof r.a bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ko nimaz mein yeh shak par jaye ky aaya usny aik rikat parhi ha yah do woh usko aik rikat yaqeen kary aur bakya nimaz pori kary jis ko yeh shak ho do parhi hain ya teen to woh usko do rikat yaqeen kary aur phir (aakhri qady mein) salam phairny sy pahly (saho ky) do sajdy kary...!!!"
Sajda-e-Sahw ka Bayan #4:
Qada owla ky Tark par Sajda:
Abdullab Bin Haseena r.a sy riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny sahaba kiram r.a ko zuhar ki nimaz parhai pas pahli do rikatein parh kar khary ho gaye qady mein sahwan na bethy pas log bhi Nabi-e-Rahmat s.a.w ky sath khary ho gaye yahan tak ky jab nimaz parh chuky aur aakhri qady mein salam phairny ka waqat aaya aur log salam phairny ky muntazir howey to Rasool Allah s.a.w ny takbeer kahi jab ky aap bethy howey they salam phairny sy pahly do sajdy kiye phir salam phaira...!!!
Sajda-e-Sahw ka Bayan #5:
Mugira Bin Shaba r.a kahty hain Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab koi aadmi do rikato ky baad (tashahud parhy bagair) khara hony lagy aur abhi pori tarha khara na howa ho to beth jaye lekin agar woh pori tarha khara ho gaya to phir na bethy albatta salam phairny sy pahly saho ky do sajdy ada kary...!!!"
Sajda-e-Sahw ka Bayan #6:
Nimaz sy Farig ho kar Baatein kar chukny ky Baad Sadja:
Imran Bin Hussain r.a sy riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny asar ki nimaz parhai aur teen rikat parh kar salam phair diya aur ghar tashreef ly gaye aik Sahabi Kharqab r.a Aap s.a.w ky pas aa gaye aur Aap ky saho ka zikar kiya to Aap s.a.w taizi sy logo ky paas pohanchy aur kharqab r.a ky qol ki tasdeeq chahi logo ny kaha kharqab sach kahta ha to phir Aap s.a.w ny aik rikat aur parhai phir salam phaira aur do sajdy kiye phir salam phaira...!!!
Sajda-e-Sahw ka Bayan #7:
Char ki Jaga Panch Rikat Parhny par Sajda:
Abdullah Bin Masood r.a Riwayat karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny zuhar ki nimaz (Sahwan) panch rikat parhai Aap s.a.w sy pocha gaya: Kiya Nimaz mein Ziyadti ho gai hai? Aap s.a.w ny farmaya: "Kiun?" Aahaba r.a ny arz kiya: "Aap s.a.w ny zuhar ki panch rikat parhai hain" Aap s.a.w qibla rukh howey aur do sajdy kiye phir salam phaira aur hamari taraf mutawajja ho kar farmaya: "Main bhi tumhari tarha aadmi hon, main bhi bholta hun jaisy tum bholty ho, pas jab bhool jaoun to mujhy yad dilaya karo...!!!"
Sajda-e-saho salam sy qabal ya baad mein karny ka zikar to ahadees mein aap mulahiza farma chuky hain, lekin sirf aik hi taraf salam phair kar sajdy karna aur phir atahiyat parh kar salam phairna sunnat sy sabit nahi ha kiun ky tirmazi ki riwayat ko allama naasir ud deen albani ny shaz kaha ha Ibn-e-seeren sy pocha gaya ky kiya saho ky sajdo ky bad tashahud ha unho ny jawab mein farmaya ky abu huraira r.a ki hadees mein tashahud ka zikar nahi ha...!!!
Sajda-e-Sahw ka Bayan #8:
Abu Huraira r.a sy Riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny zuhar ya asar ki nimaz parhai aur do rikat parh kar salam phair diya baaz sahaba nimaz parh kar masjid sy bahir aa gaye aur kahny lagy ky nimaz kam ho gai aik sahabi zolideen r.a ny Rasool Allah s.a.w sy arz ki kiya aap bhool gaye ya nimaz kam ho gai Aap s.a.w ny farmaya: "Na main bhola hun aur na nimaz kam hoi ha phir Aap s.a.w ny sahaba kiram sy poocha kiya zolideen sach kahta ha unhon ny kaha haan phir aap aagy barhy aur chorri hoi nimaz parhi phir salam phaira phir do sajdy kiye phir salam phaira...!!!"
Jo shakhs char rikat ki jaga teen parh kar salam phair dy phir jab usko malom ho jaye ky mainy teen rikat parhi hain to khah wo ghar bhi chala jaye aur batein bhi karly to phir bhi wo aik rikat jo rah gai thi parhy ga usko sari nimaz parhny ki zarorat nahi...!!!
