Showing posts with label Faraz Poetry. Show all posts
Showing posts with label Faraz Poetry. Show all posts

Monday, 31 March 2014

Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni,


Ye kya kay sab say bayaan dil ki haalatain karni
'Faraz' tujhko na aain mohabbatain karni,

Ye qurb kya hai kay tu saamnay hai aur hamain
Shumaar abhi se judaai ki sa'atain karni,

Koi Khuda ho kay pathar jisay bhi hum chaahain
Tamaam umr usi ki ibaadatain karni,

Sab apnay apnay qareenay say muntazir us kay
Kisi ko shukr kisi ko shikaayatain karni,

Hum apnay dil se hain majbuur aur logon ko
Zaraa si baat pe barpaa qayaamatain karni,

Milain jab un say to mubaham si guftagu karna
Phir apnay aap se sau-sau wazaahatain karni,

Ye log kaisay magr dushmani nibhaatain hain
Humiin ko raas na aain mohabbatain karni,

Kabhi 'Faraz' naye mausamon main ro dena
Kabhi talaash puraani raqaabatain karni.
»»  read more

Sunday, 23 February 2014

Faraz Poetry, Farz Urdu Poetry, Faraz Sad Poetry, Faraz Sms,


Wo apnay faiday ki khatir phir aa milay thay hum se FARAZ
Hum nadan samjay k hamari duaon mein asar hai,
»»  read more

Sunday, 15 December 2013

Faraz Poetry, Faraz Funny Poetry, Funny Urdu Poetry, Faraz Urdu Funny Poetry,

Aik he sad main karre hogaye mehmood o ayaaz
Aur un ki jotiyan lay k bhag gaya Faraz, 
»»  read more

Wednesday, 16 November 2011

Sarapa ashk hon main ab bikhar jaon to behtar hai



Sarapa-e-Ashk hoon main ab bikhar jaon to behtar hai
Jidhar jatay hain ye baadal udhar jaon to behtar hai

Ye dil kehta hai tere shehar mein kuch din theher jaon
Magar halaat kehtay hain k ghar jaon to behtar hai

Dilon mein farq aayen ge taalluq toot jayen ge
Jo daikha jo suna us se mukkar jaon tou begtar hai

Yahan hai kon mera jo mujhe samjhe "FARAZ"
Main koshish kar kay ab khud he sanwar jaon to begtar hai..
»»  read more

Sunday, 6 November 2011

Dil bhi bujha ho shaam ki parchaiyaan bhi hon


Dil bhi bujha ho shaam ki parchaiyaan bhi hon
Mar jaiyae jo aisay mae tanhaiyaan bhi hon

Ankhon ki surkh laher hay moj-e-supurdgi
Yeh kiya zaroor hay k ab angraiyaan bhi hon

Her husan-e-sada loh na dil mae utar saka
Kuch to mizaj-e-yar mae gahraiyaan bhi hon

Dunya k tazkiray to tabiyat hi lay bujhay
Baat is ki ho to phir sukhan araiyaan bhi hon

Pehlay pehal ka ishq ab bhi yaad hay FARAZ
Dil khud yeh chahta tha k ruswaiyaan bhi hon

»»  read more

Ruk jati hai nazar nazar-had tak



Ruk jati hai nazar nazar-had tak


Dil to chahta hai jaha'n tum ho waha'n tak dekho
»»  read more

Gila karein to kaise krein






Gila karein to kaise krein ”FARAZ”

Wo bewafa sahi intikhab apna hai

»»  read more

Koi muntazir hy uska



Koi muntazir hy uska kitni shidat se”FARAZ”


Woh janta hy pr anjan bna rehta hy


»»  read more

Usay mie yad ata ho





Usay mie yad ata ho mager fursat k lamho mie “FARAZ”
mager ye haqeeqat hy k usay fursat nhi milti….
»»  read more

Tuesday, 1 November 2011

Ye kon shakhs



Ye kon shakhs hy jo meri bat nai sunta? 




Ye kon shakhs hy jo meri bat nai sunta? 

Main chlta hun to wo mere sath nai chalta? 

Andheri rat main tanha baith kar? 
Mein jalta hun to wo mere sath nahi jalta? 

Mein is kabil to hun k wo mujh se baat kare? 
Mein khuwab dekhun to wo tabeer nai banta? 

Barson pehle us ne ik baat kahi thi? 
K main piyar to karta hun magar izhaar nai krta? 

Ik yahi us k piyar ki qaid kafi hy"FaRaZ" 
Wo zanjeer hila deta hy mgr"AZAAD"nai krta.. 

M. Fayyaz Gull.
»»  read more