Monday, 14 July 2014

Sajda-e-Sahw ka Bayan in Islamic Wallpapers | How to do Sajda-e-Sahw


Sajda-e-Sahw ka Bayan #1:
Abu Huraira r.a sy Riwayat ha Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab tum mein koi nimaz parhta ha to shaitan us ki nimaz mein shuba dalta ha aur usko yaad nahi rahta ky kitni rikatein parhein jab tum mein sy kisi ko aisa ittifaq ho to bethy bethy do sajdy kary...!!!"



Sajda-e-Sahw ka Bayan #2:
Teen ya Char Rikat ky Shak mein Sajda:
Abu Saeed Khudri r.a bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Agar tum mein kisi ko rikat ki tadad ky bary mein shak par jaye teen parhi hain yaa char? To shak ko chor dy aur yaqeen par aitamad kary. Phir salam phairny sy pahly do sajdy kary. Agar us ny panch rikat nimaz parhi to yeh sajdy uski nimaz (ki rikat) ko juft kar dein gy aur agar us ny pori char rikat nimaz parhi to yeh sajdy shaitan keliye zilaat ka sabab hongy...!!!"




Sajda-e-Sahw ka Bayan #3:
Abdur Rahman Bin Aof r.a bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ko nimaz mein yeh shak par jaye ky aaya usny aik rikat parhi ha yah do woh usko aik rikat yaqeen kary aur bakya nimaz pori kary jis ko yeh shak ho do parhi hain ya teen to woh usko do rikat yaqeen kary aur phir (aakhri qady mein) salam phairny sy pahly (saho ky) do sajdy kary...!!!"



Sajda-e-Sahw ka Bayan #4:
Qada owla ky Tark par Sajda:
Abdullab Bin Haseena r.a sy riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny sahaba kiram r.a ko zuhar ki nimaz parhai pas pahli do rikatein parh kar khary ho gaye qady mein sahwan na bethy pas log bhi Nabi-e-Rahmat s.a.w ky sath khary ho gaye yahan tak ky jab nimaz parh chuky aur aakhri qady mein salam phairny ka waqat aaya aur log salam phairny ky muntazir howey to Rasool Allah s.a.w ny takbeer kahi jab ky aap bethy howey they salam phairny sy pahly do sajdy kiye phir salam phaira...!!!



Sajda-e-Sahw ka Bayan #5:
Mugira Bin Shaba r.a kahty hain Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab koi aadmi do rikato ky baad (tashahud parhy bagair) khara hony lagy aur abhi pori tarha khara na howa ho to beth jaye lekin agar woh pori tarha khara ho gaya to phir na bethy albatta salam phairny sy pahly saho ky do sajdy ada kary...!!!"



Sajda-e-Sahw ka Bayan #6:
Nimaz sy Farig ho kar Baatein kar chukny ky Baad Sadja:
Imran Bin Hussain r.a sy riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny asar ki nimaz parhai aur teen rikat parh kar salam phair diya aur ghar tashreef ly gaye aik Sahabi Kharqab r.a Aap s.a.w ky pas aa gaye aur Aap ky saho ka zikar kiya to Aap s.a.w taizi sy logo ky paas pohanchy aur kharqab r.a ky qol ki tasdeeq chahi logo ny kaha kharqab sach kahta ha to phir Aap s.a.w ny aik rikat aur parhai phir salam phaira aur do sajdy kiye phir salam phaira...!!!



Sajda-e-Sahw ka Bayan #7:
Char ki Jaga Panch Rikat Parhny par Sajda:
Abdullah Bin Masood r.a Riwayat karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny zuhar ki nimaz (Sahwan) panch rikat parhai Aap s.a.w sy pocha gaya: Kiya Nimaz mein Ziyadti ho gai hai? Aap s.a.w ny farmaya: "Kiun?" Aahaba r.a ny arz kiya: "Aap s.a.w ny zuhar ki panch rikat parhai hain" Aap s.a.w qibla rukh howey aur do sajdy kiye phir salam phaira aur hamari taraf mutawajja ho kar farmaya: "Main bhi tumhari tarha aadmi hon, main bhi bholta hun jaisy tum bholty ho, pas jab bhool jaoun to mujhy yad dilaya karo...!!!"
Sajda-e-saho salam sy qabal ya baad mein karny ka zikar to ahadees mein aap mulahiza farma chuky hain, lekin sirf aik hi taraf salam phair kar sajdy karna aur phir atahiyat parh kar salam phairna sunnat sy sabit nahi ha kiun ky tirmazi ki riwayat ko allama naasir ud deen albani ny shaz kaha ha Ibn-e-seeren sy pocha gaya ky kiya saho ky sajdo ky bad tashahud ha unho ny jawab mein farmaya ky abu huraira r.a ki hadees mein tashahud ka zikar nahi ha...!!!



Sajda-e-Sahw ka Bayan #8:
Abu Huraira r.a sy Riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny zuhar ya asar ki nimaz parhai aur do rikat parh kar salam phair diya baaz sahaba nimaz parh kar masjid sy bahir aa gaye aur kahny lagy ky nimaz kam ho gai aik sahabi zolideen r.a ny Rasool Allah s.a.w sy arz ki kiya aap bhool gaye ya nimaz kam ho gai Aap s.a.w ny farmaya: "Na main bhola hun aur na nimaz kam hoi ha phir Aap s.a.w ny sahaba kiram sy poocha kiya zolideen sach kahta ha unhon ny kaha haan phir aap aagy barhy aur chorri hoi nimaz parhi phir salam phaira phir do sajdy kiye phir salam phaira...!!!"
Jo shakhs char rikat ki jaga teen parh kar salam phair dy phir jab usko malom ho jaye ky mainy teen rikat parhi hain to khah wo ghar bhi chala jaye aur batein bhi karly to phir bhi wo aik rikat jo rah gai thi parhy ga usko sari nimaz parhny ki zarorat nahi...!!!


1 comments:

Unknown said...

Ye ahadees swae ulma ky koe nehe samg sakta.mehrbane frma ker apne kam sy he kam rakha jana behter hy .ye 10 saal perhne wale ulma ko bhe shhhe smag nahe atte ap sub is ijtehad sy loogon ko gumrah na farmeen

Post a Comment