Showing posts with label Islamic Facebook Images. Show all posts
Showing posts with label Islamic Facebook Images. Show all posts

Sunday, 16 November 2014

Islamic Urdu Shayari, SMS, Quotes With Islamic Wallpapers


Ya rab teri shan jale ejalal hai
Meri maang rizq e halal hai
Meri aajizi ko kar qabool
Meri zindagi ka sawal hai...!!!





Wahi rakhy ga mery ghar ko balaoun sy mahfooz
Jo shajar sy ghonsla girny nahi deta...!!!





Log tangdasti sy jitna darty hain
Agar dono sy darein to dono sy bach jaien
Maal sy jitni muhabbat karty hain
Agar jannat sy karein to dono paa lein...!!!





Dhondta raha sukon ko har jaga umer e rawaan ky saath
Ya Rab kahein or na mila sukoon tery sajdy ky siwa...!!!



 

Jab main kahta hon ya Allah mera haal dekh
Hukam hota hai ky apny naama amal dekh...!!!





Kis qadar pur kaif ha teri zaat sy ishq ay Allah
Na bewafai ka khadsha, na judai ka koi khof...!!!





Mit jaye gunahon ka tasawur hi jahan sy IQBAL
Agar ho jaye yaqeen ky khuda dekh raha hai...!!!





Nahi main mohtaj duniya ka ik tery siwa ya rab
Mery sajdy qabool kar ly meri saanein totny sy pahly...!!!





Yon to rahmat teri tery ghazab py hawi hai
Phir bhi mahshar mein khudaya mera parda rakhna...!!!

»»  read more

Monday, 14 July 2014

Sajda-e-Sahw ka Bayan in Islamic Wallpapers | How to do Sajda-e-Sahw


Sajda-e-Sahw ka Bayan #1:
Abu Huraira r.a sy Riwayat ha Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab tum mein koi nimaz parhta ha to shaitan us ki nimaz mein shuba dalta ha aur usko yaad nahi rahta ky kitni rikatein parhein jab tum mein sy kisi ko aisa ittifaq ho to bethy bethy do sajdy kary...!!!"



Sajda-e-Sahw ka Bayan #2:
Teen ya Char Rikat ky Shak mein Sajda:
Abu Saeed Khudri r.a bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Agar tum mein kisi ko rikat ki tadad ky bary mein shak par jaye teen parhi hain yaa char? To shak ko chor dy aur yaqeen par aitamad kary. Phir salam phairny sy pahly do sajdy kary. Agar us ny panch rikat nimaz parhi to yeh sajdy uski nimaz (ki rikat) ko juft kar dein gy aur agar us ny pori char rikat nimaz parhi to yeh sajdy shaitan keliye zilaat ka sabab hongy...!!!"




Sajda-e-Sahw ka Bayan #3:
Abdur Rahman Bin Aof r.a bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jis shakhs ko nimaz mein yeh shak par jaye ky aaya usny aik rikat parhi ha yah do woh usko aik rikat yaqeen kary aur bakya nimaz pori kary jis ko yeh shak ho do parhi hain ya teen to woh usko do rikat yaqeen kary aur phir (aakhri qady mein) salam phairny sy pahly (saho ky) do sajdy kary...!!!"



Sajda-e-Sahw ka Bayan #4:
Qada owla ky Tark par Sajda:
Abdullab Bin Haseena r.a sy riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny sahaba kiram r.a ko zuhar ki nimaz parhai pas pahli do rikatein parh kar khary ho gaye qady mein sahwan na bethy pas log bhi Nabi-e-Rahmat s.a.w ky sath khary ho gaye yahan tak ky jab nimaz parh chuky aur aakhri qady mein salam phairny ka waqat aaya aur log salam phairny ky muntazir howey to Rasool Allah s.a.w ny takbeer kahi jab ky aap bethy howey they salam phairny sy pahly do sajdy kiye phir salam phaira...!!!



