Showing posts with label Sad Images. Show all posts
Showing posts with label Sad Images. Show all posts

Tuesday 3 June 2014

Sad Love Poetry in Urdu Images for Facebook


Bhool gaye ho to bata do mujh ko,
Mujh mein marny ki himmat aa gai ha...!!!





Baqaidgi sy itny achy nahi sitam,
Kuch roz naamchy mein tarmeem kijiye...!!!




Aag lag jaye in majborion ko,
Jin ki waja sy ham dor ho gaye...!!!




Aqal waly bhi jahan thokrein kha kha ky giry,
Ham ny us raah mein dar asal sambhalna seekha...!!!




Dopahr ko sula deti ha woh bachon ko is dar sy,
Keh gali mein kahein khilony bechny wala na aa jaye...!!!




Har raat ro ro ky usey bhulany lagy
Aansoun mein usky piyar ko bahany lagy
Yeh dil bhi kitna ajeeb ha Waqas,
Roye ham to woh aur bhi yaad aany lagy...!!!




Is pal ko mot hi kahty hain dosto,
Ik pal mein toot jaye jahan umer bhar ka saath...!!!




Jab tum ny kaha bhool jana mujhy,
Tab pahli baar apny zaheen hony par afsos howa....!!!




Laash parwany ky saamny sy hata dy koi,
Shamma masoom ha badnam ho jati hai...!!!




Magar kisi ny hamein hamsafar nahi jana.,
Yeh aur baat ha ky ham sath sath sab ky gaye...!!!


»»  read more

Wednesday 28 May 2014

Hindi Sad Shayari Collection in Urdu Picture Design


Zindagi ky husool jaisi hon
Shakh-e-ulfat py phool jaisi hon,
Aasman hon main aur logon ka
Tery qadmon ki dhool jaisi hon...!!!




Zindagi ha so guzar rahi hai warna,
Hamein guzray to zamany howey...!!!




Tumhain tarteeb dy raha hon main,
Mery andar bikhar gaye ho tum...!!!




Saza deni to mujhy bhi aati hai,
Par tum takleef sy guzro yeh mujhy gawara nahi...!!!




Naa kaha karo har bar ky ham chor jaein gy tum ko,
Naa ham itny aam hain na ye tery bas ki baat ha...!!!




Soz-e-firaq yar mein marna nahi kamal,
Mar mar ky hijr e yaar mein kamal ha...!!!




Tum tum aur sirf tum,
Lo khatam howi meri dastan...!!!




Pahly tarasha kaanch sy usny mera wajood,
Phir shahar bhar ky hath me pathar thama diye...!!!




Tafsilein chorro bas itna suno,
Tum bichar gaye ham bikhar gaye...!!!


Sad SMS Collection
Teri raahon mein bar bar ruk kar,
Ham ny apna hi intzar kiya...!!!
----------------------------------
Ik adhori nazm ky misry py aanso dekh kar,
Kal raat meri kitab me ik titli mar gai...!!!
----------------------------------
Main doob ky ubhra to bas itna hi dekha,
Oron ki tarha woh bhi kinary py khara tha...!!!
----------------------------------
Apny matlab ky ilawa kon kisi ko pochta hai,
Shajar jab sookh jaein to parindy bhi basera nahi karty...!!!
----------------------------------
Yeh sab raasty ky saathi hain inhain aakhir bicharna hai,
Chalo ab ghar chalein SAGAR buhat aawargi karli...!!!
----------------------------------
Aaya tha ik shakhs mery dard ko bantny,
Rukhsat howa to apna bhi gham dy gaya mujhy...!!!
----------------------------------
Bhool sakty ho to bhool jao ijazat ha tumhain,
Na bhool pao to lot aana aik bhool ki ijazat ha tumhain...!!!
----------------------------------
Anaa parast thy dono chatakh ky toot gaye,
Na mujh sy tu na tujh sy main thi haarny wali...!!!
----------------------------------
Tumhary chorr jany sy mujhy kuch khas farq to na parra,
Pehly roty howey hans deti thi ab hansty howey ro deti hon...!!!
----------------------------------
Us ny khat mein mujh ko kitny dard sy likha tha,
Ab to gaoun aaya karna ab to sadkein pakki hain...!!!
----------------------------------
Mujh ko yeh soch hi kafi ha jalany keliye,
Main na hota to koi aur tumhara hota...!!!
----------------------------------


»»  read more

Tuesday 27 May 2014

Urdu Sad SMS Poetry Images Collection Shareable for Facebook Posts


Achy hoty hain bury log,
Acha hony ka dikhawa to nahi karty...!!!




Chalo bataon tumhain ik nishani udas logon,
Ki kabhi gor karna yeh hansty buhat hain...!!!




Hamein kiya pata tha ky zindagi itni anmol hai,
Kafan odh kar dekha to nafrat karny waly bhi ro rahy they...!!!