Sunday, 13 July 2014
at 12:00 | 0 comments | Hadees, Hadees about Jannat, Hadees Images, Hadees in Arabic, Hadees In Urdu, Islamic Cards, Islamic Hadees, Islamic Information, Islamic Urdu Images, Islamic Wallpapers
Jannat me Dakhil Hone ki 40 Ahadees-e-Mubaraka in Islamic Wallpapers Urdu
There are Forty (40) Hadees-e-Mubarka about Paradise in Islam (Jannah) in Images for Social Media post share.
Allah ka Dar aur Acha Ikhlaq:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w sy aisy amal ky bary mein sawal kiya gaya jo sab sy ziyada logo ko jannat mein dakhil kary ga to Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah ka dar aur acha ikhlaq...!!!"
Khalos-e-dil sy Kalmy ki Shahat Dena:
Sayadna Maaz r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny khalos-e-dil sy ye shahadat di ky Allah tala ky ilawa koi mabood barhaq nahi woh jannt mein dakhil hoga...!!!"
Wafat ky Waqat Kalma Shahadat Parhna:
Sayyadna maaz bin Jabal s.a.w sy marwi hai wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ka aakhri kalam "La Ila Ha Il Lallah" hoga woh jannat mein dakhil hoga...!!!"
Sayyadna maaz bin Jabal s.a.w sy marwi hai wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ka aakhri kalam "La Ila Ha Il Lallah" hoga woh jannat mein dakhil hoga...!!!"
Apny Maal ki Hifazat mein Qatal hona:
Sayadna Abdullah Bin Umer Bin Aas r.a sy marwi ha ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs apny maal ki hifazat aur difa karty howey nahak katal kar diya gaya woh jannat mein dakhil hoga...!!!"
Yateem ki Kafalat Karna:
Sayyad na Sahal Bin Saad r.a sy Marwi hai woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Main aur yateem ki kafalat karny wala jannt mein istarha hongy aap s.a.w ny apni angusht shahadat aur darmiani ungli ky sath ishara kiya aur unky darmian kuch fasla dala...!!!"
Nimaz-e-ashraq ki char Rikaat aur Nimaz-e-zuhar sy pahly char rikat parhna:
Sayadna abu Mosa Ashari r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny nimaz ashraq ki char rikatein aur pahli nimaz (yani nimaz-e-zuhar) sy pahly char rikatien (pabandi sy) parhi us keliye jannat mein ghar bana diya gaya hai...!!!"
Nimaz-e-fajar aur Nimaz-e-asar Baqaidgi sy Ada Karna:
Sayyadna Abu Mosa r.a sy marwi ha ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis ny do thandy waqt ki nimazein (yani fajar aur asar) ada ki woh jannat mein dakhil hoga...!!!"
Har Farz Nimaz ky Bad Aayat-al-Kursi Parhna:
Sayyadna Abu Imama r.a sy Marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny har (farz) nimaz ky baad ayat ul kursi parhi usy jannat mein dakhil hony sy sirf mot ny rok rakha ha (yaani wo marty hi jannat mein dakhil ho jaye ga...!!!")
Kasrat sy Nafli Rozy Rakhna:
Sayyadna Abu Imama r.a sy Marwi ha ky unho ny arz kiya ay Allah ky Rasool s.a.w mujhy kisi aisy amal ka hukam dejiye jis ky zarye main jannat mein dakhil ho joun aap s.a.w ny farmaya: "(Kasart sy nafli) rozy rakha karo bilashuba isky misal koi amal nahi...!!!"
Achi Guftago karna aur Khana Khilana:
Sayyadna Haani (bin yazeed) r.a sy marwi ha ky jab woh Rasool Allah s.a.w ky pas hazir howey to arz kya ay Allah ky Rasool s.a.w konsi cheiz jannat wajib karti ha? Aap s.a.w ny farmaya: "Achi guftago kiya kro aur khana khilaya karo...!!!"
Musalman bhai ki Izzat ka Difa karna:
Sayadna Abu Darda r.a sy marwi ha woh Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky aap s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny apny bhai uski gair mojodgi mein uski izzat ka difa kiya Allah Tala qayamat ky din us ky chahry sy jahanum ki aag ko door kar dien gy...!!!"
Zuban aur Sharamgah ki Hifazat:
Sayadna Sahal bin Saad r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a..w ny farmaya: "Jo shakhs mujhy is cheiz ki zamanat dy jo isky jabron ky darmian ha yaani zuban aur jo do tango ky darmian ha yani sharamgah main usey jannt ki zamanat deta hon...!!!"