Sajda-e-Sahw ka Bayan #5:
Mugira Bin Shaba r.a kahty hain Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jab koi aadmi do rikato ky baad (tashahud parhy bagair) khara hony lagy aur abhi pori tarha khara na howa ho to beth jaye lekin agar woh pori tarha khara ho gaya to phir na bethy albatta salam phairny sy pahly saho ky do sajdy ada kary...!!!"



Sajda-e-Sahw ka Bayan #6:
Nimaz sy Farig ho kar Baatein kar chukny ky Baad Sadja:
Imran Bin Hussain r.a sy riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny asar ki nimaz parhai aur teen rikat parh kar salam phair diya aur ghar tashreef ly gaye aik Sahabi Kharqab r.a Aap s.a.w ky pas aa gaye aur Aap ky saho ka zikar kiya to Aap s.a.w taizi sy logo ky paas pohanchy aur kharqab r.a ky qol ki tasdeeq chahi logo ny kaha kharqab sach kahta ha to phir Aap s.a.w ny aik rikat aur parhai phir salam phaira aur do sajdy kiye phir salam phaira...!!!



Sajda-e-Sahw ka Bayan #7:
Char ki Jaga Panch Rikat Parhny par Sajda:
Abdullah Bin Masood r.a Riwayat karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny zuhar ki nimaz (Sahwan) panch rikat parhai Aap s.a.w sy pocha gaya: Kiya Nimaz mein Ziyadti ho gai hai? Aap s.a.w ny farmaya: "Kiun?" Aahaba r.a ny arz kiya: "Aap s.a.w ny zuhar ki panch rikat parhai hain" Aap s.a.w qibla rukh howey aur do sajdy kiye phir salam phaira aur hamari taraf mutawajja ho kar farmaya: "Main bhi tumhari tarha aadmi hon, main bhi bholta hun jaisy tum bholty ho, pas jab bhool jaoun to mujhy yad dilaya karo...!!!"
Sajda-e-saho salam sy qabal ya baad mein karny ka zikar to ahadees mein aap mulahiza farma chuky hain, lekin sirf aik hi taraf salam phair kar sajdy karna aur phir atahiyat parh kar salam phairna sunnat sy sabit nahi ha kiun ky tirmazi ki riwayat ko allama naasir ud deen albani ny shaz kaha ha Ibn-e-seeren sy pocha gaya ky kiya saho ky sajdo ky bad tashahud ha unho ny jawab mein farmaya ky abu huraira r.a ki hadees mein tashahud ka zikar nahi ha...!!!



Sajda-e-Sahw ka Bayan #8:
Abu Huraira r.a sy Riwayat ha ky Rasool Allah s.a.w ny zuhar ya asar ki nimaz parhai aur do rikat parh kar salam phair diya baaz sahaba nimaz parh kar masjid sy bahir aa gaye aur kahny lagy ky nimaz kam ho gai aik sahabi zolideen r.a ny Rasool Allah s.a.w sy arz ki kiya aap bhool gaye ya nimaz kam ho gai Aap s.a.w ny farmaya: "Na main bhola hun aur na nimaz kam hoi ha phir Aap s.a.w ny sahaba kiram sy poocha kiya zolideen sach kahta ha unhon ny kaha haan phir aap aagy barhy aur chorri hoi nimaz parhi phir salam phaira phir do sajdy kiye phir salam phaira...!!!"
Jo shakhs char rikat ki jaga teen parh kar salam phair dy phir jab usko malom ho jaye ky mainy teen rikat parhi hain to khah wo ghar bhi chala jaye aur batein bhi karly to phir bhi wo aik rikat jo rah gai thi parhy ga usko sari nimaz parhny ki zarorat nahi...!!!


