Showing posts with label Best Urdu Poetry Collection. Show all posts
Showing posts with label Best Urdu Poetry Collection. Show all posts

Thursday 22 May 2014

New Urdu Poetry/Shayari Images Collection in Sad Mood


Na kuch raha paas apny to sanbhal ky rakhi faqat tanhai,
Yeh woh saltanat ha,
Jisky badshah bhi ham,
Faqeer bhi ham,
Aur har faisly ky wazeer bhi ham...!!!




Sab baatein fuzool hon jaisy,
Kitni haseen ha uski khamoshi...!!!




Toot sa gaya ha mery aitabar ka wajood,
Abb koi mukhlis bhi ho to yakeen nahi aata...!!!




Tum sochty rahty ho ky kiya dekh raha hon,
Main dekhta rahta hun ky kiya soch rahy ho...!!!




Rafta rafta waqt sy majboor hota gaya
Buhat piyar tha tujh sy aur tujh sy hi dor hota gaya,
Mainy iltija ki ky tery bin waqt nahi guzarta
Yeh sun kar tu bhi thoda magroor hota gaya,
Kisi ki judai ko bardasht na kar paya
Main bhi dilo dimag sy lashaoor hota gaya,
Teri aankh mein najany kesa hunar Tha
Jo main poori mahfil me masroor hota gaya,
Yeh kesi muhabbat ky muqadar ki ruswai hoi ha dost
Main bewafa aur woh bekasoor hota gaya...!!!




Sad urdu shayari raat inti haseen ha ky sab gahri neend mein hain,
Aik ham hi badnaseeb hain ky jal rahy hain kisi ki yaad mein...!!!




Roth jany ki ada ham ko bhi aati ha,
Kash hota koi ham ko bhi manany wala...!!!




Sab ky honto par muskurahat thi mery qatal ky baad,
Jany kiya soch ky ro raha tha qatil mera...!!!




Suna ha koi aur bhi chahny laga ha tumhain,
Ham sy barh kar agar koi chahay to usi ky ho jana...!!!




Suno! palkon py jitny khuwab they unko utha lena,
Meri aankhon py unka bojh meri takat sy bhari ha...!!!



»»  read more

Monday 12 May 2014

Urdu Images of Sad Shayari for Facebook Post

Sad shayari aaj usny ajeeb sawal kiya mujh py marty ho to zinda kiun ho

Aaj usny ajeeb sawal kiya,
Mujh py marty ho to zinda kiun ho...!!!



Sad shayari aanso bahany sy koi apna nahi banta jo dil say piyar karty hain wo rony nahi dety

Aanso bahany sy koi apna nahi banta,
Jo dil say piyar karty hain wo rony nahi dety...!!!



Sad shayari acha howa maloom ho gaya uski muhabat ab muhabat nahi rahi warna ham to apna ghar bhi chor rahy they usky dil mein rahny keliye

Acha howa maloom ho gaya uski muhabat ab muhabat nahi rahi,
Warna ham to apna ghar bhi chor rahy they usky dil mein rahny keliye...!!!



Sad shayari barson chaly qateel zamany ky sath ham wakif howy na phir bhi zamany ki chal sy

Barson chaly qateel zamany ky sath ham,
Wakif howy na phir bhi zamany ki chal sy...!!!



Sad shayari bewafa waqt tha wo they ya muqadar mera baat jo bhi thi baharhal anjam judai nikla

Bewafa waqt tha wo they ya muqadar mera,
Baat jo bhi thi baharhal anjam judai nikla...!!!



Sad shayari duaon mein meri yoon to buhat taasir ha lekin khuda sy aur kiya mangon sawal-e-yar sy pahly

Duaon mein meri yoon to buhat taasir ha lekin,
KHUDA sy aur kiya mangon sawal-e-yar sy pahly...!!!



Sad shayari jis ky khuwab sajaye they ankhon mein wo mila nahi kismat ka faisla jan liya ab hamein kisi sy koi gila nahi

Jis ky khuwab sajaye they ankhon mein wo mila nahi,
Kismat ka faisla jan liya ab hamein kisi sy koi gila nahi...!!!



Sad shayari mana ky gham ky baad milen gi muskurahatein lekin kon jiye ga teri berukhi ky baad

Mana ky gham ky baad milen gi muskurahatein,
Lekin kon jiye ga teri berukhi ky baad...!!!



Sad shayari mujhy tarpany ky kai aur bhi tariky they mujhy chorr jany ka khayal hi aakhir kiun aaya

Mujhy tarpany ky kai aur bhi tariky they,
Mujhy chorr jany ka khayal hi aakhir kiun aaya...!!!