Abhi to raakh howey hain tery firaq mein ham,
Abhi hamary bikharny ka khel baqi hai...!!!




Acha howa jo tum kisi aur ky ho gaye!
Khatam to howi fikar tumhain apna banany ki...!!!




Bebasi hai, udaasi hai aur dard hai,
Sab hai mery paas bas ik tum hi nahi ho...!!!




Ganimat jaan ly mil bethny ko,
Judai ki ghari sar par kharri hai...!!!




Ham ny mana tagaful na karo gy Lekin,
Khaak ho jaein gy ham tum ko khabar hony tak...!!!




Ham ny us raat bhi tumhain maanga tha,
Jis Raat log bakhshish ki DUAA maangty hain...!!!




Har ik so teri veerani rahy gi,
Khushi bin tery anjani rahy gi...!!!


»»  read more

Sunday 25 May 2014

Urdu Ishq Shayari Images and SMS Collection


ISHQ hara ha to sar tham ky kiun bethy ho,
Tum to har baat py kahty they ky koi baat nahi...!!!




Lihaz-e-ISHQ na hota to tujh sy ranjishen hotein,
Shikayat sirf itni ha ky tu samjha nahi mujhko...!!!




Ly kar zanjeer hathon mein kuch log tumhari taak mein hain,
Ay ISHQ hamari galyon mein na aur phiro to acha ha...!!!




Mera seedha saadha mizaj tha mujhy ISHQ hony ki kiya khabar,
Teri ik tabassum naz ny mera sara zoq badal diya...!!!




Tu KHUDA ha na mera ISHQ farishton jaisa
Dono insan hain to kiun itny hijabon mein milein...!!!



ISHQ jis ko talaq dy dy,
Umer us ki tamam iddat...!!!




ISHQ tujh sa bura nahi koi,
Har bhaly ka bura kiya tuny...!!!




Jis din kitab-e-ISHQ ki takmeel ho gai,
Rakh dein gy zindagi tera basta utar kar...!!!




Jis umer mein aqal aati ha amoman,
Ham us umer mein ISHQ kar bethy...!!!




Tajruba aik hi ibrat keliye kafi tha,
Mainy dekha hi nahi ISHQ dobara kar ky...!!!



»»  read more

Friday 23 May 2014

Dil Ki Aarzoo Shayari in Urdu Picture for Facebook Share


Khuwab hi khuwab kab tak dekhon,
Kash tujh ko bhi aik jhalak dekhon...!!!




Kitny masly hal ho jaein,
Tum aur main agar ham ho jaein...!!!




Agar main ye kahon tum sy ky tum bin na mukamal hon,
To kiya takmeel mumkin ha...!!!




Bas aik khahish ha ky tujhy khud sy ziyada chahoon,
Main rahon na rahon tujhy meri wafa yaad rahy...!!!




Hai ikhtiar mein tery to mojza kardy,
Woh shakhs mera nahi usy mera kardy...!!!




Itna hi yaad rakh mujhy
Jaisy bety dino ki kisi kitab mein
Koi phool rakha ho
Rang urra urra sa ho
Par woh ajnabi na ho...!!!




Mery somnat mizaj ko,
Kisi gaznawi ki talash ha...!!!




Yeh jo ham han ahsaas mein jalty howey log,
Ham zameen zad na hoty to sitaray hoty...!!!




Apni har khushi tujh pe waar kar,
Tujhy jeet longi main haar kar...!!!




Ishq ujrat talab na tha warna,
Ham tery dar par nokri karty...!!!



»»  read more

Thursday 22 May 2014

Best Images of Shikwa Sad Shayari in Urdu


Bethy thy apni masti mein ky achanak tarap uthey,
Aa kar tery khayal ny acha nahi kiya...!!!




Bhook phirti ha mery mulk mein nangy paoun,
Rizq zalim ki tajori mein chupa betha ha...!!!




Main to pahron tumhain sochti rahti hon,
Tumhain aik lamhy keliye bhi mera khayal nahi aata...!!!




Teri dunya ka dastor ajeeb ha khuda,
Muhabbat unko milti ha jinhain karni nahi aati...!!!




Woh muddat sy kisi zarori kam mein masroof ha warna,
Hamary sath sy barh kar zaroori kuch nahi usko...!!!




Woh naraz hota to usy mana leta,
Woh taluq hi na rakhy to usey manaon kesy...!!!




Woh tumhain chorr gaya to ham sy ye doorian kiun,
Meri khushiyan aksar mujh sy sawal karti hain...!!!




Samajh nahi aati ky wafa karein to kis sy karein,
Matti sy bany ye log kagaz ky tukro py bik jaty hain...!!!




Taa umer kon karta chahat mery hazoor,
Milty hain kab jahan mein zulekha mizaj log...!!!



Itny bhi nadan nahi ham,
Ham ko parhna aata ha
Kon sa lahja dil ki dunya
Kon sa dunya dari...!!!



»»  read more