»»  read more

Sunday, 29 June 2014

Ramzan Chand Mubarak SMS in Urdu with Wishes Wallpapers


Chand ki Pehli Dastak Pay
Chand Mubarak Kehtay Hain,
Sub Say Pehlay Hum Aap Ko

"RAMZAN MUBAARAK" Kehtay Hain...!!!




Ramadan Kareem Mubarik. May Allah Enables us to do More and More Good Deeds and to Make the Most of this Month...
May Allah Forgive are Sins (Aameen)
Remember Me In your Prayers...!!!





Aey Maah-e-Ramzan Aahista Chalna
Hamein Khasa Qarz Chukana Hai,
Kuch Khawab Hain Jinko Likhna Hai
Or Tabeeron Ko Pana Hai,
Kuch Log Hain Ujray Dil Waly
Un Sab Mein Pyar Basana Hai,
Or Khizan Raseeda Angan Mein
Ab Aman Ka Beej Lagana Hai,
Kuch Toba Krni Baqi Hai
Or Rab Ko Hamein Manana Hai,
Aey Maah-e-Ramzan Aahista Chalna
Hamen Khasa Qarz Chukana Hai...!!
Aamad-e-Ramzan Mubarak...!!!
Ramzan Ka Chand Mubarak...!!!




Maah-e-Ramzan Me Apni Duaoon Ky Khas Lamhat Me Do Jahanke Afiyaat Mangna,
Dozaakh Se Nejaat Mangnaa, Rizq-E-Halal, Husn-e-Aikhlaq Mangnaa,
Ishq-e-Rasool, Shuker Karny Wali Zuban Or Sabar Karny Wala Dil Mangnaa,
RAMZAN KI AAMAD MUBARAK RAMZAN KA CHAND MUBARAK...!!!




Aey Rehmat-e-Azeem Ke Mehmaan Assalam,
Quran Ke Nuzul Ke Samaan Assalam,
Ramzan Assalam Hai Ramzan Assalam
Ramzan Ka Chand Bohot Mubarak Ho...!!!




YAA ALLAH!
Ramadan-ul-Mubarak Ki Ibtida Hai, Hameiy Ziada Se Ziada Nekian Kamanay Or buraiyon Se Door Hone Ki toufeeq Ata Farma...!!! (Aameen).
Ramzan Ka Chand Mubarak...!!!




Raat ko naya chand mubarak
Chand ko chandni mubarak,
Falak ko sitare mubarak
Sitaroon ko bulandi mubarak,
Aur aap ko hamari taraf se
RAMADAN MUBARAK...!!!




Ramadan ka chand daikha,
Rozay ki dua mangi,
Roshan sitara daikha,
Aap ki khairiat ki duaa mangi,
May Almight Allah bless you with his
blessing in the holy month of Ramadan...!!!
Happy Ramzan...!!!




Sub Ko Ramzan Mubarak.
Allah ko yaad kijiye aur unse jo chahe maang lijiye.
Ho sake to hamein bhi yaad kar lijiye. May all your wishes come true. (Aameen).




The month of Ramadan, in which the QURAN was revealed, a guidance for mankind and clear proofs criterion (between right and wrong). So whoever of you is present during this month should observe its fast...!!!



»»  read more

Sunday, 22 June 2014

Islamic Wallpapers for Facebook Hadees or Quran


Hazrat Abdullah Bin Umer r.a sy marvi ha keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Allah Taala raham karny walon par raham karta hai tum zameen walon par raham karo aasman wala tum par raham kary ga raham rahman sy mashtak ha jo shakhs rishta jory ga Allah taala usey (apni rahmat ky sath) jory ga aur jo rishta tory ga Allah tala usey (apni rahmat sy) torr dy ga...!!!"




Mahboob sy Mahroomi par Sabar Karny waly Insan ki Fazelat:
Hadees-e-qudsi hai Allah tala farmaty hain:
"Mera woh momin banda ky jab main ahal-e-dunya mein sy uska koi mahboob tareen saathi apny pas bula lon, phir who usy Allah ka hukam samajh kar hansi khushi qabool kar ly to mery pas uska badla jannat ky siwa kuch nahi hai...!!!



