Showing posts with label Love Sad Ghazals. Show all posts
Showing posts with label Love Sad Ghazals. Show all posts

Sunday 11 May 2014

Parveen Shakir Urdu Ghazal Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye Kabhi Chalty Chalty Bhatak Gaye

Parveen Shakir Urdu Ghazal kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chalty chalty bhatak gaye Image

Kabhi ruk gaye kabhi chal diye kabhi chalty chalty bhatak gaye
Yonhi umer sari guzar di yonhi zindagi sitam sahay
Kabhi nend mein kabhi hosh mein to jahan mila tujhy dekh kar
Na nazar mili na zuban mili yonhi sar jhuka ky guzar gaye
Kabhi zulf par kabhi chashm par kabhi tery haseen wajod par
Jo pasand they meri kitab mein wo shair sary bikhar gaye
Kabhi arsh par kabhi farsh par kabhi unky dar kabhi darbadar
Gham-e-aashiqi tera shukria ham kahan kahan sy guzar gaye...!!!


»»  read more

Wednesday 23 April 2014

Sad Mohabbat Hindi Ghazal Haqiqat Jaan Kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai

Sad Mohabbat Hindi Ghazal Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai

Haqiqat Jaan kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai
Bhala Be Faiz Logon Se Muhabbat Kon Karta Hai,

Batao Jis Ujrat Mein Khsara He Khsara Ho
Bina Sochy Khisary Ki Tijarat Kon Karta Hai,

Humain He Galat Fehmi Thi Kisi Ke Wasty Warna
Zamany Ke Rawajon Se Bagawat Kon Karta Hai,

Khuda Ne Sabar Karny Ki Muje Tofeeq Bakhshi Hai
Ary Gi Bhar Ke Tarpao Shikayat Kon Karta Hai,

Kisi Ke Dil Ke Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai
Magar Es Daor Mein Ye Zehmat Kon Karta Hai...!!!


»»  read more

Sad Shayai Hidni Ghazal Ik Baar Hi Jee Bhar Ke Saza Kyon Nahi Dete


Ik baar hi jee bhar ke saza kyon nahi dete
Main haraf-e-galat hun to mita kyon nahi dete,

Moti hun tu daman-e-mowazina me pero lo
Aansu hun tu palkon se gira kyon nahi dete,

Saya hun tu saath na rakhne ki wajah kya hai
Pathar hun tu raste se hata kyon nahi dete...!!!


»»  read more

Monday 14 April 2014

Dard and Bewafai Shayari in Hindi Image Safar-e-Wafa Ki Raah Me Manzil Jafa Ki Thi

Dard and Bewafai Shayari in Hindi Image Safar-e-Wafa Ki Raah Me Manzil Jafa Ki Thi By Poetrysync

Safar-e-Wafa Ki Raah Me Manzil Jafa Ki Thi
Kaghaz Ka Ghar Bana Ke Bhi Khawahish Hawa Ki Thi,

Thi Jugnuon Ke Shehr Me Taron Se Dushmani
Mashooq Chaand Tha Aur Tamanna Subha Ki Thi,

Tum Ne To Ebadat Ka Tamasha Bana Diya
Chahat Namaz Ki Thi Per Aadat Qaza Ki Thi,

Maine To Zindagi Ko Tere Naam Likha Tha
Shayad Mgar Kuch Aur Hi Marzi KHUDA Ki Thi,

Dard He Dena Tha To Pehle Bata Detay
Hum Ko Bhi Azal Se He Tamana Saza Ki Thi...!!!


»»  read more

Saturday 22 March 2014

Sad Alone Shayari Ghazal: Yeh Iqrar e Wafa Ka Lafz Meri Zoban Ka Hai

Sad Alone Shayari Ghazal: Yeh Iqrar e Wafa Ka Lafz Meri Zoban Ka Hai

Yeh Iqrar-e-Wafa Ka Lafz Meri Zuban Ka Hai
Yeh Uljha Huwa Kaghaz Meri Dastan Ka Hai,
Joda Ho Ky Bhi Mohabbat Se Koi Jee Sakyga Kaisy
Meri Chahat Me Hosla Ek Chattaan Ka Hai,
Usay Daikh Kar Huwa Hon Madhoosh Jab Sy
Bhol Betha Hon Konsa Rasta Mery Makan Kaa Hai,
Zamanay Ki Tarha Us Ne Bhii Mujhe Ghalat Samjha
Main Kiya Karon Yahi Waqat To Mery Imtihaan Ka Hai,
Mojhy Zameen Par Rehny Ki Aadat Thi Shayad,
Aur Usay Shoq Aasmanon Ki Uraan Ka Hai...!!!


»»  read more