Allah Tala ky Ninanwy Naam Hifz karna:
Sayyadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny irshad farmaya: "Bila-shuba Allah Tala ky Ninanwy (99) Naam hain jis ny in ko shumar (hifz) kar liya woh jannat mein dakhil hoga...!!!"
Sorat Ikhlas sy Muhabbat karna:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky main Nabi-e-Kareem s.a.w ky hamrah aisy aadmi ky pas aaya jo sorat ikhlas ki tilawat kr raha tha Aap s.a.w ny farmaya: "Wajib ho gai" mainy arz kiya, wajib ho gai? Aap s.a.w ny farmaya: "Jannat wajib ho gai...!!!"
Masajid ki taraf jana:
Sayydna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh Nabi Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs subha ko aur sham ko masjid ki taraf gaya Allah Tala usky liye jannat me mahmaan nawazi ka saman har martaba tayyar kar dety hain jab bhi woh subha ya sham ky waqat gaya...!!!"
Deeni Ilm Hasil karna:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs husool-e-ilm keliye kisi rasty par chala Allah Tala us ky liye us ky badly jannat ka rasta aasan bana deingy...!!!"
Sharm-o-haya ikhtiyar karna:
Sayyadna Abu Huraira r.a sy marwi ha wo Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Haya iman sy ha aur iman (waly) jannat mein hongy...!!!"
Bila Zarorat kisi sy Sawal karna:
Sayadna Soban r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya kon ha jo mujhy us baat ki zamanat dy ky wo logon sy kisi cheiz ka sawal nahi kary ga to main usey jannat ki zamanat deta hon Sayadna Soban r.a ny kaha main phir woh kisi sy kuch nahi mangty they...!!!"
Tasbeeh-o-Tamheed karna:
Sayadna Jabir r.a sy marwi ha woh Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jis skhakhs ny "Subha Allah Ilazeem Wabihamdihi" yeh kaha usky liye jannat mein aik khajor ka darakht laga diya jata hai...!!!"
Takabbur, Khayanat aur Qarz sy dor rahna:
Sayadna Soban r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo rooh jism sy juda hoi aur wo teen cheizon, takabbur, khayant aur qarz sy bari thi to woh Jannat me dakhil hogi...!!!"
Masjid mein Azan dena:
Sayyadna Abdullah bin Umer r.a sy marwi ha Aap s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny bara saal nimaz keliye azan kahi usky liye jannt wajib ho gai...!!!"
Orat ka Ahkam-e-Islam ki pabandi:
Sayyadna Abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Aap s.a.w ny farmaya: "Jo orat panch nimazien parhy, Maah-e-Ramzan ky rozy rakhy, apni sharam gah ki hifazat kray, apny shohar ki ataat kary to jannat ky darwazon mein sy jis sy chahy dakhil ho jaye...!!!"
Hajj-e-Mabroor karna:
Sayadna Abu Huraira sy marwi ha aap s.a.w ny farmaya: "Hajj-e-marbroor naiki wala haj ka sawab jannt hi hai...!!!"
Allah sy Dar kar Rona aur us ki raah mein pahra dena:
Sayyadna Ibn-e-abbas r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky mainy Rasool Allah s.a.w ko farmaty howey suna: "Do aankhon ko jahanum ki aag nahi choo sakti aik woh jo Allah ky dar sy ro pari aur dosri woh aankh jo raah fi sabilillah mein pahra dety howey raat guzarti hai...!!!"
Razaye Ialahi ki khatir deeni bhai ki Ziyarat karna:
Sayyadna abu Huraira r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ny kisi mareez ki ayadat ki ya razaye ilahi ki khatir apny deeni bhai ki ziyarat ki to us ky liye manadi ailan karta ha ky tu khush ho ja tera (in kamo keliye) chalna umda ha aur tuny apna thikana jannat mein bana liya hai...!!!"
Wazoo ky baad Nafal parhna:
Sayadna Uqba bin Aamir r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo musalman bhi wazoo karta ha aur acha wuzoo karta ha phir khara ho kar do rikat nimaz ada karta ha jis mein woh apny dil aur chahry sy mutawajja rahta ha (yani kamil khusho aur yaksai ikhtiar karta hai) to usky liye jannat wajib ho jati hai...!!!"
Nabi-e-Kareem s.a.w par Darood Bhejna:
Sayadna Ibn-e-abbas r.a sy marvi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs mujh par darood bhejna bhool gaya (yani chor diya) usny jannat ka rasta kho diya...!!!"