Rafa Hajat ky Masail:
Abdullah bin umer farmaty hain keh Rasool Allah s.a.w peshab kar rahy they ky aik aadmi ny Aap s.a.w ko salam kiya magar Aap s.a.w ny uska koi jawab na diya is hadees sy maloom howaa ky rafa hajat ki halat mein kalam karna mukroh hai...!!!
Nabi Rahmat s.a.w ny gusal khany mein peshab karny sy mana farmaya...!!!



Bhlai Ke Kam Me Sifarish Karny Ki Fazeelat:
Allah tala ka farman hai: "Jo bhalai ki safarish kary ga wo us mein sy hissa paaye ga...!!!"
Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Sifarish karo tumhain ajar ata kiya jaye ga...!!!"



Quran ki Tilawat:
Allah tala ny farmaya: "Aur jab quran parha jaya kary to uski taraf kan laga diya karo aur khamosh raha karo umeed ha ky tum par rahmat ho...!!!"
Aur Quran ko thahar thahar kar parha kar...!!!


»»  read more

Saturday, 21 June 2014

Hadees ke Hawala se Waldain ki Nafarmani or Uski Saza in Urdu Tarjuma


Waldain ka na farman Jahanumi hai:
Umer Bin Marah r.a bayan karty hain keh aik aadmi Nabi Kareem s.a.w ki taraf aaya us sy kaha ay Allah ky Rasool s.a.w! main gawahi deta hun ky Allah ky siwa koi mabood barhaq nahi aur aap Allah ky Rasool hain aur main panch nimazein parhta hun apny maal ki zakat deta hun aur ramzan ky rozy rakhta hun Aap s.a.w ny farmaya: "Jo is par (yani mazkora aamal par) mar jaye woh qayamt ky din anbia siddeqein (intahai sachy) aur shohada ky sath is tarha hoga aur Aap s.a.w ny do unglion ko khara kiya jab ky us ny waldain ki Nafarmani na ki hogi...!!!"



Waldain ka Nafarman Jannat mein Dakhil nahi Hongy:
Abdullah
r.a farmaty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky din teen aadimion ki taraf Allah Tala nahi dekhy ga:"
1: Waldain ka Nafarman.
2: Mardon ki Mushabihat karny wali Orat.
3: Deos.


»»  read more

Khany sy Faragat ky Baad ki Dua in Urdu Tarjuma Image


Khany sy faragat ky baad ki dua:
"Har kism ki tareef Allah hi keliye ha jis ny yeh khana mujhy khilaya aur mujhy yeh (khana) ata kiya bagair meri kisi taqat ky aur bagair meri kisi quwat ky...!!!"
Wazahat: Allah ka nam lekar khana shuro karna aur farig ho kar Allah ka shukar ada karna naimat mein barkat ka baais hai...!!!


»»  read more

Friday, 20 June 2014

Duniya or Akhirat ki Zindagi Hadees-e-Mubarka in Urdu Tarjuma


Dunya ki Zindagi:
"Allah jis keliye chahata ha rizq kushada kar deta ha aur (jis keliye chahata ha) tang karta aur wo dunya ki zindagi par khush ho gaye hain halan ky dunya ki zindagi aakhrat ky mukabla mein thory sy saaman ky ilawa kuch nahi...!!!"
Hadees mein aata ha ky dunya ki hasiat aakhrat ky muqably mein aisy ha jaisy koi aadmi apni ungli samander mein dal kar nikaly aur dekhy samandar ky pani ky muqably mein uski ungli mein kitna paani aaya hai...!!!
»»  read more

Islamic Inspirational Hadees and Ayaat about Namaz in Urdu Translation


Hazrat Abu Huraira sy Riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Jis ny apny ghar mein paaki hasil ki phir Allah ky gharon mein sy kisi ghar ki taraf Allah taal ky faraiz mein sy kisi fareza ki adaigi ki khatir chala to us ka aik naqsh-e-kadam aik gunah ko mitata ha aur dosra aik darja buland karta hai...!!!"




