Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Friday 12 September 2014

Parveen Shakir Poetry, Parveen Shakir Romantic Poetry,


Nazar jab us se milti thi
Men khud ko bhool jata tha
Bas ik dharrkan dharrakti thi
Men DIL ko bhool jata tha
Ussay milney se pehley men boht sajta sanwrta tha.
Magar jab wo sanwarti thi
Men khud ko bhool jata tha
Men aksar kitabon pr
Usi ka nam likhta tha
Magar kuch wo jo likhti thi
Men likhna bhol jata tha
Men aksar hi ye kehta tha
Men tum se pyar krta hon
Mgr jab wo ye kehti thi
Me dunya bhol jata tha.
»»  read more

Sunday 11 May 2014

Parveen Shakir Urdu Ghazal Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye Kabhi Chalty Chalty Bhatak Gaye

Parveen Shakir Urdu Ghazal kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chalty chalty bhatak gaye Image

Kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chalty chalty bhatak gaye
Yonhi umer sari guzar di yonhi zindagi sitam sahay
Kabhi nend mein kabhi hosh mein to jahan mila tujhy dekh kar
Na nazar mili na zuban mili yonhi sar jhuka ky guzar gaye
Kabhi zulf par kabhi chashm par kabhi tery haseen wajod par
Jo pasand they meri kitab mein wo shair sary bikhar gaye
Kabhi arsh par kabhi farsh par kabhi unky dar kabhi darbadar
Gham-e-aashiqi tera shukria ham kahan kahan sy guzar gaye...!!!


»»  read more

Tuesday 25 February 2014

Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hon, (Parveen Shakir), Urdu Poetry By Parveen shakir,


Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hon
Gunah Kon Sa Aisa Main Yar Krti Hon,

Meri Khataon Main Meri Samjh Ka Nhi Koi Dakhl
Main Jo Bhi Krti Hon Be-Ikhtyar Krti Hon,

Tu Ktne Pyar K Qabil Hai Kya Khabar Mujh Ko
Main To Jitna B Mumkin Hai Pyar Krti Hon,

Woh Ghair Ho Ya Sajan Koi B Ho Mgr Us Say
Main Tera Tazkra Dewana War Krti Hun,

KHUDA Ki Duniya Sy Itni Mohabt Nhi Hai Shayed
KHUDA K Ek Bandy Ko Main "Jitna Pyar Krti Hon.
»»  read more

Monday 29 July 2013

Woh bachpan ki neend to ab khawb ho gayi

Woh bachpan ki neend to ab khawb ho gayi,
Kya umar thi key raaat huyi aur so gaaye..!
»»  read more

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahu main

Doobi hain meri ungliyaan khud apne lahu main,
Yeh kaanch ke tukrron ko uthaney ki sazaa hai..!
»»  read more

Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin

Woh aik rishta benaam bhi nahin lekin,
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaon gi.!
»»  read more

Ab aur jeeney ki surat nazar nahin Aati

Ab aur jeeney ki surat nazar nahin Aati,
Kisi tarah bhi achi khabar nazar nahin ati,
Ussi ke aas main hai dil ka hujraa tareek,
Woh roshni jo kabhi mere ghar mein nahin ati,
Woh meherbaan hai to mehraab-o-baam tak na rahe,
Yeh dhoop kyon pas-ey dar o deewar nahin ati,
Hayaat mein ab koi aesa morr nahin,
Ke jis ke baad teri rahguzar nazar nahin ati,
Qabooliyat ki hai gharri to us ko maang hi loon,
Ke yeh gharri kabhi baar-e-dagar nahin ati,
Saraaye khaana dunyiyaa main shaam hoti hai,
Musaafiron ko naveed-e-safar nazar nahin ati..!
»»  read more

Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha
Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha
Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha
Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha
Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay,
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha..!
»»  read more

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay

Ab Bhala Chorh Ke Ghar Kia Kartay
Shaam Ke Waqt Safar Kia Kartay
Teri Masroofiatain Jaantay Hain
Apne Aanay Ki Khabar Kia Kartay
Jab Sitaaray Hee Nahi Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-o-Qamar Kia Kartay
Wo Musaafir Hee Khuli Dhoop Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kia Kartay
Khaak Hee Awwal-o-Aakhir Thehri
Kar Ke Zarray Ko Gohar Kia Kartay
Raaye Phele Se Bana Li TU Ne
Dil Mein Ab Ham Tere Ghar Kia Kartay
Ishq Ne Saaray Saleeqay Bakhshay
Husn Se Kasb-e-Hunar Kia Kartay
»»  read more

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai

Badal dena hai rasta ya kahin par beth jana hai,
Ke thaktaa ja raha hai humsafar ahistaa ahistaa.!
»»  read more

Marney se bhi pehle mar gaye they

Marney se bhi pehle mar gaye they,
Jeeney se kuch aese dar gaye they,
Rastey mein jahan talak diye they,
Saarey mere hamsafar gaye they,
Aankhain abhi khul nahin saki thi’n,
Aur khawb mere bikhar gaye they,
Jab tak na khila tha us ka waada,
Mausam mere be’samar gaye they,
Ab tak wohhi nasha e paziraaayi,
Kya jaaniye hum kidhar gaye thy.!
»»  read more

Thursday 30 August 2012

Tumhara Kehna Hai


Tumhara Kehna Hai 

Tum Mujhey Be Panha Shiddat Se Chahtay Ho

Tumhari Chahat 

Visaal Ki Akhri Hadhon Tak

Meray Faqat Meray Naam Hogi

Mujhey Yaqeen Hai,Mujhey Yaqeen Hai

Magar Kasam Khanay Walay Larkay!!!

Tumhari Ankhon Main Aik Til Hai
»»  read more