La-howla-wala quwatta illa billa kahna:
Sayadna Abu Mosa Ashari r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Ay abdullah bin qais kiya main tumhain jannat ky khazano mein sy aik khazana na bataoun mainy arz kiya kiun nahi zaroor ay Allah ky Rasool Aap s.a.w ny farmaya kaho "la howla wala quwatta illa billa" na hi kisi burai sy bachny ki taqat ha aur na hi naiki karny ki quwat magar Allah ki madad ky sath...!!!)"
Lain Dain mein Fayazi sy kam Lena:
Sayadna Usman Bin Afan r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah tala ny aik shakhs ko jannat mein dakhil kar diya jo kharidty waqat farokht karty waqt faisla karty waqt aur taqaza karty waqt narmi aur fayazi sy paish aata tha...!!!"
Masaib par Sabar karna:
Sayadna Abu Imama r.a sy marwi ha wo Nabi-e-Kareem s.a.w sy bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah azzawa jal farmaty hain ibne aadam agar tu sadmy ky shuro shuro mein sabar kary ga aur sawab ki niyat rakhy ga to main tery liye sawab mein jannat hi dena pasand karonga...!!!"
Aankhon ki Binayi chaly jany par Sabr karna:
Sayadna Anas r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky mainy suna rasool Allah s.a.w farmaty they: "Keh Allah Tala farmaty hain jab main apny bandy ko uski do piyari cheizo ky zarye yani aankhon sy mahroom kar ky aazmaon pas woh us par sabr kry to main usky badly usey jannat donga...!!!"
Allah Tala par Tawakkal karty howey dam talab na karna:
Sayadna Imaran bin Hussain r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Meri ummat ky satther afrad bagair hisab kitab ky jannat mein dakhil hongy sahaba kiram ny daryaft kiya ay Allah ky Rasool s.a.w wo kon hongy Aap s.a.w ny farmaya wo aisy log hongy jo dam talab nahi karty bad shagoni nahi pakarty aur dag nahi lagwaty balkah apny rab par tawakkl rakhty hain...!!!"
Kabira Gunahon sy bachna:
Sayadna Abu Ayyub Ansari sy marwi ha ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs (qayamat ky din us hal mein) aaya ky wo Allah tala ki ibadat karta tha, usky sath shirk nahi karta tha, nimaz qaim karta tha, zakat ada karta tha, ramzan ky rozy rakhta tha aur kabeera gunahon sy bachta tha to yaqenan usky liye jannat hai...!!!"
Bakasrat Jannat ka Sawal karna:
Sayyadna Ans bin Malik r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs teen martaba jannat ka sawal kary to jannt kahti hai, Ay Allah isy jannt mein dakhil kar dy...!!!"
Sorat Mulk ki Tilawat karna:
Sayadna Abu Huraira r.a sy marwi hai woh bayan karty hain ky Nabi-e-Kareem s.a.w ny farmaya: "Quran majeed mein aik aisi sorat ha jiski tees (30) Ayat hain yani (sorat mulk) us ny (Allah ky haan) aik admi ki sifarish ki pas us ko aag nikalwa kar, jannat mein dakhil karwa diya...!!!"
Bteiyon ki Parwarish karna:
Sayadna Ans r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis ny do larkion ki parwarish ki main aur wo in dono (unglion) ki tarha jannat mein dakhil hongy aur Aap ny yeh kahty howey apni dono ungliyon ki taraf ishara kiya...!!!"
Maan ki Khidmat karna:
Sayadna Muawia bin Jahima Aalmi r.a sy marwi ha ky jahima nabi-e-kareem s.a.w ki khidmat mein hazir howey to Aap ny daryaft farmaya: "Diya teri maan zinda hai? unho ny kaha "Haan" Aap s.a.w ny farmaya: "Uski khidmat kiya karo usky kadmo taly jannat hai...!!!"
Baap sy Husn-e-Salook karna:
Sayadna Abu Darda r.a sy marwi hai woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "baap jannat mein dakhly ka sab sy bahtreen darwaza ha aur tum is darwazy ko nafarmani aur bury salook ky zarye zaya kar lo itaat-o-farmabardari ky zarye us ko mahfooz karlo...!!!"
Nabaligh Bachon ki Wafat par sabar karna:
Sayadna ans bin malik r.a sy marwi ha woh bayan karty hain ky rRasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis musalman ky bhi teen nabaligh bachy mar jaein to Allah Tala un bachon par apny fazlo rahmat ki waja sy usey jannt mein dakhil farma dengy...!!!"
Kasrat sy Astagfar karna:
Sayadna Abdullah bin basar r.a sy marwi ha wo bayan karty hain ky Nabi Kareem s.a.w ny farmaya: "Us shakhs keliye jannat ki khushkhabri ha jis ky naama aamal mein kasrat sy astagfar paya gaya...!!!"
Subscribe to:
Posts (Atom)