Masajid ki taraf jana:
Aur Jabir Bin Abdullah r.a sy riwayat ha woh bayan karty hain ky hamary makanat masjid sy door aik gosha mein they chunachy ham ny apny makanat farokhat kar ky masjid sy qareeb aabad hony ka irada kiya to Allah ky Rasool s.a.w ny ham ko us sy mana farmaya aur kaha: "keh tumhary har kadam ky badla darja hai...!!!"




Jabir bin samra r.a bayan karty han ky ham Rasool Allah s.a.w ki majalis mein betha, karty they aap subh ki nimaz parhny ky baad soraj ky nikalny tak masjid mein bethty, jab soraj taloo hota to aap (jany keliye) khary hoty, ham (masjid mein) zamana-e-jahiliat ky muamlat ka zikar karty (guftago ky doran) ham hansty bhi they aur muskuraty bhi...!!!




Nimaz ki Ahmiat:
Bureeda r.a riwayat karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmay: "Hamary aur munafiqon ky darmian ahad Nimaz ha jis ny nimaz chor di pas usny kufar kiya...!!!"




Khof-e-Ilahi sy rona:
Aap s.a.w raat ki nimaz mein Allah Tala ky dar sy buhat roty they hazrat bilal ny aik dafa Aap s.a.w sy poocha "Allah ky Raool! Aap kiun roty hain? jab ky Allah ny Aap ky agly pichly sab gunah bakhsh diye hain. Aap s.a.w ny farmaya:
"Kiya main Allah ka shukar guzar banda na bano? Aaj Rat mujh par aik azeemushan aayat utri ha afsos us par jo usey parhy magar ghor-o-fikar na kary."
"Bila shuba zameen-o-aasman ki takhleeq aur din rat ki gardish mein aqal mand logo keliye beshumar nishanian hain...!!!"




Nimaz ky liye jany mein jaldi karna:
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat ha keh Allah ky Rasool s.a.w ny farmaya: "Azan aur pahli safa ka sawab agar logo ko malom hota to woh qurandazi karty aur agar waqat nimaz parhny ki fazeelat sy log wakif hoty to aik dosry par sabkat ly jany ki koshish karty...!!!"




Rasool Allah s.a.w ny farmaya:
"Hamary aur kafiro ky darmian farq nimaz ha jis ny nimaz chor di us ny kufar kiya."
"Musalman aur kufr-o-shirk ky darmian farq nimaz hai...!!!"





Rasool Allah s.a.w ny farmaya:
Hazrat abdullah bin umer bin al aas sy riwayat ha keh: "Nabi  Pak S.A.W ny aik roz aik nimaz ka zikar kiya aur farmya: "Jis ny is nimaz ki pabandi ki rozy qayamat us ky samny aik roshni hogi aur burhan hogi aur jahanum sy aazadi ka parwana mily ga aur jis ny is ki pabandi na ki wo roshni o burhan sy mahroom kar diya jaye ga aur jahanum uska thikana bany gi aur rozy qayamat wo Qaaron, Firon, Haman aur Ubi bin khalf ky sath hoga...!!!"




Nimaz aur sabar sy madad talab karna:
"Aey iman walon sabar aru nimaz ky zarye sy madad chaho Allah taala sabar walon ka sath deta hai...!!!"



»»  read more

Wednesday, 18 June 2014

Aayat and Hadith Meaning in Urdu with Images



Aap s.a.w ny farmaya: "Qayamat ky roz bandy sy jis cheiz ka sab sy pahly hisab liya jaye ga wo farz nimaz ha pas agar us ny nimazien pori parhi hongi, to woh pori likhi jaien gi, lekin agar pori na parhi hongi, to Allah Tala apny farishton sy farmaye ga: Dekho! kiya (nama aamal mein) mery bandy ky koi nafal bhi hain? (agar hain) to us sy un ky farzo ki kami pori kar do, phir usi tarha us ki zakat ko dekha jae ga phir us ky bad usi tarha dosry farz aamal ka hisab hoga...!!!