Sad shayari palkon ki had ko tor ky daman aa gira ik aanso mery sabar ki toheen kar gaya

Palkon ki had ko tor ky daman aa gira,
Ik aanso mery sabar ki toheen kar gaya...!!!



Sad shayari taqdir ny falak ny muhabbat ny ishq ny jis ny bhi chaha mera tamasha bana diya

Taqdir ny falak ny muhabbat ny ishq ny,
Jis ny bhi chaha mera tamasha bana diya...!!!



Sad Shayari Ghazal tera hijar mera naseeb ha tera gham hi meri hayat ha

Tera hijar mera naseeb hai
Tera gham hi meri hayat hai,
Mujhy teri doori ka gham ho kiun
To kahein bhi ho mery sath hai,
Mujhy khof-e-dunya nahi magar
Mery robaro teri zaat hai,
Tera wasl ay mery dil ruba
Nahi meri kismat to kiya howa,
Mery hamsafar yahi kam ha kiya
Teri hasraton ka tu saath hai,
Tera ishq mujh py ha maharban
Mery dil ko hasil do jahan,
Meri jan e jaan is baat par
Meri jan jaye to kiya baat ha...!!!



Sad Shayari Ghazal tum kiun bany they dil ka sahara jawab do ab kahan ha wo piyar tumhara jawab do

Tum kiun bany they dil ka sahara jawab do
Ab kahan ha wo piyar tumhara jawab do
Kis ko naaz apni adaoun py tha har ghari
Kis ny kiya wafa sy kinara jawab do
Ham to sah na sakein gy judai ka gham
Ye qol mera tha ky tumhara jawab do
Ik taraf zindagi, ik taraf mot ha
Ab kis taraf karogy ishara jawab do...???



Sad shayari ye raz kon jany kiska kasoor tha toota wahi shara jis pay ghror tha

Yeh raz kon jany kis ka kasoor tha
Toota wahi sahara jis py ghroor tha
Usey ha ghroor ky wo kisi aur ka ha ab
Mujhy ha naaz ky wo kabhi mera zaroor tha...!!!


»»  read more

Friday 9 May 2014

Urdu Love Shayari Wallpapers for Facebook Vol-1

Love Urdu Shayari collections for Facebook post status.


Wo maharban ho to anjum kahein "ilahi shukar"
Wo khashmagein ho to gardoon kahy "khuda ki panah"...!!!




Wo nadim ho gaye apny sitam par
Sitam ye bhi to balaay-e-sitam tha...!!!




Yaar ishq ho gaya ha
Main bach to jaonga na...!!!




Ye muhabbat ka tarika bhi ajab ha mera
Mainy par kaat ky har piyara kabotar rakha...!!!




Zindagi tum yahein kahein rahna
Main zamana badal ky aata hun...!!!




Rahi taleem mashriq me, na maghrib me rahi gherat,
Yeh jitny parhty jaty hain, jahalat bharti jati hai...!!!




Hath rakh kar mery seeny par wo farmaty hain:
Dard hota ha?
Kab hota ha?
Ab hota ha?




Mujh ko mahroomi-e-nazara qabool
Aap jalway na apny aam karein...!!!




Mujh ko ye hosh hi na tha ky tu meri bazoun mein tha
Yaani tujhy abhi talak mainy riha nahi kiya...!!!




Acha khasa pora insan
aadhy kar ky bhool gaye ho...!!!



»»  read more

Urdu Shayari on Love with Images Vol-7

Best shayari images collection in Urdu, These images specially made for facebook timeline status. 



Koi rukkah na lifafe me KALI choor gaya
Bass achanak woh KHAMOOSHI se gali CHOOR gaya,

Jab diya hi na raha, KHOUF ho kya MAANI?
Khali kamre ki woh khirki khuli choor gaya...!!!




Dil churata ha wo kambakht bina aahat ky
Hath mein aisi safai ha ky Subhan Allah...!!!




Aaye na samatiye mujh ko!!!
Dekhye na bikhar gaya hun main...!!!




Aankh ka aitabar kiya karta?
Jo bhi dekha, khuwab mein dekha...!!!




Dekh raha hun saamny bethi larki ko,
Soch raha hun aik muhabbat aur sahi...!!!




Jab woh gaisoo bakhair dety hain
Zindagi raah bhool jati ha...!!!




Ji mein jo aaye tum wahi karna
Baat sun-ny mein kiya burai ha...!!!




Kiya husn-e-ittifaq hy uski gali talak
Ham kaam sy gaye they, ky phir kaam sy gaye...!!!




Tera galba hi faqat mery khayalon mein raha
Zindagi kiya ha? yahi zikar sawalon mein raha...!!!




Tery hath sy mery hath tak wo jo hath bhar ka tha faasla
Usey napty usey kat'ty meri sari umer guzar gai...!!!



»»  read more