Showing posts with label Top Ten SMS. Show all posts
Showing posts with label Top Ten SMS. Show all posts

Friday 9 May 2014

Urdu Love Shayari Wallpapers for Facebook Vol-1

Love Urdu Shayari collections for Facebook post status.


Wo maharban ho to anjum kahein "ilahi shukar"
Wo khashmagein ho to gardoon kahy "khuda ki panah"...!!!




Wo nadim ho gaye apny sitam par
Sitam ye bhi to balaay-e-sitam tha...!!!




Yaar ishq ho gaya ha
Main bach to jaonga na...!!!




Ye muhabbat ka tarika bhi ajab ha mera
Mainy par kaat ky har piyara kabotar rakha...!!!




Zindagi tum yahein kahein rahna
Main zamana badal ky aata hun...!!!




Rahi taleem mashriq me, na maghrib me rahi gherat,
Yeh jitny parhty jaty hain, jahalat bharti jati hai...!!!




Hath rakh kar mery seeny par wo farmaty hain:
Dard hota ha?
Kab hota ha?
Ab hota ha?




Mujh ko mahroomi-e-nazara qabool
Aap jalway na apny aam karein...!!!




Mujh ko ye hosh hi na tha ky tu meri bazoun mein tha
Yaani tujhy abhi talak mainy riha nahi kiya...!!!




Acha khasa pora insan
aadhy kar ky bhool gaye ho...!!!



»»  read more

Urdu Shayari on Love with Images Vol-7

Best shayari images collection in Urdu, These images specially made for facebook timeline status. 



Koi rukkah na lifafe me KALI choor gaya
Bass achanak woh KHAMOOSHI se gali CHOOR gaya,

Jab diya hi na raha, KHOUF ho kya MAANI?
Khali kamre ki woh khirki khuli choor gaya...!!!




Dil churata ha wo kambakht bina aahat ky
Hath mein aisi safai ha ky Subhan Allah...!!!




Aaye na samatiye mujh ko!!!
Dekhye na bikhar gaya hun main...!!!




Aankh ka aitabar kiya karta?
Jo bhi dekha, khuwab mein dekha...!!!




Dekh raha hun saamny bethi larki ko,
Soch raha hun aik muhabbat aur sahi...!!!




Jab woh gaisoo bakhair dety hain
Zindagi raah bhool jati ha...!!!




Ji mein jo aaye tum wahi karna
Baat sun-ny mein kiya burai ha...!!!




Kiya husn-e-ittifaq hy uski gali talak
Ham kaam sy gaye they, ky phir kaam sy gaye...!!!




Tera galba hi faqat mery khayalon mein raha
Zindagi kiya ha? yahi zikar sawalon mein raha...!!!




Tery hath sy mery hath tak wo jo hath bhar ka tha faasla
Usey napty usey kat'ty meri sari umer guzar gai...!!!



»»  read more