Abu Zar r.a riwayat karty hai keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Tera kiya hal hoga? Jis waqat tujh par aisy imam hakim hon gy jo nimaz mein dair karein gy ya us ky waqat sy qaza karein gy...!!!"
Mainy kaha Aap mujhy is hal mein kiya hukam farmaty Aap s.w.a ny farmaya: "Nimaz ko us ky waqat par parh phir agar tu is nimaz ki jamat ko un ky sath paa ly to un ky saath dobara nimaz parh ly tahqeeq yeh nimaz tery liye nafal hogi...!!!"


Rasool Kareem s.a.w ny Eid-ul-Azha ky moqa par nimaz Eid ky baad qurbani karny ko apni sunnat qarar diya ha imam bukhari aur imam muslim ny Hazrat Baraa r.a sy riwayat naqal ki ha ky unho ny bayan kiya ha keh Rasool Allah s.a.w ny Irshad Farmaya:
"Be-shak us din ham pahla kaam yeh karty hain ky Nimaz-e-Eid ada karty hain phir aaty hian aur qurbani karty hain jis shakhs ny aisa kiya us ny hamari sunnat ko pa liya...!!!"




Sayyedna Ans Bin Malik sy marwi hai: "Woh bayan karty hain ky Rasool Allah s.a.w ny farmaya jo shakhs teen martaba jannat ka sawal kary to jannt kahti hai, ay Allah! isy jannat mien dakhil kar dy...!!!"




Abdullah Bin Masood r.a farmaty hain: Main ny Rasool Allah s.a.w sy sawal kiya keh Allah Tala ko konsa amal ziyada mahboob hai?
Aap s.a.w ny farmaya: "Waqat par nimaz parhna"
Mainy kaha phir konsa?
Aap s.a.w ny farmaya: "Maan Baap ky sath naik salook karna"
Mainy kaha phir konsa?
Ap s.a.w ny farmaya: "Allah ke rasty mein jihad karna...!!!"



Jabir r.a riwayat karty hain keh Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Jo shakhs azaan ka jawab dy aur phir azaan khatam hony par ye dua parhy usky liye qayamt ky din meri shafaat wajib ho jati hai...!!!"
"Is pori pukar (Azan) ky aur (Qiyamat Tak) qaim rahny wali nimaz ky Rab Muhammad s.a.w ko waseela aur bazurgi ata farma aun unhain us Maqam-e-Mahmood par pohancha jis ka tuny unsy wada kiya hai...!!!"



Sayyadna Abu Huraira r.a sy riwayat hai Rasool Allah s.a.w ny farmaya: "Ramzan ky baad sab sy fazeelat wala roza Allah ky maheeny muharram ka hai aur farz ky baad sab sy ziyada fazeelat wali nimaz raat ki nimaz hai...!!!"

 

Allah ka farman:
"Momin mardon sy kah dejiye ky apni nigahein neehci rakhein aur apni sharam gaho ki hifazat karein ye un keliye ziyada pakeza ha beshak Allah us sy pori tarha khabardar ha jo wo karty hain...!!!"



"Ay Iman walo Allah sy daro aur har shakhs ye dekhy ky us ny kal qayamt ky liye kiya aagy bheja ha aur Allah sy darty raho jo kuch bhi tum karty ho Allah us sy ba khabar ha...!!!"



"Abi bin kaab r.a sy riwayat hai keh Rasool Allah s.a.w witron sy salam phair kar teen baar ye parhty "Pak ha Badshah Nihayat pak...!!!"

 
»»  read more